Aur tab woh bartabah bolta hai..
Khsyama karen Maharaj...par yeh barta aap tak pahunchana bahut jaroori tha isi liye humen asamay aap ke paas ana pada..
Dushyant kehte hein..
Thik hai...ab yeh batao ke samachar kya hai aur kahan se barta laye ho?
Yeh sunke woh kehta hai..
Maharaj samachar Rishi Kanva ki ashram se aya hai ke...tabhi Shakuntala adhir hokar puchh baithti hai...ashram se barta aya hai...wohan sab kuchh kushal mangal toh hai?...kahin koi asubh sambad toh nahin hai na??
Ab apni Pita ki asusthata ki khabar se Shakuntala dukhi ho jati hai...aur uski ankhon mein pani aa jati hai..
Phir DuSha mandir mein puja khatam karke Mata ki ashirvaad lete hein aur ashram ki taraf rukh karte hein...
Ab ashram mein kya hota hai???
DuSha ashram main vivah uprant apni pehli diwali kaise manate hein???Jan ne ke liye ...
Rishi Kanva ki baat sunke bhi Shaku ko viswas nahin hota hai toh Karan bolta hai ke Rishivar thik keh rahen hein...woh sachmuch shku ki yaadon mein bimaar pad gaye the...
Abtak chup rehne wale Dush ab kehte hein...
Rishivar Pranam....humen aapki bimari ke vare mein jaan ke bahut dukh hua tha...lekin ab aap ki baat sunke kuchh aswast anubhav kar rahen hein...
Rishi Kanva Dush ko ahirvaad dene ke paschat kehte hein...
Maharaj Dushyant hum aap ka abhari hein jo aap ne hamari bimari ke chalte Shakuntala ko khud leke ashram mein badhare hein...aur aaj toh bahut hi subh Deepavali ka din hai...mein aap se aaj ki raat yahan ashram mein hum sab ke deepavali manane ke liye nimantran karta hun...asha hai aap meri baat talenge nahin...
Aur sun kar Anu n Priya bahut khush ho jati hein...aur woh log bhi Dushyant ko unke sath Deepavali manane ke liye anurodh karte hein..
Ab Dushyant Rishi Kanva ki baat ki samman karte hue Deepavali ashram mein manane ke liye raji hote hein...aur in sab baton mein sabse jyada khush Shakuntala hoti hai...
Shaku ko khush dekh Dush bhi man hi man muskurate hein...
Phir sab log khane ke liye prasthan karte hein...
comment:
p_commentcount