CH-2
Scene start with all turning to Ragini, she enters & she says- "Jhooth" aur kitna jhooth bolenge aap Mr. Durga Prasad Maheshwari. Haa, arrey picche se vaar karna to koi aapse sikhe, Mere dad ne aapko apna dost samjha thha aur aapne, chhi.
Annapurna- Ragini, beta tumhe koi galat phami hui hai, Avantika meri aur sujata ki sabse acchi dost thhi...
She was cut off by Ragini.
Ragini- Aur issi liye aapke pati ne unhe marwaana chaha (she shouted on Annapurna), That was no shout it was her pain which she kept inside her all these time.
Ragini- Aap ko patta hai, aap loggo ki wajah se meri Maa, picchele 24 saal se comma mein hai, aap loggo ki wajah se mera bhai picchle 8 months se assylum mein hai, sirf aur sirf aap loggo ki wajah se aaj mere paas kucch bhi nahi, Maa, baba , bhai sab kucch toh cheen liya aap ke parivaar ne mujhse. Aur aap kahe rahi hai ki mujhe galat fahami hui hai. She had tears in her eyes.
DP- Ragini beta, main maanta hu main pahele Shivraj aur Avantika ki shaadi ke khilaaf thha, maine Shivraj ko dhamki di thhi, lekin uss din humare beech sab kucch thhik ho gaya thha, Beta, Shivraj mera accha dost thha, main usse kuy marwaunga. He said with tears in his eyes.
Ragini gives him a disgusting look & says- Yeh maggar macch ke aanshu kissi aur ke saamne bhhaiye ga Mr. Durga Prasad Maheshwari, aap apni jhoothi aan, baan aur shaan ke liye kitne girr sakte hai yeh maine ussi waqt dekh liya thha jab aapne Shekhar baba aur Sharmishta Maa ki shaadi rukwane ke liye gunde baadi le kar aaye thhe. Ragini continues- Bass ek baat jarrur pucch na chahun gi aapse, aakhir galati kya thhi mere Maa-Baba ki, sirf ittni na ki unhone love marriage kiya thha. Aur aap ne unhe itnni badi sazza de daali. Kuy. Kya pyaar karna gunnah hai, kya apni marzi se kissi ke saath shaadi karna paap hai, kya pyaar karne waalo ho jeena ka haq nahi, toh phir kuy kiya aapne aisa. Kuy cheen liya aapne mujh se mera pariwaar. Aap ko ek baar nahi lagga ki jiss ko khatm karne aap gunde bhej rahe hai usski ek 2 saal ki beti hai, ek 6 mahine ka beta hai. Ek baar aap ko taras nahi aaya. hum parr. She breaksdown & cries hard. Dadi goes to her & consoles her. She hugs Dadi tightly. All were standing there with tears.
DP- Beta, main phir kahe raha hu maine aissa kucch bhi nahi karwaya thha, lekin aggar tum humme galat samjh ti ho aur sazza denna chahati ho toh jo sazza dongi woh manjurr honga...
Ragini- Sazza, sahi kahan aapne, sazza toh milengi, aur aisi sazza dungi ki aap sab yaad rakhenge. Aapko patta hai aggar main chahati toh mere ek isshare parr aapka business, aap ka ghar sab kucch barbaad kar detti. Lekin woh aap ke gunaaho ki bahut chhoti sazza hoti. Nahi, ittni aasaan sazza nahi dungi main. Aap ko aur aap ke iss pariwaar ko woh sab kucch sahna honga jo maine sahan, jo mere bhai ne sahan. Jo takleef humme hui, jo dard humme hua ussese kahi zada dard aur takleef main tum sab ko dungi. Yeh vaada hai ... Ragini Shivraj Gadodia ka. Abb palte gi kahani Durga Prasad Maheshwari, abb honga mera vaar, abb tumhe milengi aapne 24 saal purrane gunnah ki sazza. Intezaar karo mere pahele vaar ka, intezaar karo apne pahele dard ka, intezaar karo apni barbaadi ka, intezaar karo apni sazza ka aur yaad karo apne un sabhi gunaaho ko jo tumne kiya, Intezaar karo mere kahaar ka, kuy ki main tum main se kissi ko nahi chhodungi. She turns to go.
Swara- Ragini , main jaanti hu tumharre saath jo hua woh galat thha, lekin tumhi soccho, bade papa aisa kuy karenge. Ho sakta hai ki tumhe galat fahami hui ho. Aur aggar aissa kucch hua bhi hai toh maaf kar do inn sab ko. Ragini turns to Swara. Her eyes were emitting fire.
Ragini- Mujhe tumhaare lectures ki jarrorat nahi hai Swara. Tum he patta hai tumhaari problem kya hai Swara, aggar tumhaare saath ya tumhari family ke saath kucch hota hai toh woh galat hai, lekin same cheez aggar kissi aur ke saath ho toh woh sahi ho jaata hai. Right. Mahhan bannene ka shauq tumhe honga, mujhe nahi. Aur haa mere kaam mein taang addane ki koshish matt karna, warna mujh se burra koi nahi honga. Aur aap sab, aap sab ka count down shurru hota hai abb. Tick... tock... tick... Your pay back time starts now...
Precap-- Ragini tells dadi that she will take her revenge any how...
So how is this chapter... No shoes & tomatoes plz...