Rishtoon ki Badalti Daastaan- Swaragini (Chapter--7 on pg-11) - Page 7

Created

Last reply

Replies

84

Views

19.1k

Users

15

Likes

82

Frequent Posters

ck1234 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#61
Ch--5
Ragini and Roshni getting ready for going to meet Payal & Kavya.
The Scene shifts to Raichand's office (Samar's cabin) Samar is thinking about Ragini. His phone rings, which breaks his thinking-
Samar- Haa Arnav bol
Arnav- Arrey yaar kaha hai tu, pichle 6 mahine se America mein thha, aur abb yaha aaya hai toh bhi sirf kaam. Apne dooston ko bhool gaya tu.
Samar- Nahi, yaar aisi koi baat nahi hai,tu janta hai, America wala branch mein kucch jada kaam thh isliye itna waqt lag gaya. Aur batta tu aur Manas kaise hai.
Arnav- Main thik hu. Aur Manas hospital ke kaam se Delhi gaya hai,kal aayega. Waise chal aaj milte hai,kaafhi din ho gaye mile.
Samar- Ya, ofcourse, lekin kaha.
Arnav - Tere ghar ke pass jo restraunt hai,vaha.
Samar- Ok, aadhe gante mein milte hai.Bye.
Scene shifts inside a restraunt-
Ragini,Roshni,Payal and Kavya are sitting on table chatting-
Kavya- Toh kya socha tune kya gift de rahi hai Samar ko uske iss birthday par.
Payal- Yaar kucch samjh nahi aa raha hai. Tum dono chup chap kuy baithi ho kucch idea do na.
Roshni- Payal kya idea de hum toh tere bhai ko jaante bhi nahi. She said poutting.
Payal- Arrey, haa yaar woh pichhle 6 months se bhai America mein thhey issliye nahi milwa payi.
Ragini- Payal tu aisa kuy nahi karti ki koi acchi watch ya t-shirt kharid ke de de.
Payal- Haa,Yaar idea burra nahi hai, toh kal shopping pe chaale kuyki parsho bhai ka birthday hai.
Ragini, Roshni & Kavya (together) -Haa, kal chalte hai.
Roshni-Payal,waise mein aur di toh free hi rahenge lekin Kavya ka pata nahi. She says with a mischevious smile on her face.
Ragini,Payal under stood what Roshni meant and they too joined her.
Ragini- Haa yaar Kavya kal tere pass hamare liye waqt ho ga kya.
Payal- Haa dekh tu pahele hi bata de, waise hum samjh sakte hai kal Manas wapas aa raha hai lekin phir bhi.
She said laughing and give hi-fi to Ragini and Roshni.
Kavya- (With a little blush) Waisi koi baat nahi hai, main bhi aa rahi hu kal tum loggon ke saath.
Payal- Oye hoye iske chehre ko toh dekho bilkul laal ho gaya Manas ka naam sunn kar.
And all brust out laughing.
Kavya- (Still blushing) Payal tujhe toh main dekh logi. Ghabra matt mera bhi mauka aayega.
Infact aa gaya (She said with a teasing smile on her face) and said picche dekh.
Ragini & Payal turn around and saw Arnav & Samar entering in the same Restraunt. And they both also see them &
starts walking towards them.
Kavya- (grinning at Payal) Arrey Arnav bhai, Samar aap dono yaha.Aaieye humme join kijiye.
Payal- Haa bhai aap aur Arnav yaha par kaise.
Samar- Arrey tum dono ne pahele hi apni interrogation shuru kardi pahele humme baithne toh doon.
Arnav- Offo, Samar tu samjhta nahi hai yeh charro yaha secret meeting kar rahi hai. Kuy Ragini,
sahi kah raha hu na.
Now, Samar noticed Ragini, his heart skipped a bit seeing her there & a sweet smile comes on
his face. He stood there and kept staring her while she was talking to Arnav.
(And this was observed by one pair of eyes standing beside him)
Ragini- Nahi Arnav aisi koi baat nahi hai, come join us.
Arnav - Arrey Samar come sit, (his voice made him out of his thoughts) and he too sits.
Payal- Arrey bhai inn dono se miliye yeh Ragini Gadodia aur yeh Roshni Gadodia. Hamari best friends.
She introduces them.
Samar- (self- thought) Yaar mujhe toh yakin nahi ho raha hai jisse mein subah se dhund raha tha
voh ladki merre samne baithi hai aur voh bhi meri bahen ki best friend hai. Waah kya kismat payi
hai maine.
Then Payal 's voice made him come back to reality.They all started talking , laughing & enjoying
there food. After that they paid the bill & came out.
Payal- Ragini, Roshni tum dono kaise jaaogi, kaffi late ho gaya hai.
Ragini- Dekhte hai, mujhe lagta hai cab mil jaaye ga.
Kavya- Yaar, iss waqt tum loggon ko kaha se cab milega, tum dono mere aur bhai ke
saath chalo hum tumhe chhod denge.
Arnav - Haa, Ragini aao waise bhi main car lekar aaya hu.
Payal- (to Samar) Aap kaise aaye ho, Car se na.
Samar- Nahi, main apni bike se aaya hu.
Payal - Okay, aisa karte hai main, Roshni aur Kavya Arna ki car mein chhal jaate hai aur
aap Ragini ko le kar aao.
Roshni was going to say something but Payal took her towards car. The 4 were sitting
in the car (Payal had a naughty smile on her lips)
Roshni- Payal kya chhal raha hai tere dimaag mein. Jaldi bata, tunne di aur Samar ko bike
se aane ko kuy kaha.
Payal- Kuy tujhe mere bhai par yekin nahi hai kya?
Roshni- Payal tu janti hai aissa kucch nahi hai. aur baat mat palat, main jaanti hu kucch
chhal raha hai tere dimaag main.
Arnav- Haa Payal itna toh mujhe bhi pata hai ki tu meri wajah se yaha nahi baithi hai baat
kucch aur hai.
Payal- Accha, tum mujhe ittni acche se jaante ho Arnav.
Arnav- Haa dear, aakhir mangeter hoon tumhara.
(Kavya act like closing her ear , teasing them)
Roshni- Yaar, plz bata na kya baat hai, kuy kiya tunne aisa.
Payal-Chill Roshni tu janti hai na hum sab chahte hai ki Ragini apni life mein aagaye
badhe, isliye.
Roshni , Kavya & Arnav where confused .
Kavya- Payal, saaf saaf bol kya bol na chahti ho.
Payal- Shayad tum loggon ne notice nahi kiya, Bhai ka reaction Ragini ko dekh kar.
Unkki aankho me usske liye pyaar.
Roshni- Payal kya kahe rahi hai tu.
Payal explained what she noticed in Samar's eyes for Ragini.
Roshni- Fine aggar maan le ki tu sahi kahe rahi hai lekin tu jaanti hai na di ka
past aur aggar phir waisa kucch hua toh main apni di ka dil phir toota hua nahi
dekh sakti.
Payal- Aisa kucch nahi hoga Roshni, main apnne bhai ko acche se jaanti hu.
Aur tuhje mujh par vishwaas hai na.
Roshni give a smile to her.
Arnav- Haa yaar lekin hum inn doono ko karrib kaise laayege.
Payal- Yaar, be positive koi na koi raashta mil jaaye ga.
Scene shifts near to a bike-
Samar- I hope aapko mere saath bike mein jaane mein koi dikkat nahi hai.
Ragini- Arrey nahi Samar ji aisi koi baat nahi.
Samar- "Samar" mera naam samar hai samar ji nahi. aur mere dost mujhe Sam ya Samar kahe
ke hi bullate hai.
Ragini - Jee Samar ji, woh i mean Samar. Aur mere dost bhi mujhe Ragini kahe kar
bulaate hai.
And they both start laughing.
Samar (self thought) - Kitni pyaari hassi yeh iski, lekin mujhe aisa kuy lagg raha hai
jaise iss hassi ke peeche bahut dard chippa hua hai. Ghar jaa kar Payal se baat karni
hogi.
Ragini- Challe Samar. (Her words bring him out of his thoughts)
Samar- Haa chaliye.
They reach under Ragini's house. Arnav, Payal, Kavya & Roshni where already waiting
for them to come.
Ragini- Arrey tum logg nicche kya kar rahe ho uppar chalo, Roshni inn loggon ko uppar
le jaati.
Roshni- Di maine kaha thha lekin inn loggon ne kaha yehi wait kare ge.
Payal- Haa Ragini, ab hum sab chalte hai waise bhi kafhi late ho gaya hai.
She sits on Samar's bike and say chale bhai.
Samar - haa chalte hai. Both bid bye to them and went away.
Arnav- Chalo Ragini abb hum bhi nikalte hai, mom - dad intezaar kar rahe hoonge.
Ragini & Roshni bids them bye and goes to there house.
Scene shifts to Maheshwari house, where Swara was shouting on Sujata-
Swara- Kya aapko dikhai nahi deta chachi ji, aapki wajah se mera nayi dress kharab ho
gayi.
Sujata- Choori woh main Sanskaar ke liye haldi wala milk le ja rahi thhi aur galti se thhare
se takra gayi.
All the family members came out of there room.
Parineeta- Swara yeh kaun sa tarrika hai chachi ji se baat karne ka.
Swara- o! please bhabhi aap toh saanth rahiye. Sab ke sab muft ki rotti tod sakte hai sirf.
Adarsh- Khabardaar Swara, jo tumne iss tarah se Parineeta se baat ki toh.
Swara- Toh kya, kar kya lenge aap. Yeh mat bhuliye ki yeh ghar mera aur mere patti ka hai.
Aap loggon yaha muft ki rottiyaa hi tod rahe hai.
Meanwhile Sanskaar has also came out of his room.
Sanskaar- Apni hadd mein raho Swara Laksh Maheshwari, warna main bhul jaunga ki tum
ek ladki ho.
Swara- Oh really, Mr.Sanskaar Maheshwari , toh bataein kya kare ge aap.
Sanskaar- Swara tum... (someone punches on sanskaar 's face)
he falls down. It was Laksh-
Laksh- Tumhaari itni himmat & they both started fighting. Adarsh & Ram stops sanskaar
& Durga Prasad ask Laksh to stop fighting.
DP- Bass karo tum sab. Abhi ke abhi apne kamare mein jaao.
Sanskaar- Lekin bade papa
DP- Main ab bhi iss ghar ka bada hu Sanskaar.
They all disperse to there rooms. In sanskaar's room Sujata was putting bandage on his
wounds. Adarsh & Parineeta was also present there.
Adarsh- Bas bahut ho gaya, Swara aur Laksh ki manmaani. Ab hum log yaha aur nahi rahenge
Parineeta- Adarsh, yeh aap kiya kahe rahe hai.
Sanskaar- Bhaiya sahi kahe rahe hai bhabhi, hum sab yahan aur nahi rahenge.
Bhaiya aur mein apni salary se aap sabka dhyaan rakh sakte hai. Humme inloggon
ke aishaan ki jaruraat nahi hai.
Ram- Bas karo tum dono, aur bade bhaiya aur bhabhi ke baare mein soccho,
aggar hum iss tarah ghar chhod kar chhale gaye toh unneh kitna bura
laggega.
Sanskaar- Lekin papa, humme unhe apne saath le kar chhalenge.
Ram- Naa Sanskaar voh logg na jaave ge, bahut si yaad juddi hai hum loggon ki
iss ghar se.
Adarsh- Shayad aap sahi kahe rahe hai, hum iss baare mein kal baat karte hai.
And they disperse to there rooms.

Precap- Manas comes from Delhi. Ragini Joins Raichand company as legal advisor.

Okay Guyz so how is chapter-5. Tell Me. Fast???😊
neelzzz thumbnail
Posted: 9 years ago
#62
awsm 👍🏼👍🏼👍🏼👍🏼
ck1234 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#63
thankss 😊😊😊
Acumen thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#64

@ck1234 Nice chapter👍🏼 Thank you for the PM😊

ck1234 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#65

Originally posted by: Pheunli

@ck1234 Nice chapter👍🏼 Thank you for the PM😊

thanks 😊
ck1234 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#66
Ch-6
Scene shifts to Durga Prasad 's room--
DP was sitting on chair thinking something. Annapurna comes with a glass of water.
Annapurna- Suniye ji , dekhiye aap stress mat lijiye sab thik ho jaayega.
DP- Thik , tumhe ab bhi lagta hai Annapurna ki sab thik ho jayega. Dekha na tumne kya hua.
Annapurna- Dekhiye ji mujhe lagta hai hamare ghar ko kissi ki nazar lag gayi hai. Aur waise bhi raat bahut ho gayi hai aap aaram kar lijiye.
They both go to the bed, but sleep was miles away from there eyes.
Scene shifts to Ragini's house-
Nani- Aa gaye beta aap log, itna late kaise ho gaya.
Ragini- Nani voh humme Arnav aur Samar bhi mil gaye thhe isliye late ho gaya.
Nani- Yeh Samar kaun?
Roshni- Nani, voh Payal ka bhai hai, Samar Raichand.
Nani- Accha bete bahut raat ho gayi hai, aaplog bhi apne-apne kamre mein jaa kar soo jaaiye.
Ragini & Roshni- Good night nani.
And they go to there rooms.
Scene shifts to Raichand 's house-
Samar's room; He was in his night dress & was checking a file. He gets a flashback of his moments with Ragini. He closes the file and lay down on his bed.
Samar (self thought)- Yaar, kucch toh hai iss larki mein, ek ajeeb si kashish. Uski aankhe samundar ki tarah gaheri, aisa lagta hai jaisa hummesa ke liye ussme sama jaau aur uski smile toh jaise dil ko ajeeb sa sukoon deti hai. He closes his eyes, he gets a flashback of Ragini's eyes. He sit up with a jerk.
Samar - Lekin mujhe aisa kuy lagta hai baar - baar ki ussne apne dil mein ek bahut bara dard chuppa ke rakha hai. Itna dard jo usse andar hi andar todd raha hai. Mujhe patta karna hi hoga aakhir aisi kaun si baat hai jo usse itni takleef de rahi hai. Shayad usski past se judi, lekin kya. Shayad Payal ko pata hoga usse pucch ta hu. He sees the time. It's 11:30 pm. Nahi iss waqt nahi kal subah Payal se iss baare mein baat karunga, he thought. Then he heard a knock on his door, he opens it.
Samar- Payal tu yaha, neend nahi aa rahi hai kya. Kya hua teri tabiyaat toh thik hai naa. He touches her forhead.
Payal- Haa bhai main thik hu. Aise hi neend nahi aa rahi thhi toh socha aapse thoda baat karlu. Maine aapko disturb toh nahi kiya naa.
Samar- Nahi andar aa na.
Payal- Waise bhai aap bachpan se meri ittni fikar kuy karte ho. Aur meri shaadi ke baad bhi aap meri itni hi fikar karo ge. (She gets emotional)
Samar- Arrey meri pagli bahen (he said by patting softly on her head) teri fikar nahi karunga toh kiski karunga. Aur waise bhi parivaar ke naam par sirf tu aur bhuwa ji hi toh hai. Maa- Baba toh kabke humme chhod kar challe gaye. (He says controlling his tears who were ready to come out of his eyes.)
Payal says bhai, and hugs him.
Payal- Bhai main na aapko chhod kar kahi nahi jaa rahi hu.
Samar- Accha, toh main Arnav ko phone kar ke bol deta hu ki tunne ussese shaadi ka phaisla cancel kar diya hai. (He says with a smile on his face)
Payal- (shows fake gussha) Bhaiii
And they both start laughing.
Payal- (With a mischevious smile on her face) bhai waise koi aur bhi hai jiski aap fikar kar sakte ho. Ragini hai na...
Samar- (Blushed a little) But tries to hide it. Payal tu kya bol rahi hai (he said giving his back towards payal and to hide his smile.)
Payal- O!! dekho toh ab mera bhai ko meri batte samjh nahi aa rahi hai (she says teasing him more) Toh finally aapko pyaar ho gaya hai na bhai. (She makes Samar to face her)
Samar- Haa... Tujhe pata hai Payal main ussese paheli hi nazar mein pyaar kar ne laga thha.
Payal-Matlab aap pahele mil chuke hai Ragini se.
Samar- Nahi, lekin maine paheli baar aaj usse madir ke bahar dekha thha.
Payal- Mandir ke bahar (she was confused)
Samar tells her about mandir incident.
Samar- Aur tabhi main usse apna dil baitha. Lekin uss waqt main uska naam bhi nahi jaanta thha.
Payal- Aww how sweet, aapko pata hai bhai main aapke liye bahut khush hoon. Aap ko pata hai Ragini bahut acchi hai. Aur voh bhi apne life mein khushi deserve karti hai jo aap usse de sakte hai.
Samar- (was shocked) At her last statement. "Khushi deserve karti hai" matlab? Tu kehna kya chahati hai Payal.
Payal realised what she had said, she tries to leave from there.
Payal- Voh bhai 12:00 baje gaye, main sone jaa rahi hu. mujhe bahut neend aa rahi hai,
Samar- Ruko Payal main jaanta hu tu mujhse kucch chuppa rahi hai. Tujhe apne bhai par vishwaas nahi hai. Aur waise bhi main tujhse iss baare main baat karne wala thha. Payal main Ragini ko jaanaa chahta hu, maine uski aankho main bahut dard dekha hai, main uss dard ko kam karna chahata hu, lekin kaise karu aggar mujhe kucch pata hi nahi hoga uss ke past ke baare mein.
Payal- Bhai darashal woh baat yeh hai ki... And she tells him every thing about Ragini. (Her wedding, divorce everything)
There was a pindrop silence in the room and tears where flowing from Payal's eyes (as she can feel what all Ragini has to go through) And Samar was also shocked as well as angry after listening to Payal.
Samar goes near window and punches his hand against the wall which hurt him.
Samar- Itna dard, itni takleef kaise Payal koi kaise Ragini jaisi ladki ke saath aisa kar sakta hai. Kaise. (He was very much angry)
Payal- Shaant ho jaiye bhai, aapko pata itna sab kucch sahne ke baad bhi Ragini kabhi complain nahi karti hai. Din bhar apne dard ko chupa kar mushkurate rahti hai. Dusro ki khushi mein khush hona jaanti hai Ragini, dusro ka dukh kam karna jaanti hai voh lekin apna dard dikhaana voh nahi jaanti bhai nahi jaanti (she sobs)
Samar- Main tujh se waada karta hu Payal main kabhi bhi Ragini ke aankho main aanshu nahi aane dunga. I promise, Payal.
Payal- Mujhe pata hai bhai, lekin aap yeh sab karo ge kaise.
Samar- Ragini ko iss waqt ek dost ki zaroorat hai Payal aur main usska dost banuga. Aur uske dard ko kam karne ki koshish karunga.
Payal- You know what bhai, I am pround of you.
Samar gives her a smile & says chhal abb soney jaa kaffi late ho gaya hai. And she goes to her room.
Next Morning--
Someone rings the bell of Ragini's house. Nani opens the door and find a man standing there.

Precap- Who is the man???
Ragini joins Raichand groups as legal advisor.


SO tell me how's this???
Don't forget to hit like.
neelzzz thumbnail
Posted: 9 years ago
#67
gud 1...
really lukng forward too samar ragini romance...
and agar ragini swara laksh ko sabak sikhaye...

wase to me raglak fan bt ye 1st ff h in which swara is neg nd ragini is shown as positive character
so damn dont care...laksh neg or not
infact lukng frward to sum rag samar momemts

nd wht abt sanskar...any lady in future 4 him



Edited by neelzzz - 9 years ago
alisha17 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#68
Awesome update
Can't wait to see Ragini n Samar's bonding
Thnku for the pm
bhanu321 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#69
Wow superb update yaar... Thanks for pm...

Acumen thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#70

Good going dear! Thanks for the PM😊

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".