Originally Posted By Atif's Management But This Time Not on FACEBOOK
Yeh Aap log Pljj Pade I'm Sure Aap Logo ko Maza Aayega I know Long Hai But đ
- And ye Bhi Batadey Ke Mein or Reviews Share karta rahu ke Na
________________________________________________
Ok Aadeez ... Ab ek naya round shuru honey wala hai SurKshetra ka ... tou mainey socha zara is barey mey post karun, aur sub ko detail sey bataun what to expect ... Lekin us sey pehley have some updates for all of u ...
Pehli baat tou ye hai k Sheraz bhai and Atif, both of them were in India recently ... Unki kuch private gigs thin + meetings jis k liye wo gaey they ... Tou unho ney yehi bataya hai mujhey k wahan jo feedback mila hai unhey show k barey mey, wo bohat positive hi hai ... Matlab jo log concert pey they, jin logon sey baad mey wo dono miley, jis sey bhi discussion huwa, wo yehi feedback dey rahey hain k show ki editing bohat hi buri huwi hai aur wo log jo kuch dikha rahey hain, jo kuch portray karna chah rahey hain, wo saaf nazar aaraha hai ... Ye feedback Indian audience sey mila hai Atif ko aur Sheraz bhai ko personally ... Sheraz bhai is feedback sey kaafi khush they ... Mera ap logon ko ye bataney ka reason yehi hai k ek tou ye achi baat hai k jo Indian audience Atif aur sheraz bhai ko mili, including Indian youth, un logon ney positive feedback hi diya show k barey mey ... Dusra reason ye hai bataney ka k jo reviews hum log Facebook par detey they officially, wo reviews filhaal k liye discontinue karein gey ... Sheraz bhai feels k abhi humein aur reviews wahan deney ki zaroorat nahi hai ... Kyunkey jo log Aadeez hain, jo log fans hain, unki thinking already sahi direction mey ja rahi hai ... Aur jo log Aadeez nahi hain yan typical reality show audience hai jo har cheez dekh k believe kar leti hai, wo log official page pey aa k review bhi parh lein, tou us sey itna farak nahi parey ga unki soch pey ... Waisey bhi, jo reviews already hum log dey chukey hain, usmey everything is crystal clear, agar koi wo reviews bhi practically parhey ga tou usey sub samajh aajaey ga ... Tou abhi hum logon ney yehi decide kiya hai k facebook par jo review detey hain, wo nahi dein gey, kyunkey abhi uski zaroorat mehsus nahi ho rahi ... Jo negative impact production team aur editing team Atif sey related dalna chah rahi hai logon pey, Sheraz bhai feels k wo impact dalney mey wo log nakam hi ho rahey hain ... Tou abhi humein bhi thori relaxed aur laid back approach rakhni hai ...
Ek cheez Sheraz bhai ney boli hai k jo updates main yahan Aadeez pey post karta hun, jaisey ye reviews aur updates post karta hun, ye waisey hi continue rahein gi ... Aadeez ko forum pey ye batana zaroori hai k whats going on, sub ko update karna zaroori hai and hum kartey rahein gey ... Agar kisi ko facebook par reviews ki zaroorat hai, matlab wo unhey kisi ko parhana chahtey hain tou wo meri posts yan reviews yahan waley bhi dikha saktey hain ... ek tou update ye hai sub Aadeez k liye, just wanted to let everyone know k whats going on ...
Ab hum baat karein gey aney waley week ki ... Actually purey round ki baat karein gey ... kyun? main batata hun ... Normally main sirf ek haftey ki update deta hun, matlab aney waley 2 episodes ki ... magar ye jo round aney wala hai SurKshetra ka, ye pura round, itna similar, repetitive, ajeeb, ridiculous, bias, favoritism sey bhara, senseless funny hai (funny not in a good way), k mujhey purey round k barey mey alag alag post karney ki zaroorat hi nahi ... Ye show is week, aur next week jo 4 episodes ayein gey, ek singing show sey change ho kar ek ajeeb sa, comedy show ban jaey ga ... Jahan points kyun diyey ja rahey hain, kisko diyey ja rahey hain, kis waja sey diyey ja rahey hain, kuch samajh nahi ayey ga ... aisa lagey ga k jaisey ap ney kuch jury members ka "1" wala button kharab ho jaey ga, magar afsoos wo sirf tab kharab hoga jub ek team perform karey gi, matlab Atif ki team ... Aur jub dusri team perform karey gi tou wo button magically repair ho jaey ga ... Jaisa k sub jaantey hain k 5 finalists k chair mey sey pehli 2 chairs Team Atif apney naam kar chuki hai ... Is sey Atif ki team ka talent, ability, consistency, sub kuch saaf zahir ho chuka hai already ... They dont have to prove anything anymore ... Unho ney jo dikhana tha dunya ko, jo mithas Pakistan ki dikhani thi, jo talent Pakistan ka dikhana tha, wo already dikha diya hai ... jub 5 chairs mey sey 2 chairs team Atif ney ley lein, tou I guess production team aur sub ney socha hoga k is show ki ek large quantity audience ki Indian hai ... Aur shayad wo log ye bhul gaey k majority of Indians show merit k basis pey dekhna chahtey hain, na k nationality k basis pey ... Production team ney yehi socha k agar next chair bhi Team Atif ko milti hai, jiski possibility kaafi high thi kyunkey Pakistani's, Indians, sub jaantey hain k Nabeel is more then deserving to be on that chair, tou un logon ney yehi socha k agar 3rd chair bhi Team Atif ko milti hai tou Indian viewers shayad show dekhna chor dein yan jo Pakistan aur India ki jhuti hung ye log create kar rahey hain wo angle thora disturb ho jaey ga ... Un logon ki ye soch ghalat thi kyunkey based on the feedback we have received, even Indians want fairness on the show ... yani ap log ye sochein k hum log shuru sey ye discuss kar rahey hain k points bias hotey hain at times, favoritism hota hai ... Tou main ap logon ko batana chahta hun k ap logon ney tou abhi tak kuch bhi nahi dekha, real bias mahool tou ab hoga ... now imagine kya haal hoga show ka??? ... Khair, Jub pehla round huwa, tou format kuch aur tha ... Us format k hisaab sey, us format ko follow kartey huwey bhi Atif ki team pehla round jiti ... Kaisey jeeti, kitni mehnat pari Atif ko, wo sub ko pata hai ... Phir unho ney achanak format change kar diya ... shayad wo kuch change dekhna chahtey they show mey ... kaisa change, wo ap log samajh rahey hain what I mean ... Tou unho ney format change kiya tou Atif ney apni strategy change kar li aur Mulazim ki ek aisi performance secretly tayyar karwa li jo k face-off k liye perfect thi ... Waisey tou Nabeel ki performance bhi amazing thi lekin Mulazim ki performance ek perfect back up sabit huwi ... tou unho ney 2 format try kiyey, dono formats ko Atif ney handle kar liya, tackle kar liya ... Ab jub production team ney 3rd chair ka socha, tou unho ney socha k format change karna tou byekar hai, Atif phir koi uska solution nikal lein gey, tou is dafa unho ney kuch aur socha ... Is dafa unho ney socha k hum is round mey Team Atif ko mauka hi nahi deta k wo kuch kar paein ... Matlab unhey mauka hi na miley k wo chair tak pohanchein yan us k liye compete karein ... Hum aisey halaat paida kar dein k Atif ko mauka hi na miley apni intelligence sey hamarey format ko beat karney ka ... Ab jub is tarah ki unfair strategy koi apna ley, koi implement kar dey, tou usko tackle karna thora mushkil ho jata hai ... Lekin, is cheez ko karney mey production team sey bohat sari ghaltiyaan hoon gi aur sub kuch itna zyada obvious ho jaey ga k ap logon ko pehley gussa ayey ga aur phir baad mey ap logon ko khud hi hunsi ayey gi ... Matlab ap log sochein gey k ye log yan tou humein beywaquf samajhtey hain yan ye soch kar ye round kiya k shayad ye TV par koi nahi dekhey ga ... Acha main kuch zyada hi detail mey ja raha hun ... to sum it up, ye round bohat hi, bohat hi funny honey wala hai ... matlab ek normal Indian viewer bhi sochey ga baith k k wo Pakistani team jis ney itna tough compeition diya hamari team ko pichley 2 rounds mey, wo achanak itni pichey kaisey reh gayi? Ek normal viewer bhi sochey ga ... Hoga ye, k Team Pakistan perform tou waisa hi karey gi, balkey kuch performances even more amazing, but unhey points deney waley button temporarily kharab ho jaein gey ... wo kon kharab karey ga, kyun karey ga, wo mainey ap logon ko already bata diya ... Ye jo new jury hai, ismey 5 members hain, tou ek simple sa mathematic logic hai k 2 members jitni bhi fairness kar lein yan jitney bhi equal points dey dein sub ko, agar 3 jury members ek side ley lein aur decide kar lein k is round mey yehi hoga aur yehi hona hai, tou decision kaafi obvious ho jaey ga ... Tou yehi hoga is round mey, jo new jury hai, jisney pehley episode mey tou mostly fair points diyey, wo ab ek strategy ley k agley episodes mey chalein gey, neutral nahi hoon gey balkey ek clear mission hoga unka ... Lekin wo log itna obvious karein gey sub kuch, itna funny illogical aur bias nazar ayey ga sub kuch k show waley mazburan is jury ko 3 episodes k baad hata dein gey ... Matlab wo kehtey hain k nakal k liye bhi aqal chahiyey hoti hai, ye jury members itney obvious tarikey sey Team Atif ko points dena avoid karein gey k show waley majburan hata dein gey unhey ... Waisey bhi, wo apna kaam kar chukey hoon gey tab tak, jo show waley chahtey they, tou isi liye liye wo ab unhey phir sey hata dein gey ... Yes, the jury will be changed after 3 more episodes ... matlab ye 2 episodes jo is week ayein gey aur next week ka first episode, us k baad sey jury phir change ... Tou plz ap log jub ye round dekhein tou pop corn ley k zaroor baithna kyunkey bohat hi maza aney wala hai ... ap log performances dekhna aur points dekhna ... bohat hunsein gey ap log ... aur 3 episodes baad miss karein gey is jury ko ... bohat zyada ...
Acha I know ap log kya soch rahey hain, k ye sub hoga, tou Atif kaisey react karein gey? matlab wo tou hamesha apni team ko defend kartey hain, un ki sahi batoon pey hamesha stand letey hain, tou wo kaisey behave karein gey jub iitna ridculous ho jaey ga sub kuch aur points itney bias milein gey tou ... Mainey ap logon ko bataya tha k Atif apni approach is show mey change kartey rahein gey, har approach k pichey koi na koi waja hogi ... Jub show shuru huwa tha tou Atif bilkul relaxed they, fun mood mey they ... par jub unho ney dekha k Pakistani contestants ki mistakes note ho rahi hain aur Indian contestants ki same mistakes balkey un sey zyada ignore ho rahi hain, tou he changed his approach aur unhhey ney jury ko aur viewers ko clearly batana shuru kiya k performances mey kya kya mistakes huwi hain ... he changed his approach ... is tarah 2 rounds guzrey ... Ab jaisey mainey pehley likha k Team Atif ney aur Atif ney himself, apney ap ko prove already kar diya hai, wo chairs ley k, apni performances sey, apney behavior sey, apni tameez sey, apney pyar sey, apney jokes sey, apni politeness sey, apni approach sey ... Har tarah sey unho ney apney ap ko prove kar diya hai ... Jub ye round shuru hoga tou jub bais points milna shuru hoon gey tou Atif apni approach change karein gey is dafa ... kyunkey wo samajh jaein gey k ek hota hai stand lena, matlab ap stand lo aur phir next time wo cheez repeat na ho yan kam repeat ho ... ye ap tab kar saktey ho jub ap k stand leney ka koi faida ho raha ho yan atleast koi aisa case ho jahan apko lagey k haan stand leney sey koi change aaey ga ... Atif will notice k is dafa jury ki approach kaafi clear hai, matlab show waloon ney, jury ney ye decide kar liya hai shayad k next chair Team Atif ko nahi milni chahiyey chahey us k liye humein bias hona parey yan deaf, kuch bhi kar lein gey ... Tou jub Atif ye cheez dekhein gey k stand leney wala koi case nazar nahi aaraha, unka mission hai k ye round bais hi hoga aur one sided hi hoga, tou Atif ek bohat interesting approach use karein gey ... Ufff he is so intelligent, I cant explain mashAllah ... Atif will change his approach to being funny, witty, sarcastic and very very casual ... Matlab Atif jury k decisions ko, points ko, serious lein gey hi nahi ... wo sarcastically points pey comment bhi kar dein gey, so that sub viewers ko samajh bhi aajaey aur apney witty andaz mey ye bhi bata dein gey k kahan biasness ho rahi hai aur kahan senseless judgement ho rahi hai ... wo sub kuch keh dein gey aur wo bhi funny andaz mey ... Wo aksar 0 milney pey contestants k saath mazak shuru kar dein gey, to show the audience k ye points hi ek joke they, ye tou aisa joke hai k is pey serious discussion karna yan stand lena, its not even worth it yan needed ... jury ney ek clear mind bana liya hai ab Atif yehi kar saktey they k kaisey viewers ko sub kuch bataein, without offending anyone ... Tou Atif will be very casual, laid back and funny in this whole round ... Is round mey discussions nahi hoon gi itni, arguments nahi hoon gi, balkey Atif viewers ko sub kuch bata dein gey in his own style ... Atif ney ye approach kyun rakhi, mainey already bata diya ap logon ko, aur baqi ap log dekhein gey tou samajh jaein gey k Atif ki approach kyun thi aisi ... Aur nahi samjhey tou main samjha dun ga, agar koi doubt huwa ...
Ok I know k ye puri post parhney k baad ap log kaafi shock hoon gey but seriously, shock honey wali baat nahi hai, baley ismey positive chizein dhundein ... Ek positive cheez ye hogi k jin logon ko pehley favoritism aur biasness nahi nazar aarahi thi kisi waja sey, un logon ko bhi ye round ajeeb lagey ap ... ap log un logon sey bhi ab ye keh sako gey k what the hell is going ong? Himesh keh raha k superb performance from a Pakistani, phir bhi jury ki taraf sey 5 mey sey 3 members 0 dey rahey hain? What the hell is going on? tou ap log ye cheez positively aur funny andaz mey dekhna aur point out karna so that apko bhi realize ho k whats going on and kitna mushkil tha Atif k liye ye cheez samhbalna but still unho ney apni approach sober rakhi, funny rakhi, supportive rakhi ...
Ab main is puri post k end mey kuch achi khabrein dena chahta hun so that ap log thora relax ho jaein atleast ... Ap logon ney promos mey already dekh liya hai k Atif ki ek performance hai first episode mey this week ... Main ap logon ko ye bata dun k Atif ki donooo episodes mey performance hai this week ... Yesss!!!! ... Atif will perform in both episodes ... Jo pehli episode mey hogi, wo episode k middle mey hogi, ya kahin bhi, but mera matlabb hai kehney ka k wo show ki opening nahi hogi like usually ... opening contestants karein gey with Kolaveri di ... Atif ki performance baad mey ayey gi ... Jo second episode hai, jo k Sunday ko hoga, usmey Atif will open the show, aur ye jo perfomance hogi its one my personal fav performance of Atif in the entire show ... Matlab itni emotional, itni simple ye complicated, itni powerful, itni soulful, itni zabardast performance hogi k I cant explain k jub live suni thi tou kaisa asar huwa tha ... Performance ki duration itni lambi nahi hai, its just a simple performance with piano playing in the background mostly but jo song hoga aur jo Atif ki approach hogi aur vocals hoon gey, I m sure that they will make alot of people cry ... Jo pehli episode hai this week, uski theme hogi "Superhit" songs ... Matlab jo aj kal k hit songs hain wo ... Contestants ki performance k barey mey main baad mey comment karun ga, episode k baad ... Bus ap logon ko ek clear star nazar ata rahey ga, as always, among the contestants ... Jo second episode hai, wo ... hmmm, uski theme bohat emotional hai, second episode ki theme hai "maa" ... Aur is "maa" waley episode ko open karein gey Atif ... I dont think I need to say anything else about it, wo performance dekhney aur sunney key kabil hai, bus yehi kahun ga ... Sirf Atif hi aisey singer hain jo Hungami Halaat bhi ga saktey hain aur "maa" wali theme k episode ki opening bhi kar saktey hain ...
Bus, ab bohat likh liya, ap log boltey ho na k lambi post karo, hum parh lein gey, chalo phir parho baith k sub ... Ap sub log plzzz plzzz plzzz ye post parh lo somehow aur is pey comment kar do so that mujhey tasali ho jaey k ap log samajh gaey ho k kya kya kaha hai mainey aur aney waley round k liye tayar bhi ho gaey ho mentally ... plzzz do comment on it, its very important ... is round mey Aadeez ka saath rehna aur sub kuch point out karna bohat zaroori hoga, bohattt zarooorrriii!!!
End mey bus yehi kahun ga is aney waley round k barey mey ...
"SurKshetra ... Where JURY wins"
(Ye post thori lambi hai is liye jaldi post kar raha hun, kal ka din bhi parh lein aur Saturday ko bhi parh saktey hain, but plz episode sey pehley parh lein)