Barsoun guzar gaye ro kar nahi dekha
in Ankhoun ko ansoo se dho kar nahi dekha
woh kya jane mohabbat kya cheez hai
jis ne kabhi kisi ka ho kar nahi dekha
*******************************************
Dur ja kar bhi un se dur ja na sake
kitna roye kisi ko bata na sake
dard yeh nahi k woh hame mil na sake
dard yeh hai k hum unko bhula na sake
****************************************