Shayri ( My Collection) - Page 5

Created

Last reply

Replies

932

Views

59.7k

Users

11

Likes

2k

Frequent Posters

.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#41
Dil Dukhaanay Ki Intehaa Kar Di
Aazmanay Ki Intehaa Kar Di
Teer Tohfay Main Bhej Kar Usnay
Zulm Dhanay Ki Inteha Kar Di
Chonk Kar Naam Poochnay Walay
Bhool Janay Ki Inteha Kar Di
Jeet Ne Maat Orh Li Goya
Sir Jhukanay Ki Inteha Kar Di
Dil Ko Nasoor Kar Liya Aakhir
Ghaav Khanay Ki Inteha Kar Di
Phir Palat Kar Kabhi Nahi Dekha
Usnay Janay Ki Inteha Kar Di
Khud Ko Khonay Ka Bhi Pata Na Chala
Usko Panay Ki Inteha Kar Di
Ta-Falak Ho Gaya Dhuwaan Sa
Raakh Uranay Ki Intehaa Kar Di...!!!
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#42
Thi Gar Anay Main Maslihat Haail
Yaad Aana Koi Zaroori Tha ?
Dekhiye Ho Gayi Ghalat-Fehmi
Muskuraana Koi Zaroori Tha ?
Lijiye Baat Hi Na Yaad Rahi
Gungunana Koi Zaroori Tha ?
Gunguna Kar Meri Jawaan Ghazlein
Jhoom Jana Koi Zaroori Tha ?
Mujh Ko Paa Kar Kisi Khayaal Main Gum
Chhup Ke Aana Koi Zaroori Tha ?
Uff Wo Zulfein, Wo Nigahein, Wo Hansi
Yun Daraana Koi Zaroori Tha ?
Aur Aisay Eham Mazaaq Ke Baad
Rooth Jaana Koi Zaroori Tha ?
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#43
Mom Ki Tarha Pighaltay Hue Dekha Usko
Rutt Jo Badli To Badaltay Hue Dekha Usko
Janay Kis Gham Ko Chupanay Ki Tamanna Thi Usay
Aj Har Bat Par Hanstay Hue Dekha Usko
Wo Jo Kanto'n Ko Bhi Narmi Se Chua Karta Tha
Hamnay Phoolo'n Ko Masaltay Hue Dekha Usko
Na Janay Wo Duao'n Main Mangta Hai Kisay
Hath Uthatay Hi Sisaktay Hue Dekha Usko
Phir Hath Dua Ke Liye Uthaye Hamnay
Jab Muqaddar Se Ulajhtay Hue Dekha Usko...!!!
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#44
Wohi Aahatein Dar-O-Baam Par, Wohi Ratjagon Ke Azaab Hain
Wohi Adh-Bujhi Meri Neend Hai, Wohi Adh-Jalay Meray Khwab Hain
Kabhi Chaha Khud Ko Sametna To Bikhar Ke Aur Bhi Reh Gaya
Hain Jo Kirchi Kirchi Paray Hue, Meray Samnay Meray Raaz Hain
Ye Na Pooch Kaisay Basar Kiye, Shab-O-Roz Kitnay Pehar Jiye?
Kisay Raat Din Ki Tameez Thi, Kisay Yaad Itnay Hisaab Hain?
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#45
Tumharay Chand Se Chehray Pe Gham Acchay Nahi Lagtay
Hamein Keh Do Chalay Jao Jo Hum Acchay Nahi Lagtay
Hamein Wo Zakhm Do Sajan Jo Sari Umr Na Bhar Payein
Jo Jaldi Bhar Ke Mit Jayein Wo Zakhm Acchay Nahi Lagtay
Tumhay Har Ghazal Main Likhna Mera Dastoor Hai Lekin
Sar-E-Mehfil Teray Charchay Mujhay Acchay Nahi Lagtay
Main Chahat Ki Is Manzil Pe Aa Pahuncha Hoon 'Wasi'
Tumharay Chahnay Walay Mujhay Acchay Nahi Lagtay...!!!

.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#46
Zulm Seh Kar Bhi Samjhta Hoon Ke Tu Mera Hai
Meray Dushman Teray Chehray Pe Lahu Mera Hai
Dubha Dam Shehr Ki Shorish Teray Dum Se Hogi
Raat Ke Pichlay Pehar Aalam-E-Hoo Mera Hai
Meray Hathon Main Chupay Zakhm Se Pehchan Mujhay
Teray Daman Pe Bhi Ehsaan Rafu Mera Hai
Ghir Gaya Hoon Main Talatum Main Bhi Zindan Ki Tarha
Halqa-E-Mauj-E-Rawan Touq-E-Gulu Mera Hai
Itni Shohrat Bhi Kahan Chahi Thi Khud Se Mainay
Apnay Hi Shehr Ka Har Shakhs Adu Mera Hai
Dhoop Chaanv Ki Ye Rutt Dil Main Thehr Janay De
Aks Tera Hai To Saya Lab Jo Mera Hai
Pattharon Se Mohabbat Mujhay Yun Bhi Hai 'Mohsin'
Sangdil Shehr Main Ik Aaiina Ru Mera Hai...!!!
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#47
Usay Mainay Hi Likkha Tha
Ke Lehjay Barf Hojayein
To Phir Pighla Nahi Kartay
Parinday Dar Ke Urr Jayein
To Phir Lauta Nahi Kartay
Usay Mainay Hi Likkha Tha
Yaqeen Uth Jaye To Shayad
Kabhi Wapas Nahi Ata
Hawao'n Ka Koi Toofan
Kabhi Baarish Nahi Laata
Usay Mainay Hi Likkha Tha
Ke Sheehsa Toot Jaye To
Kabhi Phir Jurr Nahi Pata
Jo Rastay Se Bhatak Jaye
Wo Wapas Murr Nahi Pata
Usay Kehna Wo Be Mayni Adhoora Khat
Usay Mainay Hi Likkha Tha
Usay Kehna Ke Deewanay
Mukammal Khat Nahi Likhtay...!!!
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#48
Meri Zindagi Ke Wo Chand Saal Mujhay De Do
Jawab Mat Do, Bas Meray Sawaal Mujhay De Do
Chalo Mat Lautao Tum Mera Maazi Mujhay
Par Chand Lamhon Ke Liye Mera Haal Mujhay De Do
Tum Kyun Takrao Sar-E-Raah Meri Yad Main Kho Kar
Sar Utha Kar Chalo, Ye Larkharaati Chal Mujhay De Do
Shayad Kabhi Jaan Sako Apni Muskaan Ki Qeemat
Mera Urooj Tumharay Naam, Apna Zawaal Mujhay De Do
Tumharay Dukhon Ke Bina Be-Rooh Hai Mera Zauq-E-Sukhan
Kam Se Kam Meri Wajh-E-Kamaal Mujhay De Do...!!!
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#49
Kahan Mumkin Tha Main Dil Se Teri Yaadein Mita Deta
Bhala Kaisay Main Jeeta Phir Agar Tujhko Bhula Deta
Teri Ruswayi Ke Dar Se Labon Ko Si Liya Warna
Teray Shehr-E-Munafiq Ki Main Bunyadein Hila Deta
Kiya Tark-E-Wafa Usnay To Hogi Uski Majboori
Jisay Barson Dua Di Thi Usay Kya Bad-Dua Deta
Khabar Hoti Agar Mujhko Nahi Hai Tu Muqaddar Main
Usi Lamhay Main Hathon Ki Lakeeron Ko Mita Deta...!!!
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#50
Baat Ye Teray Siwa Bhala Kis Se Karein
Tu Jo Jafa-Kaar Hai To Wafa Kis Se Karein
Aaiina Samnay Rakkhein To Nazar Aye Tu
Tujhsay Jo Baat Chupani Ho, Kahan Kis Se Karein
Haath Uljhay Hue Resham Main Phansa Bethay Hain
Ab Bata Konsay Dhagay Ko Juda Kis Se Karein
Zulf Se, Chashm-O-Lab-O-Rukh Se, Ke Teray Gham Se
Bat Ye Hai Ke Dil-O-Jan Se Reha Kis Se Karein
Tu Nahi Hai To Aey Husn Saaz Bata
Is Bharay Shehr Main Hum Jaisay, Mila Kis Se Karein
Toonay Apni Si To Karni Thi So Kar Li 'Khawar'
Mas'ala Ye Hai Ke Hum Is Ka Gila Kis Se Karein...!!!

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".