Jo hame dekhe baghair ek din nahi rehsakta tha.. Usne aankhe pherli aaj humse..
Woh jo raat bhar hamse baatein karte thay.. Woh unke lab ab thartaraate hai humse baat karne ke liye..
Hai umeed aaj bhi kaash kabhi woh hamara haath pakar kar aankho mein aankh daal kar kahein ke " main aaj bhi tumhara hoon".
Ae dil-e- nadaan na jal tu beethey lamho ko sochke
Qatra qatra bahaa ke..
Kyu nahin bahaa deta tu ekbaar mein barsaat..??
Kyu karta hai tu roz roz usko yaad..??
Kyu lamha lamha tarapta hai tu..pal pal aahein bharta hai tu?
Aakhir kyu..pal pal..marta hai tu..?
Chhorde usse umeede..bhool jaa beethi baathe..
Ae dil-e-nadaan na jal tu beethey lamho ko sochke..!
Par tum na aaye..
Suraj dhalgaya..
Raat dhalgayi..
Par tum na aaye..
aankho se aansoon tapakte thay koi na aaya
sisak sisak ke jal gaye hum kissi ne paani tak na poocha
jal jal ke mar rahe thay hum par maut na aayi...