Zulf Ke Ishq Se Jab Jab Kabhi Chahi Tauba
Is Qadar Tootke Yaad Aayi Ilahi Tauba
Sirf Ek Hum Hi Nahin Saara Jahan Hai Shaaqi
Bewafa Tune Kisi Se Na Nibahi Tauba
Aye Khuda Bhej De Phir Koi Ujaalon Ka Nakeeb
Dahar Par Chhayi Hai Kis Darje Siyahi Tauba
Manzil-e Adal Bahut Door Hai , Rasta Dushwar
Kis Qadar Bahke Hain Raah Ke Rahi Tauba
Ek Firon Se Sab Kaanp Rahe Hain Dekho
Koi Moosa Hai, Na Khalid Sa Sipahi Tauba
Khudgharaz Log Hain Patthar Ka Jigar Rakhte Hain
Koi Deta Nahin Muflis Ki Gawahi Tauba
Sangdil Rahnuma Andhe Hain Khudgharzi Mein
Qaum Ki Dekh Rahe Hain Ye Tabahi Tauba
Kisi Din Josh Mein Aa Jayega Bahar-e-Rahmat
Rekhta Karte Hain Hum Waqt –e-Sahargahi Tauba