Wo Mere Ho Gaye Ab Mujhse Jal Rahe Hain Log.
Ilahi Khair Ke Ab Tewar Badal Rahe Hain Log.
Ajeeb Tarah Ke Saanchon Mein Dal Rahe Hain Log.
Ke Mausamon Ki Tarah Rang Badal Rahe Hain Log.
Isi Ko Kahte Hain Kya Mausam-e-Bahar-e-Chaman
Wo Gul Khile Hain Ke Bus Haath Mal Rahe Hai Log.
Yahi Hayaat Hai Phoolon Ki Sej Bhi Lekin
Isi Hayaat Mein Kaanton Pe Chal Rahe Hain Log.
Mere Sakhun Se Lateefe Tarashe Logon Ne
Ke Zahar Bhi To Hansi Mein Ugal Rahe Hain Log.
Isi Mein Rekhta Ab Khair Hai Ki Khaar Bano
Wo Dekho Phoolon Ko Kaise Masal Rahe Hain Log.