Meri mayyat pe aye to mera chehra chupa daina
Meri mayyat ko uski rah guzaroun se ghomana or
Fizza ko cheerti kalma shahadatt ki sada daina
Wo jab dora hua aaye pukaray naam jab mera
Ussay kehna k ab bey kaar hy usko sada daina
Diye jab apny ashkoun k jalaye meri turbat per
To ye kehna hawaoun se diye uskay bhujha daina
Meri mitti ko choomay jab mere katbay pe sarr rakhay
Ussay jaa ker meri turbbat se bhi logo hatta daina
Ussay kehna musalmanoun main ye rasmain nahi hoteen
k zinda bhi jalana or phir murda jala daina
Usay kehna palat jaye palat jaye palat jaye
Jo ik naa kaam ashiq tha usay ja ker bhula daina
Ussay kehna koi pagal ussay jo chahta tha bus
Ussay kehna bhula daina bhula daina bhula daina
Hasher main thaam kr YA RAB ussay uskay girebaan se
Meri aahain mere ansoo mere sajday dikha daina