Acha laga Kanwal malik

kanwal.malik thumbnail
Posted: 14 years ago
#1

" Acha laga "

doob kar ankhon main jab wo gum hua , acha laga
aap se jab ye ta'luq tum" hua , acha laga


ham unhain kaaghaz thama kar dair tak sakit unhain taktay rahay
muskura kar jab wo bolay " Shukriya" , acha laga

doob kar ankhon main unki jiss gharri ham kho gaye
paas aa ker jab wo bolay " kia hua? " acha laga

dafa'tan wo guftagu main be takkalluf hogaye
Aap" se Tum " , Tum se jab jab " Tu kaha, acha laga

wo gullaabi, pankharri labb jin ko ham tarsay bohat
unhi honton nay hamain jab choo lia , acha laga

Mondti sharm O haya se jab meri palkain uth'een
phir unho nay yon kaha " kesa Laga ? " acha Laga ?

lams ne un kay bakheri taaz'gi ruskha'ar per
aaj ham ko baad muddat aa'ina , acha laga


chubh gaye kaantay hamay phoolon ki zalim nok se
haye unka youn taddap kar chonkna acha laga . . . .

eik khwahish wo pukaarain naam se mere mujhay
jab unho ne naam mera lay lia, acha laga. . . .

chnd gharri ka saath tha un ka hamara haan magar
kia batayen kiss qadar, har raasta, acha laga

un k honton se bikhartay lafz saaray phool thay
un kay lehjay ki thkkawat ka nasha, acha laga

jese k kehna tha unko kuch magar wo chup rahay
jatay jatay murr k unka dekhna, acha laga . . . . .

unn se jab bhi ye kaha" tum se muhabbat ho gai"
thi qayyamat phir bhi jab wo hans dia , acha laga

tha hamay ehsaas bhi ham be ' khata hain par Kanwal ~
youn hi unka be wajah hi roothna , acha laga

unko kia maloom k kitna kathin hay " Al wida"
haan magar jab jab hamain" See You" kaha , acha laga

Ye ghazal parh kar meri kehna mujhay Eay Dosto!
Shair har tera KanwaL ~ acha laga, acha laga . . . . .

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".