aye dil! apne dard ke karan tu kya-kya betab raha
din ke hangamon men duba raton ko bekhwab raha
lekin tere zakhm ka marham tere liye nayab raha
phir ek anjani soorat ne tere dukh ke geet sune
apni sundarta ki kirno se chahat ke khwab bune
khud kanton ki baad se gujari teri rah men phool chune
aye dil,jisne teri mahrumi ke dag ko dhoya tha
aaj uski aankhen purnam thin aur tu soch men khoya tha
dekh paraye dukh ki khatir tu bhi kabhi yon roya tha?