Dushmani ka khel, khel chuke tum kayi baar
Kyu na ab dosti ka khel khelke dekho ek baar
Chain aman ki raah ko apna ke dekho ek baar
Dushmani chhor gale milke dekho ek baar!!
Juda aur khafa 'gar rahey tum dono
Barudo ke dher par sheher paoge dono
Siskiyo se bhare gharonde paoge dono
Insaniyat ko marte huye paoge dono
Barbaadi ke siva na koi manzar paoge dono
Wadiyo se sirf uthti aahe sunoge dono!!
Aapas ki mohabbat se dushmani ab chhor do
Kyu na raqeeb bankar dono saath nibha do
Le aayegi yeh muskaan inhi jalti wadiyo mein
Yakeenan bahaarein laut aayengi banjar zamino pe!!
Bas Hindustan aur Pakistan ye nafrat ab mitade
Aman shanti aur mohabbat ko ab gale laga le!!
Here is your prize for this wonderful poem..😛
