Yahan par rehna manoge tum apni shaan.
Paani ke liye kahin kahin hoti hai thangi,
Lekin baarish mein sadkein bhi lagthe hain nadhi.
Exercise karna ho toh train ki sawaari kar lo bhai,
Subah -shaam ki bheed mein apna food digest kar lo hai.
Achambe ki baat hai yeh train ki sawaari,
Koi karta hai bhajan yahan toh koi karta silaayi.
Koi khoya rehta apne pustakon mein toh koi bheek maangtha dekhar duhaai.
Honge kai bade restaurant yeah hotels,
Par pavoge unke bacche , pizza-hut mein pizza khathe hue.
Pavoge na tum koi adchan kabhi, koi jagah dhoondne mein,
Mil jayega tumhe dost, har ghali, har chaurahe mein.
Ghar mein bhale ho jagah ki khami
Par dil hai bada karenge mehmaannavazi.
Tyohaaron ki baat math poocho bhai,
Milke manathe sab hindu-musalman-sikh-issai.
Ek doosre ko gale lagathe, kyunki manthe hum ek doosre ko bhai.
Aate hain bahut apna pehchaan bananae,
De jaate hai humen nayi prerna, nayi koshish apna mukhaam bananae.
Soch mein pad javoge tum sabhi , ki kya hai yeh Mumbai bhai,
Koi jadoo tona yeh pyar bhari nagri!
A small attempt to describe mumbai my way...Please bear with my gisa-pita stuff...š