When the track is boring, creativity is at its highest.
Complied here is the cut/paste shayari written by you all in this post.
Ek guzarish hai CVs aapse ...Yeh kuch arziyaan likhi hai dosto ne , ummeed rakhti hun ki aap padhain aur muqammal karein.
Kumud manao n patao Saras, hayee hayee ~
agar aur jeetay rehtay yeahii intezar hota...
Ummeed hai na-ummeedi ki
Bechara Saras hi phir se sorry bolega
Tu badal gaya toh kya, main toh wohi hoon
Jisne toot ke chaha hai tujhe!
Kabhi toh kuch neyi adaa dikhaayiye ab
Yeh roothna toh aap ka sau bar ho chuka..
Humare naraazagi bhi toh koi samjhe doston
kab se baatein hai ki koi mananey aaye
koi aaye hamare Saras ko bhi manane,
Bechara khud hi Roothe khud hi maane
~ Yeh roothna toh apka sau bar ho chuka ~
kumud ji ka Saras ko manana,lubhana... iski tou hasrat hi rehaygi
Umar-e-daraz maang kay layee thay chaar din,
Do arzoo main kut gayee,Do intezar main.
Ab toh Saras ke bhi roothne aur khud mananey se tang
hum naraaz hai , roothey hai
ab kissey faryad,woh ho gaye begane
ab ummeed nahi ki woh humey mananey aaye
Kyaa Yeh Khwaaiish Dil Mein Hi Reh Jaayegi ... Siigghhh ...
aa chuka hai yeh dil, kuch aur hi adaaoon se behlaye toh kuch baat banaye..