JAANE KITNE SAAVAN AAYE GAYE HONGE... JAANE KITNI BAAR BHEEGE HONGE... PAR DONO KAA MAN KABHI NAHI BHEEGAA... KABHI GAUR SE BAARISH KO DEKHAA HI NAHI HOGAA...
"Bheegaa man kaa aangan is martabaah... Kyaa jaane kyaa kiyaa tumne..."
DONO MILE... AUR AISE MILE... KE EK DIN BAARISH WAHI THI... PAR WO AANGAN ME NAACH RAHI THI... AUR WO UPAR SE USSE DEKH KAR MUSKURAA RAHAA THAA... ISS MARTABAAH... TAN BHI BHEEGAA AUR MAN BHI... JAANE KYAA KIYAA DONO NE...
"Dil me jaagi... Ishq waali... Manmarziyaan... Manmarziyaan..."
BARSON SE DIL ME WO ISHQ WAALI ADAA... UNN DONO NE SULAAYI RAKHI THI... TAB WO JAG GAYI... YAA USSNE JAGAAYI?!!!!!
Zidd ki maari... Bholi-bhaali... Manmarziyaan... Manmarziyaan...
KUMUD KI ZIDD KI MAARI... SARAS KI BHOLI-BHAALI... MANMARZIYAAN... MANMARZIYAAN...
"Ab talak se... Kuchh alag si... Manmarziyaan... Manmarziyaan..."
AB 'HUM' NAHI HAI... 'TUM' HO... AUR 'MAIN' HU... AB TALAK SE... KUCHH ALAG SI HAI 'TUMHAARI' MARZI... KUCHH ALAG SI HAI 'MERI' MARZI...
"Hum zameen pe... Toh falak si... Manmarziyaan... Manmarziyaan..."
HUM ZAMEEN PE HAI... PAR MERI MARZI FALAK SI HAI... FALAK KO CHHOO GAYI HAI... ITNI UNCHI CHALI GAYI HAI... MERI MARZI... MERI KHWAAISH... KE USSE NICHE LAANAA... MERE BHI BAS KI BAAT NAHI...
"Sikkon jaisi... Hai uchhaali... Manmarziyaan... Manmarziyaan..."
SIKKAA BHI AISE UCHHAALAA TUMNE... KE DONO TARAF TUMHAARAA NAAM NAHI THAA... NAA KISIKI JEET HUI... BAS SABKI HAAR HI HAAR HUI...
"Be-adab si... Par gazab si... Manmarziyaan... Manmarziyaan..."
NAA JISME ADAB HAI... BAS USSKI BE-REHEM KHUSHI HAI... AISI GAZAB SI HAI USSKI MARZI... AISI GAZAB SI HAI USSKI MOHABBAT...
"Hosh khoyaa... Par sambhaali... Manmarziyaan... Manmarziyaan..."
HOSH KHOYAA... JOSH KHOYAA... WO ROYI... WO ROYAA... PAR PHIR BHI USSNE USSKO SAMBHAAL KAR SOPI... USSKI MANMARZIYAAN... AUR PHIR? USSNE USSKO KHOYAA...! YAA KHUD KO?!!!!!!
SARASWATICHANDRA!