Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 13th Oct 2025
COURSE STARTED 😛13. 10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 13 Oct 2025 EDT
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 30
Alia Bhatt Creates History
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct. 14, 2025 Episode Discussion Thread
ASTHIN KA SAANP 14.10
Stars at Manish Malhotra's Diwali Party
A Historic Moment: Israel- Gaza Peace The October 2025 Ceasefire
Why is Hrithik wasting his time by doing all these?
No amount of jadu tona is enough for Alia bhatt and Filmfare editor
Bollywood Diwali bash pics.
Child Contestant Behaviour In KBC
Is Hrithik Roshan's career officially over like Aishwarya Rai?
Like/Dislike/Neutral Week 7
Rhea Chakraborty and her brother get their passports back
Originally posted by: Rosebarbie
Anahat Hamara yaha I mean Andhra Pradesh and Telangana mein MakarSankranthi festival ko chaar din celebrate karte hai.Pehle din Bhogi festival North mein Lohri celebrate karte haina us din.is din Lohri ke din lakdion se Aag jalakar phere lete haina jaise ham bhi "Bhogi manta"(Bhogi ka Aag) tayar karke phere lete hai.Hamara yaha Maargseersh mahine ki beech mein "Dhanurmasam" Shuru hota hai.Is mahine mein auratein subah char bhaj tak uth kar ghar mein ya temple mein bith kar "Tiruppavai pasuralu" (Songs)padhte hai ya gaate hai.Is "Tiruppavai Pasuralu" ko "Sri Godaji" ya "Sri Andaalluji "ne "SriBhagwan" "SriKrishnaji" ke liye likha tha aur pehli baar gaaya bhi tha.vo Ye sab Sri Krishnaji ko apni pati ke roop mein pane keliye kia tha. Isliye kuvari aur shaadishuda donon tarah ki auratein SriKrishnaji ko apni pati ke roop mein pane ke liye (ya achcha pati pane keliye ya Pati ki deerghayu keliye)jis tarah Godaji ya Aandaalluji ne "Tiruppavai Pasuralu" gayi thi Vaise gaate hai.Bhogi ke din Temples mein SriKrishnaji aur Godaji ya Aandaalluji ka Vivah karvate hai.Aaj ka din Telugu people ChakkeraPongalI(Sweet Pongali) banate hai.Pura mahine auratein har roj Srikrishnaji keliye "Tiruppavai" gaate hai.Dusradin "MakarSankranthi" festival .Aaj se Uttarayan prarambh hota hai .Is din hamari Swargvasi Purvajon ya Pitrudevatavon ke liye Panditji ko ghar mein ya temple mein Puja karvake Chaaval aur baki khane ka saamaan daan dete hai.Tisradin "Kanuma" festival.Is din jin logon ko gaay bile vagaira pashu hote hai vo log unka puja karte hai.Baki log patang udaate hai.(char din bhi udaate hai.) Chaudahdin yaane ki aaj "Mukkanuma" hai.TeluguPeople ko Dhanurmasam aaj se pura ho jata hai.Is saari Dhanurmasam mein ham log Ghar mein Badi Sundar Rangoli banate hai.Usmein is puramahine ArdhChandrakaaR banate hai.Aaj ka din Subah uthke Suryaji ka Radh ka Rangoli banakar uski rassi bhi banakar(Rangoli mein hi)usko jaha Bhogi ka Aag jalaya vahachodke aate hai.Actuaally is festival Kisaanon ko adhik mahatv hota hai.Kyunki is vakth hi unka sari phasal pura ho kar Dhany,Dhan,baki vastu ghar aate hai.Kuch Kisaan log tho apni Khethon mein aur.apni Phasal ko Panditji se puja bhi karvate hai.
Originally posted by: Rosebarbie
Aaj tho Gaura ne record break kiya👏.vo tho pipe se chad kar room mein entry li.Ye pehli moti auntie hai SNS mein jo pipe chada.Pehle tho Meera,Dharam,Madhu,Gopi ye kar chuke the🤗.Dharam tho do baar chada akela mard hai🥳.Ye bhi record hai.Gaura tho aaj baal baal bach gayi.ghabrakar vo kahaki vo chat pe chali gayi😲.but baad mein balcony kehke cover kar liya.sab log maan bhi liya🤔.uski phata hua pallu bhi nahi dekha kisine.hmmm.
Are you surprised?
Originally posted by: Anondo.R
Not at all 🤪
Wish we could roll back to our Classic Dheera. Now they are just boring like the other couple!! What cvs are doing with them