Chapter 4A
Next day...
Mumbai
Modi Bhavan
Rashi opened the door of GoHem's room. The room is still exactly like that which it used to be 8 years back. She looked at the whole room, her eyes fell on GoHem's wedding pic, then she went near it and caressed it. Her eyes got teary.
Rashi: Gopi, tu kyu chali gayi? Kaha chali gayi hai tu? Tune ye thik nehi kia... Mujhe, hum sabko chhorke kyu chali gayi tu! Dekh. Tera kamra, tera ghar ab bhi bilkul waisa ka waisa hai jaisa tu chhorke gayi thi. Sab tera intezaar kar rahe hai. Please laut aa! Abto teri beti, humari Meera laut ayi hai. Tu aur jiju bhi wapas aaja. Please...
Downstairs
Living area
Hetal was guiding Meethi about some work.
Janko: (coming downstairs)Rashi! Kaha hai tu?
Hetal: Kya hua, baa?
Janko: Rashi kaha hai? Ussne kal mera naya chashma banvaya tha, lekin abhitak mujhe nehi dia. Kaha hai vo?
Hetal: Baa, iss waqt vo aur kaha hosakti hai?
Meethi: Ahem-bhai aur Gopi-bhabi ke kamre mei!
Hetal: Haan... Harr hafte Rashi khud, aapne haatho se Ahem aur Gopi ka kamra saaf karti hai. Unnka kamra jaisa tha bilkul waisa hi karke rakhti hai. Taki jab bhi vo dono wapas aye unnhe ghar aur kamra bilkul pehle jaisa mile...
Meethi: Mota-kaki, Rashi-bhabi kitni badal gayi hai na?
Hetal: Mai humesha se kehti thi na, samay sab thik kardeta hai.
Janko: Rashi aapni behen se kitna pyaar karti hai. Lekin kabhi dikhati nehi.
Hetal: Kare bhi kyu na. Behen hai dono, bachpan se ek saath hai. Pehle maike mei aur phir sasural mei.
Three of them laughed.
~~~~~
Shimla
Project Site
A big board was kept outside the site, which said "A project site of Modi Empire & Raheja Enterprise". Jigar and Shekhar were discussing about the project with some engineers.
Engineer 1: Mr. Raheja, aapke pehle iss site pe Mrs. Raheja aya karti thi. Aaj vo nehi ayi?
Jigar: Mrs. Raheja? Aapki wife?
Shekhar: No, no, no, not my wife. Vo mere chhote bhai ki wife hai. In fact, mai to India mei hi nehi tha. India ka business mere dad aur vo sambhalti hai, mai to London ka kaam dekhta hu.
Jigar: Oo. To aap India mei nehi rehte hai?
Shekhar: Haan bhi aur nehi bhi. I mean, kabhi kabar aajata hu. Iss bar aya hu meri sister-in-law ki behen ki shaadi ke liye. Vo kuch din ke kiye aapke sheher- Rajkot gayi hai isi liye mai usski jagah par hu.
Jigar: Vo bhi Rajkot se hai?
Shekhar: Haan. Modi Empire ke saath project karne ka proposal bhi usine dia tha.
Jigar: Lekin office mei to aapke dad, Gagan Raheja, aye the. Vo to nehi ayi thi...
Shekhar: Achha? Mujhe iss bare mei kuh nehi pata.
Jigar: Naam kya hai unnka?
Shekhar: Usska naam hai...(phone rang)Usi ka hi phone hai.
Shekhar's SIL: Hello, bhaiya?
Shekhar: Tumhe pata hai, mai tumhare bare mei hi baat kar raha tha.
Shekhar's SIL: Mere bare mei? Kisse?
Shekhar: Mr. Jigar Modi se.
Shekhar's SIL: Jigar? Jigar...i mean, Mr. Modi se aap mile the?
Shekhar: Haan, mere samne hi khara hai. By the way, tum Shimla kab aarahi ho?
Shekhar's SIL: Pata nehi. Kyu?
Shekhar: Mujhe ek kaam se Pune jana hoga. Jabtak mai nehi aata tabtak tum yaha aake Jigar ke saath project discuss karleti.
Shekhar's SIL: Haan, haan, zarur. Unnke bare mei maine bohot suna hai, mai unnse milna bhi chahungi.
Shekhar: To tum parso aajao.
Shekhar's SIL: Thik hai.
Shekhar: Waise tumne phone kyu kia tha?
Shekhar's SIL: Dad ne kaha tha aapse puchhne ke liye ki Mr. Modi Shimla pohche ki nehi.
Shekhar: Keh dena, pohoch gaye.
Shekhar's SIL: Ab mai rakhti hu. JaiShreeKrishna.
Shekhar hung up.
Shekhar: Usika hi phone tha.
Jigar: Achha...
Shekhar: Ab jald hi usse tumhari mulaqat hojayegi. Vo anewali hai, parso.
Jigar: Waiting to meet her...
~~~~~
Mumbai
Shukla Properties
Rashi entered and went to the receptionist.
Receptionist: How can i help you?
Rashi: I want to meet Mr. Ashok Shukla.
(Ashok Shukla is the person with whom RaJi had a meeting and he also complimented Jigar being lucky to have a beautiful and intelligent wife.)
Receptionist: Aap wait kijiye.
Rashi: Sure.
She sat in the waiting lounge.
Ashok's cabin
Ashok was talking with a lady.
Lady: Kuch bhi karo! Lekin mujhe Jigar aur Rashi Modi badnaam chahiye!
Ashok: You don't worry. Maine kaam shuru kardia hai. Aap befikar rahiye.
Lady: Ek mahine se tumhari ek hi baat sunn rahi hu. Kar kaam kar rahe ho to abtak kuch hua kyu nehi?!
Ashok: Mai kya karu? Mr. and Mrs. Modi maan hi nehi rahe the! Panch bar presentation badla unnhone. Akhir mei Mrs. Modi ne humare presentation ke jagah khud presentation dia. Tab jake deal finalize huyi.
Lady: Mujhe deal se koi matlab nehi hai! Mujhe sirf aur sirf Rashi aur Jigar ki barbadi chahiye! Khaas kar Rashi ki badnaami! Jigar ko mai sambhal lungi.
Ashok: Aap nishchint hokar aapki behen ki shaadi enjoy kijiye.
Lady: Vo to mai karungi hi. Agar shaadi khatam hone se pehle tumne kaam khatam nehi kia to...tumhare company ke saath Raheja Enterprise ka partnership hai vo to gaya samjho! Partnership khatam to tumhari ye company bhi khatam!
Ashok: Please aisa matt karna. Aapka kaam hojayega!
An employee knocked the door.
Ashok: Come in. Kya hai?
Employee: Sir, aapse milne Ras...(interrupted)
Ashok: Maine kaha na, mujhe koi disturbance nehi chahiye! Get lost!
Employee: Lekin, Mrs. Ra...(interrupted)
Ashok: Tumhe dikhai nehi deta mai Mrs. Raheja ke saath baat kar raha hu! Just get lost!
The employee left.
(Yes, the lady with whom Ashok Shukla is talking is Mrs. Raheja, Shekhar Raheja's brother's wife.)
Outside the cabin
The employee went to Rashi.
Employee: Ma'am, sir is in a meeting. He said not to disturb him.
Rashi: But... Fine. Just deliver this file to him and say that Rashi Modi came.
Employee: Okay, ma'am.
Rashi left the office.
Ashok's cabin
Mrs. Raheja: Mera kaam hojana chahiye. Nehi to...
Ashok: Haan, zarur hojayega. Zarur, zarur!
Mrs. Raheja's phone rang, "Hiya" flashing on the screen. She answered the call.
Mrs. Raheja: Bolo, Hiya.
Hiya: Kya, di, aap kaha ho? Harshad jiju aapko dhund rahe hai.
Mrs. Raheja: Mai ek kaam se ayi hu. Adhe ghante mei pohochti hu.
Hiya: Thik hai. (Harshad, Sonal's husband took the phone from Hiya)Sonal, tum kaha ho?
Mrs. Raheja is none other than SONAL!!
(If you don't remember her, then let me remind you that she's Jigar's ex-fiancee.)
Sonal: (irritated)Aap ek kaam se aya hu. Aap se matlab!
Without listening anything, she hung up.
Ashok: Aap nishchint hokar ghar jaiye.
She left the cabin annoyingly, followed by Ashok. When they came outside, an employee came to him with a file.
Employee: Sir.(giving him the file)
Ashok: Ye kya hai?
Employee: Rashi Modi ayi thi, aapse milne. Lekin aapne milne se mana kardia. Iss liye unnhone ye file hume de di aur kaha aapko dene ke liye.
Ashok: Kya! Rashi ayi thi!!
Employee: Haan, sir.
Ashok: Tumne mujhe bataya kyu nehi!
Employee: Bataya to tha lekin aap hi ne mana kardia...
Ashok remebered when the employee came to him.
Ashok: Oo, achha. Tum jao.
Sonal: Dekha! Tumhari bakwas ki wajah se aaj ek mauka haath se chala gaya.
Ashok: Maaf kardo, Madamji. Aage se koi galti nehi hogi. Pakka!
Sonal nodded, but gave some angry glances and then left. Ashok sighed.
________
I am really sorry for not providing the translations.
Actually, i am busy with Class Tests. This i am going to give my 2nd board exam, JSC, there are many kinds of exams/tests happening. Actually, i write FFs/SSs whenever i get some free time or i am in a mood of writing. I just imagine the characters, their dialogs and the scenes and type it on my phone. But, after my exams are over i'll try to provide the translations.
HOPE YOU ALL ENJOYED IT!