[Quote=deepboy]
meri yeh shayari ki aakhri koshish..
kahin galati bhi hoti hain..
toh pehle se hi maangte hain
aap sab se maafi ki bakshish..
kabhi kabhi main sochta hoon
ki yeh jeevan kitnaa anmol hain
ji kare khul ke jiooon
is bandish mein bhi kinti azaadi hain..
mere desh ki hariyaali aur mamta bhari gaaon
panghat mein tertaa hua kagaaz ki naaon
har andaaz mein choti choti khushiyaan
kisi chori ki muskaan jaise suraaj ki kiraaniyaan
sur ki sagar mein sargam ki mel
woh pehli choowaan woh chumban ka khel
fir bhi har saans ko parakhte chale hum
anjaan sah chale hazaaroon gum..
par har lamhaa yehi ahsaas dilaataa hain..
aye musafir chalta chal..
jeena jo hain jitne saal
kahin bhatak na jaaye tu apni manzil se..
kyunki jab tak saans hain..
zindagi ka ahsaas hain
par kabhi socha hain kisine yeh bhi..
ki har saans mein jalti hain yeh zindagi..
phir bhi ki ek ek saans ke liye tadapte hain hum..
kaash us pingre mein woh totaa nahin..
baandh lete saare aansu aur duniya ke gam..
par yeh dharti phir bhi sundar hain..
sooraj ki kirnein yahan roz chamakte hain..
aashaon ke ujaale yahaan bhaag chumtein hain..
aye manav tujhe kis baat ki daar..
agey badhte jaa..
aur dekh..har saans mein kitni zindagi hoti hain..
Aap ki koshish acchi hai jari rakhiya do not say that it is aakhri koshish.
need some more inspiration to awaken the hidden poet in me my friend.
will keep trying.Thanks for your inspiration.