I have written a couple of lines here..your task will be to add 4 lines here and that should be a right continuation resulting in the perfect end.I am sure you can do it...take your time as it took me quite some time to put my thoughts in words for this...
zindagi ke ek ajeeb mod pe aa there hain hum..
jahaan mere saamne do raaste hain..
ek- jahaan haar saans me zindagi hain
aur doosre ki har zindagi mein saans hain
main raahi tanhaa akela aur ek ajeebogareeb kashmakash
woh soona aangaan aur bachpan ke toote hue poraane aks
fir bhi chunna hain koi raah
jahaan se main mooh nahin fer saktaa..
jis narmi hath ko main chod nahin sakta..
kahin ubharte huye sitaaroon ki chamak
kahin bhadakte hue jwalamukhi ki damak..
sab dor ko sile jaaye
aur dil hi dil mein khoye jaaye..
kahin man ki aatma se mile to yehi poochenge hum..
kisiki zindagi mein itni hasi hain chhayi..
toh kisike charoon aur itnaa kyun hain gam