--Dialogues of the day-- Episode 132 pg 33 - Page 23

Created

Last reply

Replies

243

Views

57.4k

Users

48

Likes

575

Frequent Posters

-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago

Episode 115
September 24, 2015

--"Lakshya" yun toh bahut chotta sa shabd hota hai...
Lekin jinke paas hota hai, wohi jante hai uska kya Mahatva hota hai
Darr, Haar, Shanka jaise shabd...Shabdkosh se mita deta hai
Aur zindagi ko, ek nayi urja se Sanwar deta hai...
Lakshya

NandiniRaizadaa thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago
This thread is Amazing p
Thanks for keeping it updated Purnima
-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago

Episode 116
September 25, 2015

--Apne raaste ko manzil samajhne ki galti mat karna, kyunki raaste mein kabhi kabhi mod aate hai ...aur kabhi kabhi dead end bhi aa jata hai...

--Manzil par pahunchne ke baad do cheezein hoti hai
ya toh koi us se raaste ke bare mein nahi poochta ...ya phir wohi raasta ek misaal ban jata hai

--Duniya mein Kisi insaan ka "AnkPatra"...Marksheet,
Sirf uski satah ko dekhkar nahi banta...
Kyunki har kamyaabi ke peeche zaruri nahi sirf Kabliyat hi ho...Kismat bhi ho sakti hai...
Aur har nakamyaabi ke peeche zaruri nahi sirf Khamiya ho...Majbooriyan bhi ho sakti hai...

-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago
Episode 117
September 28, 2015

--Kisi ko na samajhne mein...aur kisi ko galat samajhne mein... "itna-sa" fark hota hai
Lekin "itne-se" fark ka Asar...bahut bada hota hai

Samajh rahe hai na aap!!
-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago

Episode 118
September 29,2015

Bhagwaan ka toh pata nahi, par shaitaan ke darshan is duniya mein aaye din hote hai...
Shakal insaan ki, par fitrat shaitaan ki...Yeh darinde humare beech hi hote hai
Par Is duniya ka yeh niyam hai, Har hisaab yahi par hota hai
Apni darindgi ka, har darinda ek din khud shikaar hota hai

-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago

Episode 119
September 30,2015

Is duniya mein jo bhi aata hai, uska jaana bhi tai hota hai
Us aane aur jaane ke beech se jo guzarta hai...Use "zindagi" kehte hai
Zindagi kitni lumbi jee...kitni chotti jee...Usse kahi zyada mayne is baat ke hote hai...
Ki zindagi kaisi jeeyi??
Lamhe kitne jeeye, usse kahi zyada mayne is baat ke reh jate hai...ki lamhe kitne diye?
Kyunki, ant mein, Janaze par toh sabhi aate hai...Par yaadon mein sirf woh reh jate hai
Jo yaadein chodkar jaate hai...

-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago
Episode 120
October 01, 2015


Bahut bhari hota hai woh karz, jo log saheed hokar chod jate hain,
Kisiki zindagi ki kimat, apni jaan dekar chukate hain.

Hai Salaam unhe, jo mar kar bhi zinda rehte hain,
Aur Salaam unhe bhi, joh uss karz ko apna farz samajh kar, jiye jaate hain
-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago

Episode 121
October 02, 2015

--baaton ki khaal nikalna aata hai...aur chehron se naqaab nochna bhi aata hai...aur kisi ko itna zaleel karna aat hai..ki, usse khud ke hone par sharminda hona pade.

--Kabir ko kisi ne cheda hai, ab who kis kis ko chedega aur kya chedega...iska andaaza lagana mumkin nahi

--Paisa aur position ko taqat samjhkar jo uske ghamand mein jeete hai,
Darsal, woh ek "bhram" mein jeete hai
Kyunki takat mein, "Ghamand" nahi hota
Taqat mein toh "Vishwaas" hota hai...
aur vishwaas "isme"(paise) mein nahi milta...
Vishwaas toh "yaha"(dimaag) mein hota hai
Bandook taan ne mein koi takat nahi...
Takat toh, bandook ke saamne khade rehne mein hai...

-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 9 years ago

Episode 122
October 05,2015



--Ananya fighter hai, isme iska father ka DNA hai, is samay araam nahi kar rahi, apno takat ikatha kar rahi hai...apni himaat juta rahi hai ladne ke liye...apni ladai ko anjaam tak lekar jaegi...

--Har khabar ke peeche ek sach hota...
paison ki takat se gunah karwaye bhi jaate hai ...aur gunaho par parda dalwaya bhi jata hai.

--Andhera tab tak rehta hai, jab tak is baat par afsos chalta hai ki, jo hua who kyun hua
Aur ujala tab hota hai, jab is baat par manthan shuru hota hai ki jo karna hai who kaise hoga?
Jo ho chukka hai, usse mitane ki takat bhale hi na ho...Lekin jo hoga, use likhne ki "Kshamta" zaroor hai hum mein...



-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 9 years ago
Episode 123
October 06,2015


--jung mein kabhi kabhi junoon self defeating ho jata hai

--maine jo kaha, usse aapne paper par likh liya, Very Good ...bahut time hai aapke paas.

--Kisika dard agar aapko taqleef de... Kisi ke aasoon agar aapko rula de,

Kisika gum agar aapki khushi chhin le...kisiki khushi agar aapko khila de,
Kisike sapne agar aapko sone na de... Kisi ki neend agar aapko sukoon de,
Toh janab pyaar hai... bahut pyaar hai!

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".