Part_3
Razia was all ready to attend the court and walking towards it when she saw Altunia.
Razia; aaj suraj to apni sahi jagah se hi niqla hai
ALtunia; haan to?
Razia; to aap kese subah subah darbaar k rukh krskte hen, haan agar koi ajoob hua hta to baat aur thi
Altunia; wo kya hai na aapke behnoi, yaani k hamare khas dost Atigin ne hum se guzarish ki thi, to hum taal na ske
Razia; acha? kyun ki guzarish
Altunia; ye to wahan ja k pta chale ga na, Sultan!
Razia; chaliye, pr eid k chaand ko dekh kr darbari kuch der k liye to sadme me ajayenge
Altunia; hum jahan bhi jaate hen sb hairan ho hi jaate hen, kya kren Allah ne shaqal hi kuch esi di hai
Razia; hum dekh rhe hen aaj kal apne husn ki badi tareefen kr rhe hen aap?
Altunia; yani maanti aap bhi hen k hum haseen hen?
Razia made a face and walked away, Altunia smiled.
They both entered the royal court and settled down. Altunia sat beside Atigin, their seats being the nearest to Sultan.
Atigin; agaye miyan
Altunia; haan, chodhween k chaand hen hum, roz roz to aa nhi skte na
Atigin; acha hua chodween aaj he phir
Altunia; kyun?
Atigin; abhi ruko pta chal jayega tumhen
Yaqut stood up
Yaqut; Sultan-e-hind ko hamara Salam qubool ho, daaku Aftab ki taraf se ek aur pegaam aya he, us ne hamari taraf se bheje huye paigaam ko na maante huye kaha hai k agar hum ne uski maangen puri na keen to wo un sb gaon walon ko jala dega
Altunia; ye dakoo kon he?
Atigin; arre miyan bada hi khatarnaak daaku he kai Sultan tak darte hen is se, ab usne apne ilaqe ko delhi sultanate se azaad kr uska badshah banne ka mutalba kiya hai aur isi waja se kai masoom ladkiyon aur bachon ko agwa kr k unki jaan ka soda krna chahta hai humse
Razia; samjh nahi aa rha kya kren, uski maang to hum kisi haal me puri nahi kr skte aur agar na ki to wo un masoom ladkiyon aur bachon ko...kisi aur samjhote ke liye wo tayar nahi...aap sab ka kya kehna hai
Altunia; Sultan agar ijaazad ho to hum kuch kahen
Razia; (in her head) ijazat to ese maang rhe hen jese hum mana kr denge to ye chup rahenge, aaj hi inka darbaar me ana zaruri tha, ...(loudly) jee ijazat he
Altunia; shukriya, hamen lagta hai hamen us daaku ko sakht alfaaz me mana kr dena chahiye
Razia; aap ye kesi baaten kr rhe hen, aap jaante hen na unhone kitne logon ko bandhi bna rkha he to phir hum kese?
Altunia; Sultan puri baat to sun lijiye hamari, hum ek taraf use mna krdete hen aur apne Yaqut miyan ko bhej dete hen unse ladne
Razia; Mirza! hamara matlab hai Malik Altunia ye aap kya keh rhe hen? Malik Yaqut akele kese us itni badi dakuon ki foj ka saamna krenge
Altunia; nahi kr skte? acha? (he looked at Yaqut and smirked)
Yaqut; Malik Altunia sahi keh rhe hen Sultan hum sambhal lenge
Razia; magar kese? agar kuch gadbad hogai to un ladkiyon ki jaan ko khatra aur bhad jayega
Altunia; Sultan..to kya hum ek mamuli dakoo k liye apni foj bhej kr use sir pe bitha len? aur awaam ko ye paigaam den k do qaudi ka dakoo Sultan ko itna dara deta he k wo puri foj bhej deti he,aur agar aap unki baat manti hen to phir to aaye din dakoo farmahishen liye khade honge...ab un ladkiyon ko bachana bhi zaruri he..dekhiye agar humen aapne itne kaam na sonpe hte to hum to abhi tak us dakoo ko thikane laga chuke hote, pr ab hum to masroof hen, Malik Atigin bhi masroof hen, phir Malik Yaqut ko dikat kya he? ek mamuli dakoo ko nhi jhel skte jung hogi to kya krenge
Razia fumed, Atigin smiled, Altunia smirked, Yaqut stood with no expressions.
Razia; theek hai par Malik Yaqut akele nahi jayenge,unke saath 10 log aur jayenge
After the court session was over Atigin and Altunia were chilling.
Atigin; miyan chehra dekhne wala tha us ka, choose huye aam ki tarah lag rha tha
Altunia; (mimicking Yaqut) hum sambhal lenge
they both laughed loudly. A slave came
Slave; Malik Altunia aapko Sultan ne yaad farmaya hai
Altunia; lo agaya buawa, ab wo hamen dhair sari khari khoti sunayengi, khud hi us yaqut ki tareefon k pul bandhti hen aur jab kaam kaho to pul kaat deti hen, is Yaqut ko to na hum
Atigin; arre miyan chodo bhi, tum jao aur hamari saali sahiba ko karare jawab de k aao
Altunia went to meet her, he came walking in style, Razia caught him and pinned him to the wall.
Altunia; arre Sultan kya kr rhi hen aap? hamari izat pe ese waar mat kijiye
Razia; chup kijiye aap..ye kya he kyun kiya aapne wo sb, hamen pta he Yaqut aapko pasand nhi pr akele bhejne ka sujhao? itni bhi kya dushmani he aapko?
Altunia; arre hum to unko apne aap ko sabit krne ka mauqa de rhe the isme dushmani kahan se agai? aap bhi jaanti hen hum to akele ese darjanon dakuon ko maar girayen.
She turned away
Razia: aapki baat aur he
He came close to her.
Altunia; wo kese (he whispered in her ear)
she turned to face him again
Razia; aapko hawa me udne ki adat hai jo baqiyon ko nahi hai
Altunia; aap maan bhi jaiye ab k pure darbaar me, balke puri dunya me hum jesa ladaka nhi hai, aur aapke darbaar me to saare hi aaltoo faltoo bhare pade hen, Atigin ne itne masle bta diye hamen, kr kya rhe hen sb, kuch din hum ne darbar se duri kya barti sari sultanate hi ulat di
Razia; tana maar rhe hen aap, kuch nhi bigda, sb sahi hai
Altunia; hamari majaal ke hum Sultan-e-waqt ko tana maren
Razia; hum kabhi nhi kahenge jo aapko sunna he phir dete rahiye taane hamen farq nahi padta
he pulled her close
Altunia; acha? kehna to aapko padega
Razia; baaz nahi ayenge na aap, khud hi chale jaiye na aapke sb kaam koi aur dekh lega wese bhi aapko to talwar ki bhi zarurat nhi he aapki ye zaban hi kafi he, talwar se bhi tez chalti he ye, kisi ko bhi apne tanon se ghayal kr den aap
Altunia; acha? humne to suna he kai haseeno ko khete, mirza k nasron k teer sabko ghayal krte hen
Razia was lost in his eyes for a while.
Razia pushed him and moved away.
Razia; konsi haseenayen hen ye zara hum bhi to jaanen?
Altunia; hamare chahne wale to bohot hen zamane me, par dil-e-nadaan ne usko chaha jisko fursat hi na mili dil lagane ki
Razia; aapki ye shayariyan hamare samjh me nhi aati
Altunia; ajayengi mohtarma, ek waqt ayega jab aapko raat k andheron me bhi roshni nazar ayegi din k ujalon me bhi tareeki nazar ayegi, mehfil me bhi khud ko akela aap payengi aur tanhai me bhi kisi ki yaadon k sahare hujoom ka ehsas mehsoos krengi
Razia was hearing him carefully.
Altunia; isse deewangi kehte hen mohtarma, aur koi bach nahi skta is se, ye naimat jab aapko ata hogi na tab sb samjh jayengi aap
She looked at him curiously.
Altunia; humara kaam koi aur kre ye hum se bardasht na hoga isiliye jana to Yaqut ko hi hoga aap bas duayen kijiye ab k wo zinda lot aye
Razia; kya? (she was still lost) huh..haan haan..wo kal rawana hojayega
She walked away lost in thoughts. Altunia sighed heavily
Altunia; deewangi ne iss sakht dil ko bhi pighla diya mohtarma to phir aapka dil to hai hi komal, kab isko ishq ka rog lag jaye kon jaane, bas Rab se yehi iltijaa hai, k wo khushnaseeb koi aur na ho
Edited by overactor - 10 years ago