well ... im not new but hve been a silent member of india-forums for quite sometime. I'm writing this FF coz well shan and khanak's story is complicated and i would like to tell my version of how these two should fall in love... plz give ur feedback as to if my ff is even good or not...
'arrey Khanak beta, tum abhi bhi yahi ho, jaao jaa kar doodh shan ko jaldi se de do, achi neend aayegi use doodh pi kar.'
she wiped her tears, 'ji dadi'
'beta kya hua? Kisi ne kuch kaha?'
khanak shook her head, ' nahi, woh aankh mein kuch chala gaya tha, mein jati hoon ab.'
'isse kya hua?'
'shan stop it!'
'tum ne mujhe maaf kiya ya nahi?'
' yeh natasha ke kamre mein shan! Abh pata chala Khanak udas kyu thi. Mujhe hi kuch karna padhega!'
dadi marches to tashu's room and opens the door, ' kya ho raha hai yaha!?'
'Dadi, woh natasha dukhi thi, isliye...'
'isliye kya shan?! Bhulo maat Khanak tumhari patni hai, natasha nahi ! poore din bechari Khanak ko tumhari maa bate sunati hai, uski bezati karti hai! par tumhe khanak ke dukh ki koi fikr nahi! '
' dadi khanak ko mein apni patni nahi manta! Mein sirf natasha se pyaar karta hoon.'
'pyaar karna naa karna door ki baat hai shan, tum kya use insaan jaise bhi baat karte ho, wo bechari poore din tumhare liye kitna kuch karti hai, aur tum? Tum raat ko natasha ke saath! Roo rahi thi woh darwaze ke bahar...'
' acha to aap ko usne bheja hai, mein use baat karta hoon.'
'shan ruko, khanak ko kuch kahene ki zaroorat nahi.'
' nahi natasha, paani sar ke upar se jaae use se pehle mein khanak ko aaj once and for all samajha dena chahata hoon, ki woh yeh patni dharm ka naatak bandh karde.'
'shan, shan!!'
'natasha shan ko jaana do, yeh baat pati patni ke beech ki hai, kisi doosre ko isme padhne ka koi haak nahi.'
'dadi mujhe haak hai, shan aur mein ek doosre se pyaar karte hai, sacha pyaar.'
'sacha pyaar?' dadi smirks ' natasha agar tum doono ke beech sacha pyaar hota to tum yaha nahi hoti. Tumhe shan aur apne pyaar pe poora bharosa hota. Bharosa hota ki Khanak chahe kuch bhi kare shan tumse pyaar karta rahe ga. Par tum yaha ho, Khanak se apne aap ko behtar saabit karne ki koshish kar rahi ho. Shan ko yeh dikha kar kya saabit karna chahati ho?'
'dadi aap ka maatlab kya hai? Mein Khanak se jalti nahi, aur mein yaha shan ke liye hoon.'
'natasha tum yaha shan ke liye nahi apne liye ho. Agar tumhare aur shantanu ke beech sacha pyaar hota to tum yaha shan aur khanak pe nazar rakhne rehne nahi aati. Aur naa hi tum dinner bana ne ki koshish karti ye jaane ke baad ki Khanak ka bheja hua lunch shan ko bahut pasand aaya hai. Tum apne aap se kuch bhi kehlo natasha par sachai yehi rahe gi ki tum darti ho ke aagar shan aur khanak ko waqt mila to woh ek doosre se pyaar karne lagege.'
with that dadi left the room leaving behind an angry and insulted natasha.
****
Khanak is in her room crying, recalling her moments with her Suraj, recalling the way he always cared for her, loved her. 'Suraj, kash tum aaj mere saat, mere paas hote. Kash tum us din factory naa jate, kash mein tumhe rok paati, toh aaj hum saath hote dhulwadi mein, aur yaha natasha aur Shantanu ki bhi shaadi ho jati... Subh khush hote.
She is weeping recalling suraj, unknown to her Shantanu is coming towards their room, his blood boiling with anger.
'how dare she complain to dadi, how dare she send dadi to scold me! I'll show her today, I make sure she understands that she doesn't mean anything, that she has no right.'
he reached his room and violently opened the door, Khanak was shocked as she saw him menacingly staring at her'
Sorry if i hve voilated forum rules đ
Chap 2- pg 2
Chap 3 ' pg 3
Chap 4 ' pg 4
Chap 5 ' pg 6
Chap 6 ' pg 7
Chap 7 ' pg 10
Chap 8 ' pg 13
Chap 9 - pg 15
Chap 10 - pg 18
Chap 11- pg 21
Chap 12 - pg 24
Chap 13 - pg 26
Chap 14 - pg29
Chap 15 - pg 32
Chap 16 - pg 34