STRUCK IN CASE 4.1.26
7 year leap for Yeh Rishta
Lokah fame Kalyani Priyadarshan cast opp Ranveer in Pralay
CASE IN COURT 5.1.26
Chipka chipki 🙄🙄
Deepika Padukone’s 40th birthday celebration thread
Happy 300 Manvikians.....
I'm loving Munni-Hrithik encounters and pair
How Many More Indo Pak Movies Will Be Made
great one
Wow Chandnii......its amazing....u should open it in a seperate thread i think....great job dear....loving it...👏Originally posted by: chandnii
i m sending the kahaani ab tak of RAMAYAN
hope u guys like it
Raghupati raghav raja ram,Patitpavan sitaram|
Jai raghunandan jai raghunath,
Patitpavan sitaram||
1. Bhid padi jab bhakt pukare , Dur karo prabhu dukh hamare |
Dashrath ke ghar janme RAM , Patitpavan Sitaram ||
2. Vishvamitr munishver aaye , Dashrathji ko vachan sunaye |
Sang mein bheje laxman RAM , Patitpavan Sitaram ||
3. Van mein jaye tadka mari , Charan chhuaye Ahilya taari |
Rishiyon ke dukh harte RAM , Patitpavan Sitaram ||
4. Janakpuri Raghunandan aaye , Nagar niwasi darshan paye |
Sita ke mann bhaye RAM , Patitpavan Sitaram ||
5. Raghunandan ne dhanush , sab rajaon ke maan ghataye |
Sita ne var paye RAM , Patitpavan Sitaram ||
6. Parshuram krodhit ho aaye , Dusht raja mann mein harshaye |
Janak rai ne kiya pranam , Patitpavan Sitaram ||
7. Bole lakhan suno meri gyani , sant nahi hote abhimaani |
Mithi vani bole RAM , Patitpavan Sitaram ||
8. Lakshman vachan dhyan mat dijo , Jo kuch dand das ko dijo |
Dhanush toda hoon main RAM , Patitpavan Sitaram ||
9. Lekar ke ye dhanush chadayo , Apni shakti mujhe dikhlao |
Chhuvat chaap chadaye RAM , Patitpavan Sitaram ||
10. Hui Urmila Lakhan ki rani , Shrutkirti Ripusudan pyari |
Hui Mandvi Bharat ke saath , Patitpavan Sitaram ||
11. Awadhpuri Raghunandan aaye , ghar-ghar nari mangal gaaye |
Samay bitaya khushi se RAM , Patitpavan Sitaram ||
12. Guru Vashisht se aagya lini , Raj tilak tayaari kini |
Kal ko honge raja RAM , Patitpavan Sitaram ||
13. Kutil manthra ne behkai , kaikayi ne ye baat sunaai |
De do mere do vardaan , Patitpavan Sitaram ||
14. Meri vinti tum sun lijo , Bharat putr ko gaddi dijo |
Hote hi prateh van bhejo RAM , Patitpavan Sitaram ||
15. Dharti pe gire Dashrath tatkal, Laga dil mein shul vishal |
Tab sumant bulvaye RAM , Patitpavan Sitaram ||
16. RAM pita ko sheesh navaye , Mukh se vachan kaha nahi jaye |
Kaikayi ne vachan sunae RAM , Patitpavan Sitaram ||
17. Raja ke tum pran pyare , Unke dukh haroge saare |
Ab tum van mein jao RAM , Patitpavan Sitaram ||
18. Van mein 14 varsh bitao , Raghukul riti niti apnao |
Tapsi bhesh banao RAM , Patitpavan Sitaram ||
19. Sunat vachan raghu harshaye , Mataji ke mandir aaye |
Charan kamal mein kiya pranam ,Patitpavan Sitaram ||
20. Mataji main to van jaaon , 14 versh baad phir aaoon |
Charan kamal dekhun sukh dham, Patitpavan Sitaram ||
21. Suni shul sam jab yeh bani , dharti per giri Kaushlya Rani |
Dheeraj bandha rahe shri RAM , Patitpavan Sitaram ||
22. SITAJI jab yeh sun payi , Rang mahal se niche aayi |
Kaushlya ko kiya pranam , Patitpavan Sitaram ||
23. Meri chuk shama kar dijo , Van jaane ki aagya dijo |
Sita ko samjhate RAM , Patitpavan Sitaram ||
24. Meri seekh siya sun lijo , Saas-sasur ki sewa kijo |
Mujhko bhi hoga vishram , Patitpavan Sitaram ||
25. Mera dosh bata prabhu dijo , Sang mujhe sewa mein lijo |
Ardhangini main tumhari RAM , Patitpavan Sitaram ||
26.Samachar suni Lakshman aaye,Dhanush ban sang param suhae|
Bole sang chalunga RAM , Patitpavan Sitaram ||
27. RAM , LAKHAN , MITHLESH KUMARI, Van jane ki kari tayaari |
Rath mein baith gaye such dham , Patitpavan Sitaram ||
28. Awadhpuri ke sab nar nari , Samachar sun vyakul bhaari |
Macha AWADH mein ati kohram , Patitpavan Sitaram ||
29. Shrangverpur Raghuvar aaye , Rath ko Awadhpuri lautaye |
Ganga tatt par aaye RAM ,Patitpavan Sitaram ||
30. Kewat kahe charan dhulvao , pichhe nauka mein chad jao |
Pathar kar di thi nari RAM , Patitpavan Sitaram ||
31. Laya ek kathota pani ,Charan kamal dhoye such maani |
Naav chadaye Lakshman RAM , Patitpavan Sitaram ||
32. Utrai mein mudrika dini , Kewat ne yeh vinti lini |
Utrai nahi lunga RAM , Patitpavan Sitaram ||
33. Tum aaye hum ghat utare , Hum aayenge ghat tumhare |
Tab tum paar lagana RAM , Patitpavan Sitaram ||
34. Bhardwaj ashram par aaye , RAM LAKHAN ne sheesh navaye|
Ek raat kinha vishram , Patitpavan Sitaram ||
35. Bhai bharat ayodhya aaye , Kaikayi ko katu vachan sunaye |
Kyon tumne van bheje RAM , Patitpavan Sitaram ||
36. Chitrkut Raghunandan aaye , Van ko dekh SIYA such paye |
Mile Bharat se bhai RAM , Patitpavan Sitaram ||
37. Awadhpuri ko chaliye bhai ,Ye sab Kaikayi ki katumai |
Tanik dosh nahi mera RAM , Patitpavan Sitaram ||
38. Charan paduka tum le jao , Puja kar darshan phal pao |
Bharat ko kanth lagaye RAM , Patitpavan Sitaram ||
39. Aage chale RAM raghuraya , Nishacharon ka vansh mitaya |
Rishiyon ke hue puran kaam , Patitpavan Sitaram ||
40.'Ansuyya' ki kutiya aaye , Divye vastr Siya maa ne paye |
Tha muni Atri ka veh dham , Patitpavan sitaram ||
41. Muni sthal aaye raghurai , Shurpnkha ki naak katai |
Khardushan ko mare RAM ,Patitpavan Sitaram ||
42. Panchvati Raghunndan aye , Kanak mrig'MARICH'sang dhaye |
Lakshman tumhe bulate RAM ,Patitpavan Sitaram ||
43. Ravan sadhu bhesh mein aaya , Bhuk ne mujhko bahut sataya |
Bhiksha do yeh dharma ka RAM , Patitpavan Sitaram ||
44. Bhiksha leker sita aayi, Haath pakad rath mein baithayi |
Suuni kutiya dekhi RAM ,Patitpavan Sitaram ||
45. Dharni gire RAM raghurai ,Sita ke bin vyakulta aayi |
Hey priye SITE chikhe RAM ,Patitpavan Sitaram ||
46. Laxman,Sita chhod nahi aate , Janak dulari nahi gavate |
Bane banaye bigde kaam , Patitpavan Sitaram ||
47. Kamal vadan suhasini Site, Tum bin vyarth rahenge jite|
Lage chandni jaise gham ,Patitpavan Sitaram ||
48. Sun ri maina sun rie tota, Main bhi pankhon wala hota |
van-van leta dhondh tamaam ,Patitpavan Sitaram ||
49. Shyama hirni tu hi bata de , Janak nandini mujhe mila de |
Tere jaisi ankhen shyam ,Patitpavan Sitaram ||
50. Van-van dhoondh rahe raghrai , Janak dulari kahin na paayi |
Gidhraj ne kiya pranam ,Patitpavan Sitaram ||
51. Chakh-chakh kar phal shabri lai ,prem sahit khaye raghurai |
Isse mithe nahi hain aam ,Patitpavan Sitaram ||
52. Vipr rup dhari hanumat aye,Charan kamal mein sheesh navaye |
Kandhe par baithaye RAM ,Patitpavan Sitaram ||
53. Sugriv se kari mitrai , Apni saari katha sunai |
Bali pahunchaya nij dham , Patitpavan Sitaram ||
54. Singhasan Sugriv baithaye ,Mann mein veh ati harshaye |
Varsha ritu aayi hey RAM ,Patitpavan Sitaram ||
55. Hey bhai lakshman tum tum jao , vanarpati ko yeh samjhao |
SITA bin vyakul hain RAM ,Patitpavan Sitaram ||
56. Desh-desh vanar bhijvaye , Sagar ke sab tatt per aaye |
Sehte bhook,pyaas aur ghaam , Patitpavan Sitaram ||
57. Sampati ne pata bataya , Sita ko Ravan le aaya |
Sagar laagh gaye Hanuman , Patitpavan Sitaram ||
58. Kone-kone pata lagaya , Bhakt Vibhishn ka ghar paaya |
Hanuman ko kiya pranam , Patitpavan Sitaram ||
59. Ashok vatika Hanumat aaye , Vriksh tale Siya maa kop aye |
Aansu bares aathon yam ,Patitpavan Sitaram ||
60. Ravan sang nishachari leke , Sita ko bola samjhake |
Meri aur tumdekho ek baar ,Patitpavan Sitaram ||
61. Mandodri banaa dun daasi, Sab sewa mein lanka wasi |
Karo bhawan chalkar vishram ,Patitpavan Sitaram ||
62. Chahe mastak kate hmara ,Main nahi dekhun badan tumhara |
Mere tan,mann,dhan hain RAM ,Patitpavan Sitaram ||
63. Upar se mudrika girai , Sitaji ne kanth lagai |
Hanuman ne phir kiya pranam ,Patitpavan Sitaram ||
64. Mujhko bheja hai Raghuraya , Sagar laangh yahaan main aaya |
Main hoon RAM daas Hanuman ,Patitpavan Sitaram ||
65. Bhukh lagi phal khana chahoon , Jo mata ki aagya paaon |
Sabke swami hain shri RAM, Patitpavan Sitaram ||
66. Saavdhan ho kar phal khaana , Rakhwalon ko bhul na jana |
Nishacharon ka hai yeh dham ,Patitpavan Sitaram ||
67. Hanuman ne vriksh ukhare , Dekh-dekh maali lalkare |
Maar-maar pahunchaye dham ,Patitpavan Sitaram ||
68. Akshay Kumarko swarg pahunchaya,Inderjeet phir aaya |
Brahmphaans se baandhe Hanuman ,Patitpavan Sitaram ||
69. Sita ko tum lauta dijo , Unse shama yachna kijo |
Teen lok ke swami RAM , Patitpavan Sitaram ||
70. Bhakt Vibhishan ne samjhaya , Ravan ne usko dhamkaya |
Sanmukh dekh rahe Hanuman, Patitpavan Sitaram ||
71. Rui,Tel,Ghee,Vastr mangai,Punchh baandh kar aag lagai |
Phunchh ghumai hai Hanuman , Patitpavan Sitaram ||
72. Sab lanka mein aag lagai , Sagar mein ja punch bujhai |
Hridye kamal mein rakhe RAM ,Patitpavan Sitaram ||
73. Sagar kud laut ghar aaye , Samachar raghuvar ne paaye |
Divye bhakti ka diya inaam , Patitpavan Sitaram ||
74. Vanar rich sng mein laye, Lakshman sahit sindhu tatt par aaye |
Lage sukhane sagar RAM ,Patitpavan Sitaram ||
75. Setu kapi Nal Neel banave,RAM-2 likh shila taravein|
Lanka pahunche raja RAM,Patitpavan Sitaram ||
76. Angad chal lanka mein aaye, Sabha bich mein paanv uthaye|
Bali putra maha bal dham ,Patitpavan Sitaram ||
77. Ravan paanv hataane aaya , Angad ne phir paanv uthaya |
Shama kare tujhko shri RAM ,Patitpavan Sitaram ||
78. Nishacharon ki sena aayi , Garaj taraj kar hui ladai |
Vanar bole jai shri RAM , Patitpavan Sitaram ||
79. Kumbhkaran Uthkar tab aaya , Ek baand se use giraya |
Kumbhkaran pahunchaya dhaam ,Patitpavan sitaram ||
wow...nice creation best fan..👏
CHECK OUT RAMJI (GURMEET BHAIYA) AT MY HOME
great answers Chandni..👏👏👏
awwwwwwwweeeeee.......Gurmeet is looking very decent in this pic....look t him.....sooooo cuteeeeeeee...😃😃😃😃
wow...........Thanx Rupali di............superb pic😃