And thanks for the lyrics Ananya! It was a nice surprise. ⭐️ But can you please post the lyrics in this Fan Club too?
Ham katha sunaate Raam sakal Gundhaam ki
Ye Ramayan hai punyakatha Shri Raam ki
Jambudweepe bharatkhande aaryavarte bhaaratvarshe
Ek nagari hai vikhyaat ayodhya naam ki.
Yehi janmabhoomi hai parampujya shri raam ki
Ham katha sunaate Ram sakal gundhaam ki
Ye Ramayan hai punyakatha Shri Raam ki (2x)
Raghukul ke Raaja Dharmaatma
Chakravarti Dashrath Punyaatma
Santati hetu yagya karvaaya
Dharmayagya ka shubh phal paaya
Nrip ghar janme chaar kumaara
Raghukuldeep jagat aadhaara
Chaaro bhraaton ke shubh naama
Bharat, Shatrughan, Lakshman Raama
Guru Vashishtha ke gurukul jaake
Alpkaal vidya sab paake
Puran hui shiksha, Raghuvar puran kaam ki
Hum katha sunaate Raam sakal Gundhaam ki
Ye Ramayan hai punya katha Shri Raam Ki
Mridu swar komal bhaavana
Rochak prastuti dhang
Ek ek kar varnan kare luv kush Raam prasang
Vishvamitra maha muni raai
Jinke sang chale dou bhaai
Kaise Raam Taadka maari, kaise naath Ahilya taari
Munivar vishvamitra tab sang le lakshman Raam
Siya swayamwar dekhne pahunche Mithila dhaam
Janakpur utsav hai bhaari(2x)
Apne var ka chayan karengi, Sita sukumari
Janakpur utsav hai bhaari
Janak raaj ka kathin Pran
suno suno sabkoi
jo tode shiv dhanush ko so sita pati hoi
Ko tode shivdhanush kathor
Sabki drishti Ram ki or
Ram vinaygun ke avtaar
Guruvar ki aagya sirdhaar
Sahaj bhau se shivdhanu todaa
Janaksuta sang naata jodaa
Raghuvar jaisa aur na koi
Sita ki samta nahi hoi
Dou kare parajit kaati koti rati kaam ki
Ham katha sunaate Ram sakal gundhaam ki
Ye ramayan hai punyakatha siyaraam ki
Sab par shabd mohini daari
Mantramugdh bhaye sab nar naari
Yo din rain jaat hai beete
Luv kush ne sabke man jeete
Vangaman, Seeta haran, Hanumat milan, Lanka Dahan ,Ravan maran
Ayodhya punah aagaman
Savistaar sab katha sunaai
Raaja Raam bhaye Raghuraai
Raam Raaj aayo sukhdaai
Sukh samridhi shree ghar ghar aayi
Part 2
Kaalchakra ne, Ghatnakram ne aisa chakra chalaaya
Raam Siya ke jeevan mein phir ghor andheraa chhaaya
Avadh mein aisa, aisa ek din aaya
Nishkalank seeta pe praja ne mithya dosh lagaaya
Awadh mein aisa, aisa ek din aaya
Chaldi siya jab todkar sab neh naate moh ke
Paashan hridayo mein na angaare jage vidroh ke
Mamtamayi maao ke aanchal dhiwsamat kar rah gaye
Gurudev gyaan aur neeti ke saagar bhi ghat kar rah gaye
Na raghukul na raghukulnayak, koi na siy ka hua sahaayak
Maanavta ko kho baithe jab, sabhya nagar ke vaasi
Tab seeta ko hua sahaayak van ka ek sanyaasi
Un rishi param udaar ka Vaalmiki shubh naam
Sita ko aashreya diyaa, le aaye nij dhaam
Raghukul mein kuldeep jalaaye
Raam ke do sut siya ne jaaye
Shrotagan, jo ek raja ki putri hai
Ek raja ki putravadhu hai
Aur ek chakravarti raja ki patni hai
Wahi maharani Seeta vanvas ke dukho mein
apne din kaise kaatti hai
Apne kul ke gaurav aur swabhimaan ke raksha karte hue
Kisise sahaayta maange bina kaise apna kaam swayam karti hai
Swayam van se lakdi kaatti hai swayam apna dhaan kootti hai
Swayam apni chakki peesti hai
Aur apni santaan ko swawalambhi banne ki shiksha kaise deti hai
Ab uske karun chhaati dekhiye
Janakdulari kulvadhu dasharath ji ki
Raajrani hoke din van mein bitati hai
Rehti thi gheri jise daas daasiyon aatho yaam
Daasi bani apni udaasi ko chhupaati hai
Dharmapraveena sati param kulila sab
Vidhi dosh hi na gina dukh mein sikhaati hai
Jagmaata haripriy Lakshimi swarupa siya
Kootti hain dhaan bhoj swayam banaati hai
Kathin kulhaadi leke lakdiyan kaatti hai
Karma likhe ko par kaat nahi paati hai
Phool bhi uthaana bhaadi jo sukumari ko tha
Dukhe bhade jeevan ka bojh wo uthaati hai
Ardhangini Raghuveer ki wo dhar dheer
Bharti hai neer, neer nayan mein nahlaati hai
Pees ke praja ke apwaado ke kuchakra mein wo
peesti hai jaake swabhimaan ko bachaati hai
Paalti hai bachcho ko wo karmyogini ke bhaati
Swaabhiman ni swaval visakal banaati hai
aisi seeta mata ki pariksha lete dukh dete
nithur niyati ko daya bhi nahi aati hai
Us dukhiya ke raajdulaare
Ham hi sut Shri Raam tihaare
Seeta maa ki aankh ke taare
Luv kush hai pitu naam hamaare
He pitu bhaagya hamaare jaage
Raam katha kahi raam ke aage.