Well written. 👏
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread-16th September, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 16, 2025 Episode Discussion Thread
🏏T20 Asia Cup 2025: AFG vs BAN, 9th Match, Group B at Abu Dhabi🏏
BHAJAN & DANCE 16.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 17, 2025 Episode Discussion Thread
YRKKH SM updates, BTS and Spoilers Thread #127
BACK TO MUSSORIE 17.9
BALH Naya Season BC Voting~BY PM INVITE ONLY~Vote for 2 entries
Kajalmaya - sp's new thriller show
Farewell week...In Every Glance, A Lifetime: The Saga of PraShiv💕
War 2 sets record as biggest flop in Indian cinema history
Bipasha Basu and Neha linked to Raj Kundra’s 60 crore fraud case
Is Janhvi Kapoor going to be known as a one-hit wonder?
🏏T20 Asia Cup 2025: UAE vs Pak, 10th Match, Group A at Dubai🏏
Abhi-Ash Separation Rumours Is Garbage
Anupamaa 17 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Premiere - The Ba***ds Of Bollywood
Bollywood Celebrates Modi's 75th Birthday
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 17th Sep '25
Dilshaad-Asad Conversation : Our Versions
As we all anxiously anticipate the mother-son conversation tomorrow, why don't we all write a short OS? Would love to hear everyone's thoughts and versions on this..
My Version:
As seen in the promo, Asad, Dilshaad and Tanu have returned from the wedding banquet, while Najma and Zoya are still on their way.
"Asad, mujhey sach sach batao, kya tum Zoya se pyaar nahin karte?'
Asad turns his head away.
"Tumney Zoya ko anghoothi pehnayi hai Asad, kya tum us se mohabbat nahin karte?"
An emotional Asad is about to reply, but then notices Zoya and Najma walk through the front door. Zoya's last words still echo in head, "I am not mad!"
"NAHIN! MAIN ZOYA SE MOHABBAT NAHIN KARTA!" He replies vehemently and walks away from the living room, shutting his bedroom door behind him. Dilshaad notices the color drain from Zoya's face. Obviously, she has heard his answer.
In a corner, Tanveer beams victoriously. Razia's observation notwithstanding, she has again found an open door to finagle her way into Asad's life.
Zoya, heartbroken, runs off to her room without uttering a word. A tearful Najma can't believe what she just heard. Bhaijaan couldn't have said that. She has seen them together; they are always so oblivious to everyone around them when they are together- of course they are in love.
Dilshaad takes a deep breath. She is seething with anger but is not convinced with Asad's answers.
She follows Asad to his room.
"ASAD!"
Asad stood near the window, pensive and tearful. Shireen's insults, ammi's pledge about his nikaah and then her question about Zoya have plagued his mind. Ammi's word is like an order from Allah but his mind doesn't want to give in; how can he act against his principles?
"Ammi?" He turned around, "ab bahut raat ho gayi hai, aap please so jaaiye."
"Nahin Asad. Jab tak tum mere sawaal ka jawaab nahin doge, main na tho so paaungi, aur na hi chain se baith paaungi."
"Ammi, maine aapko apna jawaab de diya hai." He averted his gaze and stared outside the window.
"GALAT! Merei aankhon mein aankhein daal kar bolo Asad. Tumhari zubaan kuch bhi kahe, lekin main tumhari aankhon mein sach dekhna chaahti hoon."
"Ammi, aap tho janti hain, main mohabbat jaise jazbaton mein yakeen nahin rakhta."
"Yakeen rakhte nahin ya yakeen rakhna nahin chaahte?" She pulled his arm and forced him to have eye contact with her.
"Ammi! Aap jazbaaton mein beh rahi hain. Please calm down and think about it."
"Asad, kya tum apni ammi ki baat poori nahin karoge? Dekha na tumne, un logon ne kaise tumhari ammi ki bhari mehfil mein be izzati ki aaj?"
"Jaanta hoon ammi, lekin aap hi tho kehti hain ki aise logon ko mooh nahin lagaana chaahiye."
"Aaj unhonein mere bachchon par ungli uthaai hai Asad! Mujhey wo kuch bhi keh lein, lekin main apne bachchon ki be izzati kabhie nahin she sakti. Asad, I need an answer."
"Ammi'k-kya aapne Ms Farooqui se poocha hai? Wo tho is sagai ko bhi nakli samajhti hain."
"Na tum is sagai ko nakli samajhte ho, aur na wo."
"Yeh aap kaise keh sakti hain ammi?"
"Jo ladki apne nikaah se bhaag sakti hai, wo anghoothi tabhi pehnegi jab wo us rishte ko sachcha maane."
"Wo tho unhone visa ke liye.."
"Wo tumhein lagta hai Asad. Kya tumne kabhie yeh jaan ne ki koshish ki hai ki wo Hindustan mein kyun rehna chaahti hai? Ab tho uske abbu ka kissa bhi khatam ho gaya. Tho phir kyun?"
"A-apke aur Najma ke liye."
"Asad! Shayad tum ek aurat ka dil kabhie nahin samajh paaoge."
"Ammi'Zoya is ghar ke liye theek nahin hai! Her values are different, uske sochne ka tareeka, uska rehen sehen hamari family mein nahin chalega."
"Yeh tumhara sochna na hai Asad. Lekin main jaanti hoon ki agar koi ladki is ghar ki bahu ban ne le laayak hai tho wo hai Zoya. Wo bhi tumse be inteha mohabbat karti hai. Maine uski aankhon mein dekha hai. Uski subah tum se shuru hoti hai, aur shaam bhi tumhare liye hi hoti hai. Deewani hai wo tumhari Asad."
Asad is stunned but comes back with a retort.
"Ammi'lekin'aap tho jaanti hain, main nahin chaahta ki uski zindagi bhi aap ki tarah'..." He paused.
"Meri tarah akeli reh jaaye?" She taunted him.
He remained silent.
"Jaante ho Asad, tumhare abbu ne 17 saal pehle jo bhi kiya ho, jis wajah se bhi kiya ho, mujhey iska jawab nahin chaahiye, lekin itna zaroor jaanti hoon ki unhone mujhse sachchi mohabbat ki thi'aur shayad ab bhi karte hain. Mujhey chhod kar unki zindagi mein na tho mohabbat hai, aur na hi khushi. Wo tho ek zinda laash hain Asad. Tabhie tho sirf chup rehte hain ab. Jaise unki zubaan hi kisi ne kheech lee ho. Kya tum bhi aise gumnaami ki zindagi jeena chaahte ho Asad?"
"Ammi..yeh aap kya keh rahi hain? I don't understand all this."
"Shayad samjhoge bhi nahin, kyunki sachchi mohabbat ki value tabhie pata chalti hai, jab hum usey kho dete hain. Zoya ki mohabbat ko thukra kar tumne aaj yeh saabit kar diya hai ki tum Janab Rashid Ahmed Khan ke hi bte ho!"
"AMMI!" Asad yelled in anger, "aap meri tulna unse kar rahi hain? Jinhonein humein siva gham ke kuch nahin diya?" Ammi had touched a sore chord.
"Kyunki tum bhi wo hi karne jaa rahe ho Asad."
Dilshaad turned around and walked to the door.
Asad followed her and placed his hand on her shoulder, 'ammi'.please inform Zoya's aapi and jiju'.main is nikaah ke liye tayyar hoon."
'...please feel free to write your versions..
Bheegi👍🏼..you are such an optimist...such a sweet and beautiful scene...👏🤗Dilshaad: wondering *why do I only get idiot men in my life ...this bloody Rashid...the darned khamoshi gene...git*"bolo na bolo na Asad ...mohobbat nahin kartein"Zoya: thinking * Mr.Khan...joker...say it out or I'll smack you hard*Asad: thinking * she's such a hawtie, and...much smarter than I am, technology savvy..way more than I can hope to be..she even knows how to laugh...wonder how that feels...*"woh actually "Zoya : * phir se woh air actually * "phuphi. toss kartein hain"Dilshaad : *knows secretly Asad will cheat* "haan haan"Tanveer : she gives up...* rolls eyes* *he'll cheat again *Asad : so excited he doesn't have to do anything and he'll get what he wants yet again * yes yes..where is the khota sikka *Toss...happens...Asad cheats... nikaah of A and Z settled"Asad Ahmed Khan kya aapko Zoya Faarooqui Qubool hai?""woh actually..."