mera naam Rimsha hai
mujhe shair o shairy ka bohot
shuk hai or shayed ap sub ko bhi
mai yahan pr kuch shairya post krungi
agar apko achi lage to koi acha sa comment
kjye ga or agarnhi to plz koi abusing sa comment
mat kjye ga.
"SHUKRIYA"
*****Meray Humsafar Tujhay Keya khabber*****
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber...
Yeh Rastoon kee muzelain ...
Yeh munziloon kay Fasly...
Yeh Fasloon kay Rasty...
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber...
Joh chalain toh yeh faslay
ik khawaab sa khyaal hoon...
Joh rukain toh aey hum qadam!
Yehee rastay yehee qafly...
zeest ka malaal hoon ...
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber...
Joh chalain toh aey hum nafas!...
yehee muzelain yehee qaflay...
ik roshnee ka shabaab hoon...
Joh rukain toh aey hum nawa!!!
ik raat sa azaab hoon ...
tery wasty mery wasty ...yehee qafly...yehee Rasty...
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber...
Joh tery koucha-o-darr say nikal gaye ...
wohee munziloon say bhataak gaye...
inhee rastoon say parray huway ...
inhee fasloon say woh der gaye...
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber...
Joh guzzer gaye, toh chamakk uthay ...
tairee munzelian tery rasty ...
joh Bichar gaey, toh madhamm huway ...
teray rastay teray qaflay...
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber...
yehee muzelain joh ammer huween ...
wohee qafloon ka fakher huween ...
yeheee rastay yehee qaflay ...
teree deed ka sammer huween ...
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber...
MOHABBAT
Tum Ne Keh Diya Jaana
Kis Qadar Aasaani Say
Chand Roz Mehfil Mein Main Nazar Na Aoon To
Ye Khayal Kar Lena
Waqt Ne Mujhey Tum Say Door Kar Diya Ho Ga
Kis Qadar Aasaani Say
Kund Dhaar Ye Nishtar Dil Ke Paar Kar Daaley
Par Mujhey Yaqeen Hai Ke
Mohabbaton Ke Rishton Mein
Lafzon Ki Haqeeqat Kuch Nahin Hoti
Jo Dilon Mein Bastey Hon
Door Woh Nahin Hotey
Waqt Gar Humein Unn Say Door Kar Bhi Daaley To
Dil Unhein Nahin Khota
Pyar Kam Nahin Hota !!!
Ye sunsaan ratein ,ye thandi hawaein,ye pheli hui teri yadon ki khushbu
Ye chup chaap se pair,ye gham ke saaye,ye dil ki kasak,ye ulfat ka jadoo
Ye sab jaagte hain,ye sab sochte hain ,ye sab karwatein le k hain aah bharte
Nayi manzilon se ,naye raaston se ,naye mor se sab k sab hain guzarte
Her ek mor per jaise koi khada ho,isharon isharon mein kuch ke raha ho
Samajh mein na aaye koi baat us ki mager jaise chasma sa ek bah raha ho
Koi jaise meethe madhur geet k bole madham suron mein un hi gungunaye
Koi jaise tufaan dabaye ho dil mein ,kisi se mager phir bhi kuch keh na paye
Kuch alfaaz aise jo yun daikhne mein purane se hain aur kitne hi insaan
Un hi k sahare se kehte rahe hain dilon ki muradein ,dilon k armaan
Ye armaan ,ye aarzoein hamari ,ye kuch kumhlate hue phool jaise
Jagayein jinhen aa k jhonke hawa k ,jinhein gud guda jayen aa aa k bhanware
Khizaaon ki hawaon k chalne se pehle,tapakte hue phool k rass mein goya
koi geet sa bun liya hai baharon ne gaate hain ab bhi jaise baagh-o-sahra
jo kunj -e-mohabbat mein pairon ki chanti hui chandni ki zaban se hai kehta
Kaho aaj ki raat kaisi guzaari...?? Koi aaj ki raat milne bhi aaya...??
Muhabbat musaam nahi
ke appni muddat porri karray
or rukhsat ho jay
muhabbat sawan nahi hai
tut kar barsay
or tham jay
muhabbat aag nahi hai
sulghay bharkay
or khatam ho jay
muhabbat tou chand ke maand hai
jo barta hai ghatta hai
nikalta hai chopta hai
magaer phir bhi fana nahi hota
❤️