Hey PViansš and hello ViSa fansš I do not write often because I am not very good at it and it is tiringš, but since I love ViSa very much now-a-days and they are on my mind a lot, I thought to write this one. This is a one shot(so no more partsš) and it starts from last episode when Vikrant comes along with Abhi to their room after the lift fiasco. So here it goesš
Sarita comes back from washroom with Abhi and sits down to play board games with him. Vikrant is still very angry on her but keeps mum in front of Abhi and pretends to read a magazine.
Abhi-mumma aap sabse jyada pyaar kisko karte ho?
Sarita(lovingly,kissing his cheeks)-tumkoā¤ļø
Sachci
Mucchi
To aap hamesha mere saath rahoge na
Haan baby..mumma hamesha aapke saath rahegi chahe kuch bhi ho jaye..
Vikrant looks at her angrily thinking her promises to be all fake and drama..he is losing the little patience he is holding because Abhi is there..
Abhi gets a wide smile hearing Sarita's answer and suddenly remembers something..
Mumma papa mein play room mein kuch bhool gaya..mein abhi lekar wapis aata hun..
As soon as Abhi goes,Vikrant gets up and cannot hold his anger anymore..
Tum ek chhote se bachche ko jo tumse itna pyaar karta hai,jhoot kaise bol sakti ho..
Maine koi jhoot nahi bola..
Bas..bhoat hua..š”mein thak gaya hoon is ladai se,..mein thak gaya hun is jhoot aur dikhave se..din raat ye soch ke guzarna ki kya sach hai aur kya jhoot..tumne sahi kaha tha ki maine ye shaadi abhimaan ke liye ki thi..ek deal ki tarah..par kahin na kahin mujhe yakeen tha ki tum humme,,abhi ko dhokha nahi dogi..Par mein galat tha..galat tha mein..
Sarita sees pain more than anger this time on Vikrant's face and it pinches her somewhere..She tries to interrupt Nahi vikrant ji aap galat samaj rahe hain..meri baat suniye
Vikrant is emotionally charged and does not let her speak..Nahi mujhe kuch nahi sunna..us din bhi maine tumhe saaf saaf keh diya tha jo mujhe lag raha tha..par tumhi ne chilla chilla kar kaha tha ki tum abhi ki ma ho aur meri patni..aj bhi tumhara saara dhyam Rajji par tha..phir bhi tum mani nahi aur saari chilli sauce kha gayi mujhe galat saabit karne ke liye..tumhe kya lagta hai mujhe maza aata hai tumhe dard mein dekhkar?..han??..nahii..mein khud ki soch ko galat samajhne ki kitni bhi koshish kyun na karu,tum usse sahi sabit kar hi deti ho..Aj to tumne had hi kar di Raj ke saath khule aam lift mein band hokar.. He looks hurt and after a pause continues..Sarita is sad too but is unable to say anything as she herself was shocked with Raj's act in the lift today.
Uss din Raj ne mujhe saaf saaf keh diya tha ki vo tumhare liye yahan aaya hai(Sarita gets shocked),..phir bhi mujhe laga ki tum Abhi ke saath galat nahi karogi..kyunki Abhi ki care karte hua maine dekha hai tumhe..mujhe nahi pata tha ki abhi ke liye tumhara pyaar bhi ek dikhawa tha..aur hoga bhi kyun nahi..maine zabardasti jo ki hai tumhare saath..tumne bina Abhi ke bare mein soche ye shaadi todne ka faisla kiya to tum galat nahi par kyunki mere bete ki khushi ke liye,,uski zindagi ke liye maine ye shaadi karne ke liye tumse shart rakhi to mein duniya ka sabse galat aadmi ho gaya?vaise tumhe jankar shayad hairani ho par tumhare meri shart manne se pehle hi mein sheela ko bachane ka kaam kar chukka tha(Sarita is stunned)..han..itni hairani ho rahi hai?..han..main koi tumhare aur Raj ki tarah acchayi ka dhong nahi karta..mein jo hun wo hun..main kisi ko dikhane ke liye kuch nahi karta..maine tumse aur Raj se baar baar poocha tha tumhari feelings ke bare mein..bolo..nahi poocha tha? Par har baar ,,har baar tum dono ne yahi kaha kit um sirf dost ho aur ye shaadi ke liye raazi ho..par nahi galat to mein hi tha.. aaur isliye aj ye din dekhna pad raha hai..par bas..aur nahi..ab aur nahi Sarita..tum aur Raj bohat khel khel chuke..bohat dhoka de diya tumne mujhe,abhi ko aur us bechari ladki Divya ko..meine tey kar liya hai ki jo hoga dekha jayega par ab mein aur mera baccha ye jhoot ki zindagi aur nahi jiyenge..aj,abhi isi waqt mein tumhe azaad karta hoon..hamesha hamesha ke liye...tum chali jao apne Raj ke paas..humari zindagi se door..
Wet tears which were in Vikrant's eyes all this time finally betrayed his eyes and streamed down his face.He turned his face away from Sarita to hide the pain he was unable to handle anymore. He had brought it all on himself he thought..If I would have not let my feelings come in the way,this day would not have come..If I could be The Vikrant Suryavanshi than nobody could take away what I want..,but these feelings which I am unable to name will not let me do that..if Sarita wants to go,she should go..I cannot stop her from leaving...I just cannot..
Sarita felt like her entire world came crashing down again with Vikrant asking her to leave..she felt she will die any moment now..she wanted to die..Tears streamed down her eyes like heavy rain pouring down the sky..
She felt dizzy and was about to fall on floor when Vikrant saw her and caught her just when she was about to touch the ground. With her sudden weight on him, he could not make her stand so instead made her sit giving her support of the bedframe..he hurriedly went to the corner table and brought some water for her seeing her dishevelled state. He sat next to her and offered her water asking is she was ok. He was shocked when Sarita threw the water in anger and then suddenly hugged him and started crying bitterly. He wanted to hug her back but stopped himself..
Sarita ji..he asked a little politely now..
Sarita retreated from the hug hearing him calling her and held his collar angrily. Vikrant was not understanding what was happening..Sarita spoke with tears flowing continuously..
"kya samajhte hain aap apne aap ko..kya samajhte hain aap mujhko..mein koi khilona hun,jab mann kiya to le liya,jab mann kiya to chod diya??..Aap aisa kaise keh sakte hain mujhe?..aapne to mujhe khush rakhne ka wada kiya tha na..phir..ph..ir ..kyun aap mujhe meri khushi se door jaane ko keh rahe hain??..me..in..mein nahi jaungi..kahin nahin jaungi..aap mujhe nahi jaane ko bol sakte..mein Abhi ki maa hoon..ap nahi door kar sakte usse mujhse,meri zindagi se"
Vikrant is shocked to see Sarita like this, more so at what she is saying.He is not able to understand anything!!
"shaadi koi mazaak nahi hota hai..mein kya karoon(cries bitterly)..mein kyua karun agar Rajji mere peche peche yahan aa gaye to..mein kya karun agar vo nahi samajhna chahte ki mein zindagi mein aage badh chuki hoon,..mein kya karun agar vo sachchai ko nahi manna chahte,..mein kaise apko yakeen dilaun ki mein apne ateet ko peche chod aayi hun..kaise yakeen dilaun ki shaadi mere liye ek atoot bandhan hai chahe phir kyun na maine aapse aise halaato mein shaadi kari jab mein iske liye taiyaar nahi thi..kaise yakeen dilaun ki ab meri zindagi Abhi aur aap hi hain..kaise yakeen dilaun kaise!!"
And she breaks down again.
"Rajji ne apne saath saath meri zindagi ke 10 saal bhi barbaad kar diye...ab jab mein zindagi ko ek aur mauka dena chahti hun,.mere saalo se naraaz zindagi mein khushiyan dhoondna chahti hun to vo mujhe ye bhi nahi karne de rahe..AUR aap(she looks accusingly at Vikrant)..aapne to vada kiya than a mujhe khush rakhne ka,meri zindagi mein vo sab dene ka jo mein aj tak tarasti rahi,..phir kya hua us wade kya..vo sab jhoot tha?..sab kehne ki baatein thi??..aap bhi mujhe vahi dard dena chahte hain jo mein pehle hi jee chuki hoon..kyun aakhir kyun..meri galti kya hai?..kya mujhe jeevan mein khushi ka haq nahi hai,kya mujhe jeevan mein aage badhne ka haq nahi hai..bataiye??"
Vikrant could not hold anymore and took Sarita in a tight hug. She hugged him back still crying. It was all clear to him now. He could see the genuineness in Sarita's eyes,..he did not need any proofs,any more clarifications. He kept hugging her lovingly until Sarita calmed down.
Once she was calm, he broke the hug and both of them looked at each-other. Vikrant took Sarita's face in his palm and wiped the tears which were still left on her face. He spoke to her lovingly
"I am sorry Sarita..mujhe maaf kar do..tumhe hurt karne ka mera irada nahi tha..jo hua so hua but ab mein samajh gaya hun ki tum kya chahti ho..I trust you..ye pichle dino jo bhi hua,mein usse kabhi yaad nahi karna chahta,..aur mein ab apna wada nibhana chahta hun..kyunki tumse jyada kisi ko haq nahi hai zindagi ki ek nayi shuruaat ka..tumhe khush rehna ka poora haq hai aur mein ab har koshish karunga tumhe khush rakhne ki aur tumhe wo sab dene ki jo tum deserve karti ho..Bags pack karlo kyunki ab hum apne ghar jaa rahe hain ek nayi shuruaat ke liye"
With that said,he got up and left the room to bring Abhi back so that they can leave. Sarita was still in the same position as Vikrant had left her. For the first time in days, she felt peace. She could not wipe away the image of Vikrant lovingly looking at her. She saw more than care in his eyes and for the first time she felt something for Vikrant. Maybe in was indeed a new beginning of their life and their relationship. But first, she had to take care of something else too. She got up and took the notepad from the desk and wrote something on a paper.
By the time Vikrant came with Abhi, she had packed their things and also freshened up so Abhi won't notice any change. They both saw each-other with a new understanding and some new feelings. Vikrant could not explain in words the peace he finally got after days of war within and frustration at things that happened in the past few days. With Abhi in between them holding their hands, both walked towards a new beginning, a new life stealing glances at each-other.
On the other hand Raj was anxiously waiting for Sarita to come. When he could not wait any longer, he went to the reception to ask about Vikrant and Sarita. He was shocked when he heard that they had already left. He hit the reception glass in frustration and mentally cursed Vikrant. Before he could think of anything else,the manager gave him a letter stating it to be from Sarita for him. He impatiently took it and opened it thinking probably Saritaji could not stop Vikrant from taking her and hence left it for him. He opened it in excitement and read it over and over again with disbelief and dejectedness.
"Raj ji..maine aapko bohat samjhane ki koshish ki ki mein zindagi mein aage badh chuki hoon..bohat samjhane ki koshish ki ki aap is tarah zindagiyon se mat khele,..saaf saaf batane ki koshish ki mein ab apke paas vapas laut kar kabhi nahi aungi par aap nahi mane..aapne sab sunkar bhi unsuna kar diya aur vahi dekha jo aap dekhna chahte the..aapne is tarah ki ghatiya shart mere saamne rakh di,ye jaante hue ki mere sanskaar mujhe iski izajat kabhi nahi denge,..aapne kabhi mujhe samjha hi nahi..ab mein aur safai nahi dena chahti aapko..mein aapke sawaalon ke liye ab jawabdevi nahi hoon..aap vo haq bohat pehle kho chuke hain..mein apko kuch bhi sabit nahi karna chahti..aap jo sochna chahte hain soch sakte hain par sach yahi rahega ki ab Vikrantji aur Abhi hi meri zindagi hai..aur mein apne jeevan mein unhi ke saath aage badhna chahti hoon..aj ke baad mein aapse kabhi nahi milna chahti aur ho sake to please meri zindagi se door rahiyega..ek purane dost ki haisiyat se ek aakri baar aapse prarthna hai ki Divya ke saath nainsaafi mat kijiye..sarita"
Thank you for reading and I hope you guys liked itš. But however you find it, do let me knowš³Looking forward to your commentsš³š