Why we like PRC?:
1- I think first of all we like it because of Rajat 😉
2- Because of their friendship
3- The story
4- Etc...........
Jab Rajat is show se chala jaega, tab hum rajat ke alava uske dosto ko aur unki friendship ko bhi miss karenge, in sab ke actions ko bhi miss karenge,...
Rajat agar kisi dusre serial mein ata bhi hai to may be us serial mein vo baat nahi ho jo PRC mein hai.
Isiliye when me and my sis were talking about this, to meri sis ne mujse kaha ki kyu na ek aisa serial ho jisme yeh 5 boys ho ,aur usme vo sab ho jo PRC mein hai,.
To isiliye meri sis ne ek serial socha. PRC remix
Us serial ki kahani kuch is tarha hai:
There is a girl called Goldy, usne Prithviraj Raso padi hai, to use Prithvi ki puri story pata hai, aur use usme bahut interest hai . Vo humesha sochti rahati hai ki akhir yeh prithvi hakikat mein kaisa tha?, us zamane mein log kaise the?, kya vo vakay mein itna bahadur tha?, etc... She is always thinking about Prithvi.
To ek din use ek jadui chirag milta hai ( jo sirf insaano ko ek century se dusri century tak pahucha skata hai) , aur vo chiraj Goldy se uski icha puchta hai, to goldy kahati hai ki vo 12 th century mein jana chahati hai, vo asli Prithvi ke zamane mein jakar uske sath uski life ko jeena chahati hai.
Bas yahi se PRC remix ki nay story start hoti hai. Goldy PRC ke pas pauch jaati hai.
To sochiye dosto ki kaisa lagega jab ek 21 century ki girl 12 century mein pauch jati hai?, aur vo sab kuch dekhti hai. Uski life puri change ho jaati hai. Vo aapna sapna jiti jai Prithvi ke sath.
Yani ki hum PRC dekhege magar is bar Goldy ke sath. Is PRC ka prithvi aur koy nahi apna Rajat hi hoga, aur uske sath sath uske vo 4 friends.😃
Per yeh kahani yahi per nahi khatm hoti hai. Jaise Goldy ne to prithvi ki puri life padi hui hai, to vo prithvi ko batati jati hai ki future mein prithvi ke sath kya hone vala hai, in short vo uski kafi help karti hai.
Per jaise Goldy ko yeh bhi pata hai ki Prithvi jaldi mar jata hai, isiliye Goldy apane jadui chirag se Prithvi ko aur uske 4 friends ko ( jis age mein hum sab abhi prithvi ko dkeh rahe hai) 21 century mein lekar aati hai.
Yahi se PRC remix ka dusra hissa start hota hai, to aab sochiye dosto ki PRC 21 century mein kaise aapni life jita hai?.
Agar hakikat mein aisa koy serial TV per ae to kaisa lagega dosto???.
Hope u like it, and plz send me ur opinions about this story, and if anyone want to add something so plz tell me.........
Waiting for ur replys. 😛