Menaka to samar:- chhutkar thakur ko aj hum apne hatho se khana khilayenge..
Samar:- Nhi, hum tumhare hath se nahi khayenge...hum apni maa ke sath se khayenge...
Menaka:- (muh banate hue) chhutke thakur hum bhi to tumhari maa hi he na..
Sajjan to menaka:- ae naiki , jab samar tumhre hath se nhi khana chahta to kahe narak machaye padi ho...aur ek bat bata de rahe he ye tum na maa ka alap karna band kar do kahe se ki krishna bahu bhi iski maa he..usne char saal tak hamare samar ki dekhbhal kari he.kono pareshani nahi bhayi..par jab se tum ayi ho na us din se hamare samar par koi na koi musibat ayi he
Pratigya apne rum se dining hall me ati he..
Sajjan to pratigya:- krishna bahu , samar ko khana khilao...wo tumre hath se khana chahta he.
Pratigya to sajjan:- thik he bauji, hum abhi samar ko khana khilate he...
Pratigya samar ko khana khilati he aur wo khushi khushi kha leta he...
Menaka dining table se uth jati he aur apne room me chali jati he peeche peeche shakti bhi aa jata he..
Menaka to shakti:- ab hum es ghar me aur nahi reh sakte bas...tum dekhe na bauji hamrare se kese bat kiye..aur pratigya to jese chaheti ban gayi he...usne to bauji ko apne bas me kar rakha he...kahin esa na ho sab kuch ye pratigya le jaye aur ham reh jaye khali hath..tumne abhi kuch nahi kiya na to hum ye ghar chhodkar chale jayenge bas...
Shakti to menaka:-ae menaka rani kahe tensioniya rahi ho...ye sari jayedad bahut jaldi hamre naam me hogi aur tumko na es ghar ka malkin banaye denge...tum es ghar ki malkin ho jaogi...
Menaka khush ho jati he
MMFG:- drawing room me chinki paper par kuch drawing kar rahi he...
Komal apne room se bahar ati he...
Komal to chinki:- chinki ka rahi ho tum.ye ka bana rahi ho..
Chinki komal ko paper thama deti he jispar ek ladki aur ek ladka ek dusre ko pyar kar rahe he..
Komal chinki ki drawing dekhkar emotional ho jati he aur akhon me anshoo aa jate he
Komal to chinki:- ye ka he chinki..
Chinki to komal:- are budhdhu tujhe ye dekhkar kuch samajh nahi aya ...ye tu aur papa he...papa tumko bahut pyar karte he na esliye humne ye drawing banayi he...
Komal phir se emotional ho jati he...
komal man hi man khud se kehti he:- ab tumko ka bataye ki tumre papa hum se pyar nahi karte wo to kisi aur se pyar karte he..
Krishna restaurent:-
Chandu customer ko deal kar raha hota he..tabhi wahan ek bethe customer ne krishna ke baare me pucha
Chandu:- tumko ka kaam he unse ...kahe puch rahe ho..hamaka nahi pata wo kahan he...
Tabhi wahan par krishna aa jata he...
Krishna:- lo hum aa gaye he ab batabo tumka hamre se ka kaam he...
Customer:- kuch nahi.hamaka kuch kam nahi he ...hum to bas aise hi...
Krishna table ko ek side se fenk deta he aur customer ki shirt ka collar pakad leta he..aur khub mar pitai karta he
Krishna:- tum ye hotel me khane aate ho ya phir faltu ki bakaity karne...aaj ke baad yahan dikhai diye to seedha upar pahunchaye denge...
Customer jate jate keh jata he ...thakur krishna singh kis kis ko maroge...
Chandu krishna ke ese behaviour se shocked ho jata he...