Of Disgust And Disappointment
Kasam se, Kisi ko toh uthaake chappal maarungi aaj!
Nahi, Kisi ko nahi.. Rey aur Kria dono ke thobde pe kheench ke maarni hai maine!
Matlab Kya Ch*tiyapa laga rakha hai bhaai?? Kyaaa???
Matlab woh kaunse jamaane ka Rey tha?? Joh baarish mei bheegta hua tharki jaisa chipak raha tha Kria se??
Matlab woh kaunse jahaan ki Kria thi, joh forgiveness chaahti thi??
Abe ch*tiya banaana band karo nahi toh khench ke jhaapad dena hai maine kaan ke neeche!
-Res-
Haan ji, toh sabse pehle toh, meri Kria Maata, jaa kahin jaa ke doob jaa please. Nahi toh maine jaake dubaa dena hai taine... Matlab kya idiotpana kar rahi hai yaar??
I remember distinctly you going all "I dunno what is happening.. Why is he being cold one moment, and hot another?" few days back.
Aur ab?? Ab Maata Rani Rey ke nature ke upar bakchodi kar rahi hai?? "Mujhe pata hai aap nai badle.. Help chaahiye aur Mangni bhi nahi??"
ABE GHANTA MERA!
Rey kabse aisa ho gaya?? Maine toh aaj tak Rey ko aisa nai dekha?? Rey ko aaj tk uski jindagi mei kisi ki help maangne mei sharam nahi aayi! Jab Swayam se dhaddale se besharam maafik help maang leta hai, toh kisi aur ke liye koi exception nahi hai!
Aur Rey gadhe ke nasl! Taine kya kisi ne sar pe dandaa maara hai kya jor kaa?? Bata de maine! Kyunki nahi maara hai toh mai maaru!
Abe do din pehle toh tune pran nahi lia tha??? Ki Kria yeh.. Kria woh... Nahi distract yeh... Professional rahunga woh...??
Hainn??
Haaaiinnn??
Abe toh aaj kya bhairav chadh gaya tere sar??
Joh mariyal jaisa Kria se "SHARON" ke liye help maangne gaya be tu???
Sharon teri paidaaish se dost nahi thi kya?? Taine Kria ki ke jarurat??
Aur Kria ullu ki dum! Kisne kaha hai ki jahaan bhi Rey mahaashay tereko najar bhi aa jaaye thoda sa bhi... Tu dum hilaati hilaati uske peeche bhaage? Kisne bola teko "SEAT LAYOUT" fudak fudak ke Rey ko dikhaane ko??
Kasam se... Itnaa gadhepane wala scene tha naa woh poora! Maydemji khade khade gir gayi! Aur ohoho baj raha hai...
Saabaas! Hum sab toh yahaan do saal ke bacche hai.. Jinhe bas girna padhna lotna dekhna pasand hai.
Edited by _SenbonZakura_ - 12 years ago