While watching some tv shows and while participating in some discussions, I did pen a few poems, based on those TV serials. They are based on television show characters, so if you want to know something more about them, I can always clarify.
1) I called this Aman.. Meri Nazron se.
Its one of my favourite works so far. Its a bit long😳 it was written for this show called Kashish which came on Zee TV. Pia is the central character of the show, who is suddenly faced with her husbands infidelity and in this situation, she meets another man, a friend of hers from her childhood days. I wrote this before the character of Aman was introduced into the show. Am posting the whole narrative here, which was originally posted in this thread
Aman... Meri nazron se
Hey guys...
In a couple of weeks time or maybe even earlier, Aman is likely to be introduced into the serial...
The serial will then revolve around him and Piya and their nurturing relationship...
I have penned a few words, its a combination of poetry and prose.. in hindi..Ihope you guys like it... this is to express the feeling in Piya's mind the day she meets Aman....
The day when Aman arrives in Piyas life:-
Darichey ke paas khadi Piya, Zindagi ko talaash kar rahi thi...
Aasmaan mein badal chaye the aur ek ajeeb mayuusi chayi thi fiza mein...
Par Piya ko yeh na dikha...
Apni hi man mein khoyi Piya, apne zindigo ko talaash kar rahi thi...
Shaadi ki woh pelhi raat.. aur phir chai ka woh pehla pyala jo Anand ne banayi Piya ke liye...
Woh pehla sparsh... aur woh kushi ke din...
Piya inhi khalayon mein khoyi thi...
Sheesh mehal mein rehene wali Rani thi woh...
Aane wale tufaan ka aaghaz na tha...
Sunhare pal tho kam hi thee..
Achanak khushi aansoo mein badal gayi..
Ratna aa gayi khayalon mein
Aur Piya ka mehal toot gaya....
Inhi Khayalon mein khoyi Piya...
nazar padi ek phool par.....
Ghana badal chaya tha...
aur sirf ek kiran ki roshni aa rahi thi....
Phool ussi kiran ki taraf mooh dikhayi hui thi...
jaise woh kiran badalon ko chiir, sirf ussi ke liye aaya ho....
Woh nazara man ko bhaya...
Aur Piya apni khayalon se jaag uthi...
Badal bhi wahin thee.. woh ek kiran bhi wahi... mayoos fiza bhi thiii...
Par Piya ki nazar in par na giri...
Ek ajeeb khushi man mein bhari... Aur Piya muskura padi...
Sara, Mohan, Mummy aur Papa bas dekhthe reh gaye...
Aise lag raha tha jaise koi kushi ka jhonkaa aaya ho...
Kahan se aaya, kyun aaya, kab aaya.. sab ke man mein yehi sawaal...
Piya ko na badal dikhe... na woh mayoos fiza...
uski nazar thi sirf us phool par aur us par padne wali Kiran...
Kuch aisa ehsaas hua ki koi dastak de raha hai... Dil pe...
Aur phir achanak aise laga ki koi zor hawa ka jhokha aakar un kale badalon ko door le gayaa...
aur woh suraj ki kiranein andhere ko chiir ke roshni laa rahi hai....
Kisiko yeh aaghat na tha.. yeh shayad aanewale pal ki ek jhalak hi tha...
Aur phir woh dastak ki aawaz….
Bhala sa chehra.. aur pyari si muskaan liye…
woh hero jaise tho na tha…par kuch thi uski aankhon mein…
Shaanth aankhen ki thi uski…
Jaise duniya ki koi pareshaani... koi mayuusi usse na choo paye..
Aankhen man ka dareecha hai.. kehthe the bade buzurg..
Par Piya yeh baath kabhi na samaj payi…
Aaj darwaze pe us insaan ko dekha tho yeh laga…
Yeh aankhen to unke man ki dareeche hi tho thiii…
Har koi jo dekh le, unme kho hi jaaye…
Aur phir uske soye hue man ke koi andhere mein ek kiran ki bheej phathi…
Pyaase man pe jaise paani ki boondh giri ho..
Jaise woh suraj ki kiran phoolon pe aa gira thaaa…
Piya ka man jaaga…
us anjaan aadmi ki aankhon ki roshni ne uske soye man ko jagayaaa…
Aur jab Piya uske taraf dekhkar poochna chaha..' aap kaun"
Unhone kaha… "Shayad aap mera hi intezaar kar rahi thi…'