again a new one based on yesterday's episode hope you all will like it
" tum nikle Mumbai se ?" the lady asked
" haan bas , nikal raha hoon " he answered
" actually plan mein thodasa change hai , mujhe tumhaari maddad ki satth zaroorat hai , mein tumhe address bhejti hoon " the lady said
" bhejo " he replied
*****************************
" arjun tum mujhe kahaan leke jaa rahe ho ?" she asked getting irritated by his quietness
but he didn't answer
she rolled her eyes and looked out of the window and saw the indicator
" pune , ghaddi roko , abhi roko " she almost screamed
" kya hai ?" arjun asked
" hum pune jaa rahe hain ?" she asked
" haan , kyun ? tumhe koi problem hai ? ofcourse miss saakshi anand ko kaam karne mein tho hamesha se hi problem rahi hai , right ?" arjun asked sarcastically
" mujhe... bohut zaroori... kaam hai... , mein nai... aa sakti , mujhe Mumbai wapas jaana hai " saakshi stammered
her face had lost the colour , even though AC was on she was sweating , her eyes which always had a glint of happiness had fright now , he was confused
" case ke liye jaa rahe hain . ghoomne nai " arjun said
he had never seen her so scared , it scared him too , at that time he felt that he should have told her before bringing her along with him , she was breathing heavily
" case jaldise solve kar denge fir waapas chale jaayenge " arjun said and oned the engine
" arjun mein apne aap chali jaaungi , don't worry " she said immediately
" kaam na karne ke 1000 bahane hai tumhaare paas , jaldise kaam karenge fir jayenge " arjun said and started the car
" lekin arjun ..." saakshi started but she was quietened by his glare
he didn't want her to go alone , he was worried for her , she had stopped smiling and had also stopped her stupid non stop nonsense , she looked scared , tensed , etc , etc
he was feeling guilty of bringing her with him without telling her anything
they reached the factory soon
*********************************
saakshi was still scared
she was scared of the entire pune city , it held a bad nightmare which she was forced to live
arjun and saakshi were standing side by side when she entered with a poise and attitude
she stopped looking and saakshi , she was shocked
" saakshi , tum zinda ho ?" she asked shocking arjun and saakshi
saakshi was shocked beyond words , first of all she was in pune city , her so called home town and now priti bhabhi
saakshi signalled to priti to keep quite
arjun had noticed saakshi's reaction
" arjun itne saal baad hum mil rahe hain aur maine actually ...yahaa ..." priti started
" yehaan ek khatal hua hai , aur iss case mein tumhe meri maddad chahiye , yeh saakshi hai jo humari kaam cover karegi , I think tum isse jaanti ho " arjun said
" haan , woh Daksh , woh saakshi ka bada bhai tha " priti said
" Daksh , tumhaara mangetar na , kahaan hai woh ? tum logone shaadi kyun nai ki , humare departments change ho gaye and we lost touch , NCB mein tha na woh ? humara senior right , mein kabhi mil nai paaya usse , par maine suna ki bohut daredevil cop hai " arjun said
" laash kahaan hai ?" saakshi interrupted
she didn't want arjun to know about her past , but she had a gut feeling that he will get to know soon " mujhe priti bhabhi se baat karni hogi , isse pehele woh arjun se kuch bhi kahe " saakshi decided
" haan mein dikhati hoon " priti said and lead them to the dead body
arjun glanced at saakshi many a times thinking that she might ask some silly question but she looked lost as if she was not present there but in some other world
they were looking out for clues and saakshi was feeling very low , she wanted to cry but she couldn't so she walked away and went near their SUV and stood there
arjun saw her going and so did priti
" apne marzi se aayi woh ?" priti asked
" nai , meine usse bataya bhi nai tha ki hum pune aa rahe hain " arjun answered
" jab usse pata chala ki hum pune aa rahe hain , tab se dekh raha hoon ki khoyi khoyi hai , phir yahaan aatehi tumne poocha ki woh zinda hai ? akhir baat kya hai ?" he asked
" kuch nai arjun , long story , philhaal iss case pe concentrate karte hain , baadmein sab kuch batathi hoon " priti said and ordered a constable to send the body for post-mortem
" mein abhi aayi " priti said and left
" inn dono ke beech zaroor koi baath hai " arjun thought and started thoroughly searching the place for clues
*******************************
" tum zinda ho , sabko tho laga ki ..." priti started
" I know bhabhi , aapko yaad hai humaara pariwaar ka case ko kitna jaldi badh kar diya tha " saakshi said
" maine kitni koshish ki case kholne ki par mujhe kabhi per mission mila hi nai " priti said
saakshi kept glancing at the entrance to see whether arjun was coming or not
" kyunki bhabhi , case maine band karwaayi thi aur DIG uncle ne mujhe promise kiya tha ki case ko mere permission ke bina nai kholenge " saakshi said
" but tum saakshi ? 4 laash mili thi tumhaare ghar se " priti said
" haan , unn mein se do sikander ke aadmiyon ki hi thi , jis par baba aur bhai ne goli chalayi thi , aur kyun ki saare laash jal chuke the , DIG uncle ne declare kar diya ki humare pariwaar khatam ho chuki hai , lekin mein aur baba bach gaye " saakshi said
" baba ? kahaan hai woh ? tum logon ne mujhe ye saari baatein batana zaroori nai samja ?" priti asked getting angry
" please bhabhi naaraz mat hoyiyega , sab kuch itna jaldi ho gaya , bhaagne ke alawa mere paas koi raasta nai tha , aur aapko maine issliye nai bataya kyun mein aapki gunegaar hoon , mujhe bachate samay bhai ki jaan chali gayi , meri himmat nai ho rahi thi aapke saamne aane ki " saakshi said , she was crying uncontrollably
priti hugged her and started patting her
" jo kuch bhi hua usme tumhaari galati nai hai saakshi , aur tum ? tum daksh ki choti behen nai balki tum tho uski gudiya thi aur tumhe bachane ke liye woh ek baar kya 1000 baar apni zindagi khatre mein daal sakta tha , mein iss baat ko samaj thi thi , tum meri guneghaar nai ho , par sirf tum jaanti ho meri gunegaar kon hai " priti said
" nai bhabhi , mein aapko kuch bhi bata nai sakti , please mujhe force mat kijiye , jab mein uss raat ko yaad karti hoon , man karta hai mar jaun " saakshi said
priti hugged her again and patted her " teek hai mein kuch nai poochungi , tum shaant ho jao "
priti's phone buzzed and her forensic expert asked her to come immediately
" mein arjun ko bhulakar aati hoon " priti told saakshi
" mein yahin hoon , kuch mila tumhaare forensic expert ko ?" arjun asked diverting the topic immediately
he had seen saakshi's shocked expression , he saw her wiping her tears almost immediately , he didn't want them to know that he heard everything
" haan , usne hume bhulaya hai " priti said after wiping her tears
they left for the lab immediately
there was total silence but arjun was noticing the two females in his SUV
he felt ashamed of himself for not being in touch with priti , she lost her love very soon in her life
he was ashamed for continuously hurting saakshi , she saw her family burn into ashes
" solah - satra saal ki hogi woh tab " he thought to himself
he could feel saakshi's pain " maine usse yahaan lakar bohut badi galati ki hai , maine uske puraane ghaav ko taaza kar diya " he thought getting angry on himself
**********************************
" oh my god , mein tho bhool hi gayi , mujhe aaj ek engagement party attend karna tha " priti said in Sonia's lab
" tum dono chaloge mere saath ?" she asked both arjun and saakshi
" nai bha... , mera matlab hai , nai priti , tum jao , mera mann nai hai " saakshi said
" mujhe bhi yeh parties pasand nai , if you want i'll drop you " arjun offered
" nai , mein khud chali jaaungi " priti said and left
saakshi and arjun left for their hotel together
**************************
" goodnight arjun " saakshi said and turned to leave
" saakshi , tumne subha se kuch nai khaya hai , why don't we eat something ?" arjun asked
" nai arjun mujhe bhook nai hai , tum khalo " saakshi said and turned to leave but arjun caught her wrist
" I am sorry saakshi " arjun said and she was shocked
she turned and looked at him
" tumhe yahaan lane keliye , mujhe tumhe yahaan laana nai chahiye tha , shayad meri wajeh se tum udaas ho gayi ho , par saakshi tum aise achi nai lagti , tum bakbak karte hue , masti karte hue achi lagti ho " arjun said
" nai arjun , tumhaari koi galati nai , trust me " saakshi said and smiled at him
" pata hai saakshi , humaara mann na bohut chota hota hai , usme hum itne baate store karke usse heavy kar dete hain , jab hum woh baatein kisi se share karte hain , tho woh halka ho jata hai " arjun said
" humaara problem kisi se batake kya fayda hai arjun , woh solve tho nai hoga na , saamne waala insaan bhi dukhi ho jaata hai , aise baatein kisi se kyun share karna jo sabke dil mein dard jagata ho " saakshi said and turned to leave again he caught her wrist
" saakshi , mere aankhon mein dekho " arjun said and she looked into his eyes
priti was calling arjun but arjun was lost in saakshi eyes which were filled with pain
the pain he was very much familiar with
" saakshi , I promise , mein tumhe insaaf dilaunga " arjun promised
" mein jaanti hoon arjun , sirf tum hi mujhe insaaf dilaa sakte ho , kyun ki humaara maqsad ek hi hai " saakshi said and arjun was shocked this time
" sikendar ?" he asked controlling his anger as she was crying and she nodded her head
" I am sorry arjun , maine tumhe pehle nai bataya , trust me , maine uska chehra yaad karne ki bohut koshish ki , lekin mujhe uss raat ki kuch kuch baatein bilkul yaad nai , mujhe sirf uss jaanwar ki awaaz yaad hai , woh awaaz mere khaanon mein ghoonjti rehti hai , mein tumhe batana chahti thi lekin mujhe kuch teek se yaad nai , mein bohut koshish karti hoon lekin mujhe kuch teekse yaad nai aata " saakshi said , she was getting hyper and was shaking out of fear
he hugged her immediately and started patting her
" saakshi relax ...shhh...its ok ...ek na ek din yaad aa jayega ...just relax ...shhh ...shaant ho jao saakshi ...shhh" arjun kept patting her
he felt her relaxing , he wiped his tears before breaking the hug
just then a girl came " mein madhu , priti ki friend , hum saath mein engagement party ke liye jaane waale the ,lekin uska phone nai lag raha , kuch waqt pehele usne ek pic bheji thi " madhu said and showed arjun the pic
preeti was wearing a red colour dress and arjun understood
" aap log chinta mat kijiye , priti ko kuch nai hoga " arjun promised madhu
" chalein saakshi " arjun said and saakshi got into the passenger seat immediately
" arjun hume bhabhi ko kisi bhi halat mein bachana hoga " saakshi said
" tum chinta mat karo hum priti ko bachalenge " arjun promised
he called Sonia and she started tracking priti's phone
arjun understood that it was a taxi driver and tracked his position and saved priti
the culprit got arrested and saakshi hugged priti
" mein aapse ek baat poochun ?" saakshi asked and priti nodded her head
" aapne shaadi kyun nai ki ?" saakshi asked
" kyun ki maine humesha daksh se pyaar kiya hai " priti said
" mein maanti hoon ki log kehte hain ki pyaar zindagi mein ek hi baar hota hai , lekin bhabhi yeh baatein sirf filmo mein aur kitaabon mein hoti hai , asli zindagi mein pyaar dobara ho sakta hai , hume sirf khudko ek aur mauka dena chahiye , bhai aapko humesha kush dekhna chahte the , lekin I am sure bhai jahaan kahin bhi honge bohut udaas honge yeh sochkar ki aap kush nai , please bhabhi kudko ek aur chance dijiye , jo meri family ke saath hua usme aapki koi galati nai , fir aap kyun khudko sazaa de rahi hain , please bhabhi , puraani baton ko bhulkar aage bhadiye " saakshi said
arjun knew that the advice was not only for priti , it was for him too
" mein koshish karoongi saakshi , tum apna khayal rakhna , aur jab bhi tumhe meri zaroorat pade tho call karna , mein tumse milne aaungi " priti said and hugged saakshi
" chalein saakshi ?" arjun asked and saakshi nodded
he knew that saakshi was right , he knew he should move on in his life , he knew that life already was giving him his second chance , he knew saakshi loved him , but he also knew that this was not the right time
he knew he had to get justice for roshni , for saakshi's family , for saakshi and also for him
he also knew that he would keep all the evil from saakshi's way
he realised how strong she was
he realised that she never sympathised him , she very well knew his pain
he realised that saakshi's love would never fade , so he decided to wait for the right time
" I will protect you , I will keep all bad things away from you , I will love you the way you deserve , I will pamper you and will always keep you happy " he promised to himself while driving back to Mumbai
so people ????
I know kuch zyada hi imagine kar gayi mein
but what to do ? I am in arjun land na
comment and let me know what you people think
accha nai laga tho bhi batana
38