Hey guys, I wrote this story for a class a few weeks ago. It's basically a CID episode with all the characters we know and love. Its really long and I wrote it in four parts so I'll just present one right now. Please give me feedback. Anyway, hope you all like it! The English version is in the third post. Let me know which one you like better and next time maybe I will only post one.
Part 1:
Jaise hi CID ko Payal ki maut ki khabar mili, woh fauran hi ravaana ho gaye. ACP Pradhyuman apne saath Abhijeet, Daya aur Muskaan ko Taj Hotel le gaye, haadse ke baare mein pata lagaane aur Payal ki laash ko laane.
Taj Hotel ke saamne logon ki bheed thi. Beech mein jaa ke dekha to hotel ke maalik Faisal Qureshi kuch reporters ke saath baatein kar rahe the. Paas mein ek bees-baees saal ki ladki ki laash padi hui thi aur uske chaaron taraf khoon tha. ACP ko dekh ke Qureshi Sahib un ke paas aaye. Bataane lage ke Payal hotel ke kamre mein thehri hui thi aur subah ko kuch raah chalne waalon ne use apni balcony se girte hue dekha. Payal ki jeb mein unko uski photo ID mili jis pe uska ghar ka pata bhi tha. (edit: 3/13) Laash ki kuch tasveeren lene ke baad, ACP ne Abhijeet ke saath usko post mortem ke liye Doctor Nayla ke paas bhej diya. Muskaan aur Daya ko Payal ke ghar jaane ko kaha, us ke parivaar waalon ko uski maut ki khabar dene aur us ke baare mein aur jaankaari haasil karne.
Qureshi Sahib se ACP ko pata chala ke Payal ek raat pehle hi hotel ka kamra lene aayi thi aur 540 waale kamre mein thehri thi. Kamre ki chaabi bhi Qureshi Sahib ne unko de di. Kamre ki talaashi mein madad ke liye ACP ne Fredricks ko bula liya. Wahaan unko Payal ke purse ke alaava kuch nahin mila. Bas yeh dekh liya ke balcony ka darwaaza thoda sa khula hua tha. Is se ACP ko khayaal aaya ke shaayad Payal khud jaake wahaan se kood gayi hogi. Payal ke purse mein do sau rupiye the aur ek kaaghaz ka tukda tha jis pe likha tha "Anand Kapoor, Taj Hotel, saat baje". Fingerprinting karne ke baad ACP aur Fredricks phir se neeche chale gaye.
ACP ne Qureshi Sahib se poochha ke woh kisi Anand Kapoor ko jaante hain, lekin unhon ne yeh naam kabhi suna nahin tha. Is naam ka koyi unke hotel mein bhi nahin ruka tha. Fredricks ne restaurant mein jaake wahaan ke waiters ko tasveer dikha ke poochha ke unhon ne Payal ko wahaan dekha tha. Ek ne bataaya ke woh kal raat kisi lambe chashma pehnne waale aadmi ke saath khaana khaana aayi thi. Yeh sab likh kar Fredricks ACP ke saath wapis office chala gaya.
Wahaan Daya aur Muskaan unka intezaar kar rahe the. Daya ne bataaya ke Payal apni vidhva maa aur chhote bhai ke saath rehti thi aur Industrialist Jai Mehta ke office mein kaam karti thi. Uski maa ka kehna tha ke chaar din pehle usko bila waje kaam se nikaal diya gaya tha. Usi din se usne naukri dhoondni shuru kar di thi. Woh Taj Hotel bhi kisi se kaam ke silsile mein baat karne hi gayi thi. Raat ke nau baje us ne apni maa ko phone karke kaha tha ke use ghar aane mein der ho jaayegi aur woh befikar hoke so jaayen. Us ke baad kabhi ghar nahin lauti.
Jaise hi Daya ne yeh kahaani khatam ki, Abhijeet kamre mein aaya. Us ne bataaya ke jab woh laash ko Doctor Nayla ke havaale kar chuka tha, to usne Muskaan ko phone kiya tha. Muskaan ke kehne pe Abhijeet Mehta Industries gaya tha, yeh pata lagaane ke Payal ko kaam se kyoon nikaala gaya tha. Mehta Ji ne use bataaya ke Payal ko kaam se nahin nikaala tha, balke woh apni marzi se chhod ke gayi thi. Yeh sun ke ACP soch mein pad gaye ke Payal ki maa ne jhoot kaha ya Payal ne apni maa se.
Sab isi soch mein the jab phone ki ghanti ne unko chaunka diya. Muskaan ne phone uthaaya. Qureshi sahib ka phone tha aur woh unhen ek nayi khabar dena chahte the. Jis ladke ne Payal ko kamre ki chaabi di thi, uska naam Rahul tha. Woh aaj bemaari ki wajah se kaam par nahin aaya tha, lekin us ne abhi abhi TV pe Payal ki maut ke baare mein suna. Rahul ka kehna tha ke jis ladki ne Payal ke naam se kamra liya tha, us ki shakal woh nahin thi jis ko TV par dikhaaya ja raha tha. Woh ladki koyi aur thi. Jab Muskaan ne sab ko yeh baat bataayi to woh hairaan ho gaye. Koyi aur ladki Payal ke naam se kamra kyoon legi?
ACP Rahul se milne jaane hi waale the ke Doctor Nayla ne sab ko forensic lab mein bula liya. Unhon ne kaha ke ab tak jo sab is maut ke baare mein soch rahe the woh sab ghalat tha. Payal upar se gir ke nahin mari thi balke jab woh giri thi to pehle se hi mari hui thi. Uski ragon mein Doctor Nayla ko zeher mila aur post mortem ke mutabiq us ki maut subah nahin hui thi, raat gyaarah baje hui thi.
Sab sochne lage ke yeh case kitna ajeeb hota ja raha tha. Paayal ki maa ne bataaya ke use kaam se nikaala gaya tha, lekin Mehta Ji ne kaha ke woh khud gayi thi. Naam to hotel ke register mein Payal ka tha, lekin jisne likha tha woh keh raha tha ke ladki koyi aur thi. Payal balcony se aaj subah giri thi lekin uski maut raat gyaarah baje hui thi. Yeh to zaahir ho chuka tha ke kisi ne Payal ko maar ke us ki laash balcony se phenk di thi. Lekin qaatil ka pata chalne se pehle aur kitne raaz khulne waale the, yeh to waqt hi bata sakta tha.
More coming soon....
81