CHAPTER 6
Saraswati hira ko rok leti hai .
Saraswati- ye kya kar rahi hai tu? Koi akal hai thare me ki na? hum akele mehel me kaise jayenge? Aur aise mehel me jana thik na hai . mat bhul hun aurte hai aur
Hira- to kya iss bache ko hum yaha chor kar chale jaye?
Saraswati- are na main ye kaha kahe rahi hu ke raat bhi hone wali hai ek kaam karte hai is chore ko hum apne ghar le jate hai . kaal tarke bapu saa isne mehel de ayenge ky
Hira- ha ye ho sakta hai chal ise le jate hai. Aap mare saath chaloge mare ghar?
Rahim- nahi hume apne ghar jana hai ammi jaan ke paas
Hira- dekho abhi raat hone ko ayi hai abhi raste me hume ser ya bagh ne pakar liya to aap mare ghar chlo . hum waha bahat khelenge acha acha khana kahyenge.
Rahim- thik hai par wada karo hume kaal chor aogi
Hira - Wada. Hira rahim ko lekar bazaar se ghar ki taraf jane ke liye palki me char jati hai saraswati ke saath .
UDHAR SARASWATI KE GHAR ME SAAB PARESAN HAO SURAJ DHALNE KO AYA HAI AAB TAAK SARASWATI AUR HIRA NAHI LAUTE HAI
Hariprasad- itni der ho gayi hai ye chorea wapas kyu na ayi aab taak ?
Rupmati- aur anumati do jane ki. Aap ki chori to humesha hawa me reheti hai . jane kaha phas gayi hogi?
Hariprasad - are kabhi to subh bola kar
Kalawati- ha aap ko to mari baat hamesha galat lage hai . mare ko to lagta hai ke kahi mi kala kar rahi hogi aap ki chori.
Hariprasad- gussa ho kar tu chup kar warna . tabh hira aur saraswati lautte hai
Hariprasad- gusse me . kaha thi tum dono hum saab ko kitni chinta ho gayi thi iska pata hai tanne?
Hira- mele me kya hua saab kuch batati hai aur rahim ki taraf saab dekhte hai.
Kalawati- dekha ke kahi thi main ne aap se? utha ke le ayi kisis chore ko. Aap ki chori musibato ka potla hai.
Rahim- hum koi nahi hum khane khana hai .
Kalawati- dekho to jara itna sa chora aur itni bari jaban .
Hora- maa isko aaj ki raat rruk jane do . kaal main hi ise nmehel pahacha aungi
Hariprasad- mehel mane ke kehena cha rahi hai tu?
Hira- bapu sa ye chora mehel me reheat hai . kaal ise choor kar ana hai . aap chinta karoge isis karan wapas a gayi main barna to ise mehel chor ati .
Hariprasad- thik hai chori. Acha kiya taine jo ise yaha le ayi . kaal subha main hi ise chor aunga.
Hira- chalo rahim raat ho gayi hai ab bhojan karke hum so jayebgnge.
Rahim- par tumn eto kaha tha kit um humare saath khelogi
Hira- ha thik hai pehele bhojan phir khel
Rahim- thik hai par humari pasand ka khel khelna hoga
Hira- thik hai tum saraswati did ke saath jao hum ate hai
saraswati - ha chalo .
kalawati- ye ek musalman chora hai ke?
Hira- ha musalman chora hai .
Kalawari- are thane ssab kuch bharst kar diya. Ye ke kar diya chori. Kyu le ayi isne ghar . aab ke hoga. Pura ghar sudh karwana parega man
Hariprasad- ye ke kehe rahi hai tu hira ki ma. Ek chora roraah tha le ayi ise . aur jo prayaschit karna hai wo main kar legne
Hira- aaj use rehene do maa prayaschit karna hai to main kar lungi . paap kiya to main ne abhi mare ko jane do bahat kaam hai. Hira chali jati gai waha se
UDHAR ADHAM KHAN MEHEL ME LAUT AYE HAI SAENIKO KE SAATH ,UNHE RAHIM NAHI MILE . SALIMA BEGAM KO BHI PATA CHAL GAYA HAI KE RAHIM NAHI MIL RAHE HAI WO BAHAT RO RAHI HAI. UNKE SAATH JALA KI MAA HAMID ABANO AUR BEGAME KHAS RUKAYIYA HAI
Salima - hume humara rahim wapas chahiye. Ammi jaan hum unke bagayer rahe nahi sakte. Khane khan ki ek yahi nishani hai humare paas.
Rukayiya- himmat rakhiye salima begam rahim mil jayenge.
Salima - kaise milenge rukayiya begam adham khan bhi laut aye hai . rahim na jane humare rahim kaha honge kaise hone.
TABHI WAHA JALAL ATE HAI SALIMA BEGAM UNKI TARAF DAUR KAR JATI HAI.
Salima - sehensha hum kuch nahi jante. Ye ek ammi ki iltaja hai aap se hume humara rahim lauta dijiye
Jalal- unka haat pakar kar. Hum par bharosa rakhiye. Hum rahim ko dhund kar zarur le ayenge . hum aap se mafi bhi mangte hai ki humari galti ki waja se ye hua.
Salima- nahi aap sehensha hai aap maafi mang kar hume aur sarminda na kare.
Hamida bano- jalal kuch bhi kijiye par rahim ko dhundiye humse salima dbegam ki ye halat dekhi nahi jati .
TABHI WAHA EK BANDI ATI HAI YE WAHI BANDI HAI JISKE KHEME KE SAMNE SE RAHIM MILA THA WO JALAL KOSALAM KARTI HAI
Bandi- gustakhi maaf ho huzur par kahne kahan humare khjeme ke paas khel rahe the. Phir
Jala- phir kya hua
Bandi- phir do mahatarmae unke saath baat karne lagi. Hum bhi kharidaro ke saath masruf ho gaye . hume laga unki bandi unke saath hai to humne dhayan na diya.lagta hai wahi log rahim ko agwa karke le gaye hai.
Jala-l- gusse me uske bareme kuch janti ho to fauran batao hume.
Bandi - hum to nah par ye janti hai. Ek hindu dasi waha ati hai
Jalal- jaldi batao hume kya janti ho tum?
Dasi- jo ladki use le kae gayi thi use janti hu. Uska ghar bhi janti hu. Mujhe pata nahi tha ke wo kahne kahan ko le jayegi . pata hota to
Sehensha- job hi tum janti ho hume batao hum khud jayenge rahim ko lene.
Maham- nahi jalal aap sehensha hai . ye kaam aap adham par chor dijiye wo ye kaam kar denge.
Jalal- to ye taye raha kaal suraj ugne se pehele hume rahim aur unko agwa karne wale log agra me chahiye
CHAPTER 6 ENDS CHAPTER 7 BEGINS
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
CHAPTER 7
US DASI KE BATAYE HUE RASTE SE EK SAINIK KI TUKRI JISME KUCH KHWAJA BHI THE HIRA KE KAKA SAA KE GHAR PAHACHE . SUBHA BAS HONE HI WALI THI SAAB SO RAHE THE TABHI ACHANAK DARWASA KHATKHATANE KI AWAZ AYI . EK DEVAK NE DARWAZA KHOLA AUR KISISKE KUCH SAJHNE SE PEHELE HI SAINIK ANDAR A GAYE . PRURUSH SAINIKO NE HIRA KE KAKA SAA , PITA AUR BHAIO KO BANDI NANAYA AUR KHWAJAO NE HIRA , SARASWATI , AUR USKI DONO MAA O KO AUR KAKI SAA KOBANDI BANAYA . RAHIM KO EK SIPAHI NE GOD ME UTHAYA AUR USE LE AYE . RAHIM NIND ME THA TO WO KUCH SAMAJH NAHI PAYA . MHELE ME PAHACHTE PAHACHTE SUBHA HO GAYI . PAR UN SAAB KO KUCH SMAY KE LIYE BANDI BANAYA GAYA HAI . DIWANE AAM KA WAQT HOTE HI UNHE JALAL KE SAMNE LAYA JAYEGA DIWANE AAM ME . AAJ KE DIWANE AAM ME RUKAYIYA AUR HAMIDA BANO KE SAATH SATAH SALIMA BEGAM BHI HAI, KYUKI SALIM UNKI AULAD HAI . JALAL SABHA ME ATE HAI
Jalal- pehele fariyadi ko pesh kiya jaye . jalal ke hukm se hira aur baki giraftarr hue saa ko pesh kiya jata hai . bus hira aur saraswati aur ghar ki baki aurto ko ek parde ke piche bheja jata hai . kyuki dusre ghar ki bahu betia parae mard ko apni sakal nahi dikhati chahe wo sehensha hi kyu na ho . aur dari aurto ke cehere dhake hue hai .
Jalal- aap jante hai ke aap logog ne kitna bara gunah kiya hai? Aap ne rahim ko agwa karke mughliya saltanat ki shank o chunoti di hai . isme shak ki koi gunjayish hi nahi ki aap logo ne galat iradatan rahim ko agwa kiya isisliye aap saab ka sar kalam kar diya jayega . ua agar marne se pehele aap logog ki koi akhri kowais ho to bata sakti hai . ye sunkar hira ki maa rupmati be hosh ho jati hai . saab dare hue hai tabhi hira bolti hai .
Hira- agar hokum ki anumati ho to hum kuch kehena chahenge .
Jalal- ha par yaadc rakhna agar apni zindagi ki bhik mangne wali ho to bhool jao .
Hira- hum rajpoot hai sara kata lenge hokum par apne prano ki bhiksha nahi mangenge . aap raja hai . aap ka nyae sarvo pari hai parantu bina soche yu nye dena kaha ka nye hai
Maham anga- khamosh gustakh . ek mamuli si ladki ho kar sehensha ki saan me gusyakhi?
Hira- hume shama kare hokum par aap ne hum par ek balak ke apaharan ka dosh to laga diya par dusri visao par chinta nahi ki
Jalal- zada waqt nahi hai humare paas jo kehena chahati hi apni safai me saaf saaf kaho .
Hira- hokum agar humne us balak ka apharan hi kiya hota to hum use agra me lekar kyu rehete? Use le kar ksis dur rajya me chale jate . aur phir aap ko sadesha bhijwate ke humne aisa kiya hai. Dusri baat hokum aap dekh sakte hai jo jewar usne pehele pehene the wahi jewar usne pehene hue hai ek bhi jewar utare nag aye hai . ya chori nah hue hai.
Jalal- tumhari sari baate sahi par tumhe ek bandi ne rahim ko mele se le jate hue dekha tha . us bandi ko pesh kiya jaye. Mwlw ki wo badi sabha me ati hai
Bandi- huzuzr yahi khane khana ko le kar gaye the mele se . mujhe laga ye koi nayi haram ki bandi hogi par...
Jalal- haat dikha kar . abhi bhi kuch kehena jai aap ko ya koi dalil pesh karni hai aap ko ya saza ke liye tayiyar hai aap saab. Yaad rakhiye ek aur gawa bhi hai yah jo aap ki akum se hai usine aap ka pata diya tha use bhi bulaya ja sakta hai . uss dasi ko bulaya jaye
Dasi- pranam sehensha .
Jalal - kya dekha tha tymne ?
Dasi humne dekha tha ke ye aur uiski behen jise hum jante hai rahim ko kahi le ja rahe the hume laga aise hi baat kar rahi hogi . par wo dono rahim ko utha le jayege ye Vishay mere mastisk me nahi aya .
Jalal- sun liya aap ne ya kuch aur kehena hai . hum hukm dete hai ki...
Saraswati parde ke piche se bolyi hai ye sachi baat na bol rahi hai .
Jalal- gusse me khamosh gustakh . sehensha ke bich me bolne ka anjma jati ho?
Hira- sama kar dijiye hokum . ek sesh axsar chahate hai agar hum swayam ko niraparadh pramanit nahi kar paye to aap hume jo chahe dand dijiye .
Maham anga- gusse me . e ladki ye koi mazzak nahi hai koi mauka nahi milega sajhi . sehensha ka faisla hai ye badal nahi sakta . tabhi parde ke piche se hamida bano keheti hai .
Hamida bano- saab ko mauka milna chahiye maham. Mughliya saltanat ka ususl hai bhalehi lakh gunhe gar chut jaye par ek begunha ko saza honi chahiye
Jalal- thik hai par ye akhri mauka hai batao kya kehena chahati ho ?
Hira- hokum aap ki anumati ho to aap jha ne khana ko ek baar bulakar puch lijiye ke kya humne unka paharan kiya ? unhe kast diya ? ya unke icha ke virudh unhe mele se le gaye?
Jalal- rahim ko diwane aam me pesh kiya aye .
Rahim diwane aam me rukayiya aur apni ammi jaan ke bich me ja kar baith jate hai parde ke piche .
Jalal- rahim aap parde ke piche jayiye aur inka chehera parde me se dekh kar batatyiye ke kiya ye wahi hai jo aap ko mele se lekar gate the?
Rahim parde ke piche ja kar saraswati aur hira ka chehera parde kr andar ja kar dekhte hai .
Rahim- ha sehensha ye wahi hai . par ye bahat achi hai hum to ro rahe the . ye hume apne ghar le gayi, khana khilaya aur humare saath khela bhi aur hume lori sunakar sulaya bhi ye bahat achi hai , is bandi ko inhone kaha bhi ki hume kile me xhor de par ye nahi mani . ye bahat buri hai .
Salima bega, - rahim aisa nahi kehete humne aap ko sikhaya tha ma yaha a jayiye .
Jalal- ha ahim aap ja sakte hai . us bandi ki taraf dekh kar bato tum dono jhoot kyu bola tha?
Hindu dasi- hume isne kaha tha ke ye hume puraskar ke maharo me se adha degi isiliye humne iski baat mani .
Jalal- hum janna chahate hai ke tumne jhoot kyu bola?
Bandi- hume ,aaf kar dijiye sehensha hume laga hume inam milega . hum nahi cahate the ye inam le jaye isis lye humne ye kiya .
Jalal- saza to tum dono ko milegi . saza kya hogi ye salima negam tae karengi . kyuki tum unke gunhe gar ho .beher haal aap logo ne rahim ko samhala is ke liye hum aap ke sukr guzar hai aur aap ko inaam dena cahate hai
Hira- shama kare hokum hame kuch nahi cahaiye iss balak ko uske parivar ke paas humne pahacha diya yahi humara puraskar hai .
Jalal- aap ko kuch nahi chahiye? Aap ko ksis chiz ki chahat nahi?
Hira- iswar ka diya saab hai huamre paas jo jivan katne ke liye chahiye . dena chahate hai to yaha se jane ki agya dijiye.
Jalal- thi hai par hum bhi sehensha hai . aap ko kuch na kuch zarur diya jatega
Hira- thik hai hokum jaisi aap ki icha . aab agya de .
Jalal - inhe ba izzat shan se inke ghar pahacha diya jae . inhe ghar bhej ne ke liye khas sawari bheji jaye . agla fariyadi ko bulaya jay . hira aur uska parivar ja rahe hote hai tabhi rahim use dau k rata hai aur pakar leta hai .
Rahi,- maat jao mehel me fruk jao.
Salima vegam- rahim aisa nahi karte yajha ayiye .
Tahim- nahi hum inke saath ajyenge.
Ira- bithkar dekho aisa maat karo / ye tumhara parivar hai . yaha raho hum sighra tumse milne ayenge .
Rahim- wada karo
Hira- has karw acghan dete hai . ye kehekar hira waha se chali jati hai .
END OF CHAPTER 7*******************************************************************************
CHAPTER 8
HIRA AUR USKA PARIVAR GHAR PAHACH KAR DEKHTE HAI KE UNKE GHAR PAHACHNE SE PEHELE HI SARASWATI KE SASURAL WALE WAHA AYE HUE HAI . YE DEKH KAR HIRA AUR SARASWATI PICHE KE DARWAZE SE GHAR KE ANDAR CHALI JATI HAI . SARASWATI HONE WALE SASUR AUR JETH SASUR AYE HAI . HIRA KE PITA UNHE DEKH KAR CHINTIT HO JATE HAI .
HARI PRASAD- khamma ghani samdhi saa aap saab yaha?
Trilokeshwar(ladke ke pita)- h hum yaha aye to the shadi me barat ke rehene ki vyavastha dekhne . vivah me kuch hi din sesh rahe gaye hai par yaha a kar pata chala ki aap ko sehensha ne bulawaya tha aur wo bhi sainkik de kar . ye kya Vishay hai ? aur humari hone wali bahu ko bhi bulaya tha.
Udahar antar mehelme hira aur saraswati ye baate sun rahe hai
Saraswati- lagata hai . mare sasre wale bahat naraj hai . rista tor denge . aab ke hoga
Hira- are tu chup kar . jab bhi bolegi asubh hi bolegi . kitni bar kaha hai tanne subh subh bola kar .
Saraswati- kaise subh subh balu to dekh na rahi hai . ke ho raha hai?
Udhar hariprasad - dekhiye aisa kuch bhi nahi hai . sehensha ne ek Vishay me prasn karne ke liye hume bulaya tha .
Trilokeshwar- wo to thik hai parantu . agar ninda wali baat hai to ye samandh hume. Tor na hoga .
Hariprasad - nahi aisa maat kijiye humari bachi kka jivan nast ho jayega . saraswati andar se rone lagti hai jira use chup karati hai . tabhi waha mehel ke sainik tae hai jinhe dekh kar hari Prasad phir se dar jate hai . sainik bahat sare thal aur baste le kar aye hai .
Sinik- ek farman parte hai. Hukm sehensha ka mahar mughliya saltanat ki . aap logog ne kahne khana ka dhyan rakha aur unhe mehel me lauta kar sehensha aur mughliya saltanat ka sukun lautaya hai . isis liye mughliya saltana ki taraf se ye taufe aap logog ko diye ja rahe hai aur ye bhi farman diya jata hai ki shadi zaruart ka anaj masale aur kuch libas bhi yaha hai . agar aap logog ko kuch aur chahiye ho to be jhijhak hume farman me likh kar de .
Hariprasad- ye kripa hai unki . unka huma abahar vyakt karte hai . hume aur kuch nahi chahiye.
Trilokeshwar - samdhi ji agar sehensha ko iss vivah me mantran diya jata to acha hota . hum agra me mirchi ka vyapar karna cahate hai agar unse iss vivah me iss Vishay par baat ho pati to acha ho jata . aura cha ho ke ye nimantarn aap hi de .
Hari parsad- thik hai jaisa aap kahe . hira ke pita unke saath jate hai .
Hira- kya jarurat thi bapus aa ko mehel me jane ki /
kalawatiI- - aab aur kuch maat kahe . wo chore wale hai unki baat manni paregi hume .
saraswati- ha bahat upakar kiya hai thane mara aur na kar . ye sunkar hira ko bura lagta hai aur wow aha se chali jati hai .
UDAH MEHEL ME SEHENSHA KO NIOTA DENE JATE HAI HARI PRASAD PAR SEHENSHA SE PEHELE UNKI MULAKAT MAHAM ANGA SE HOTI HAI .
Maham- diwane aam ka waqt khatam ho chukka hai . aap logog ko kya kaaam hai mehel me.
Hariprasad- khamma ghani . hum sehensha ko humare bhatiji ke vivah ka nimantran dene aye the . unhone farman diya tha...
Maham- umhone aap logog ki taraf khus ho kar kich tukre pheke the isis me aap logog ko khus hona chahiye . sehensha aur aap ki beti ke nikah me sirkat karenge aisa khwab dekhna bhi galat hai . aab ye farman dijiye aur jayiye yaha se . aur ayinda yaha dikhe to acha nahi hoga . sipahio nikalo inhe yaha se
Hariprasad- sama kare hum swayam hi chale jayenge.
HARI PRASAD GHAR LAUT ATE HAI . MEHEL ME JO HUA WO SUN KAR HIRA GUSSE ME JATI HAI
Hira- main puchti hu ke jarurat thi aap ko sehensha ke paas jane ki? Pehele swayam hi adesh part preran kya . aur apman bhi kya?
Hari Prasad- dekh chori mare ko iss baat ki chinta na hai ke mara apman hua . bura lag raha hai ke samdhi sa ko ke kahenge . unko krodh aya to biha me kuch bhi ho sake hai
Hira- to ke karenge . sehensha ke samne phir jholi pheyelayege? Ek baar ap se bhet to kar sakte the wo par na .aap bbhi na jayenge waha . adhik ho gaya hai aab
Hari Prasad - sun chori .
UDHAR MEHEL ME JALAL APNE KHAB GAH ME LET KAR RUKAYIYA KA INTEZAR KAR RAHE HAI . AUR DIWAR ME TANGI US TASWER KO DEKH RAHE HAI . AAJ KAAL ISS TASWER KI TARAF DEKH RAHE HAI . JALAL KO ISS TASWER SE AJEEB LAGAO HO GAYA HAI . JALAL KO AAJ BAHAT LAG RAHA HAI KE KAS ABHI IS WAQY YE TASWER KI LADKI JALAL KE SAATH HOTI TO... JALAL ANKHE BAND KARKE YAHI SOCH RAHE THE TABH WAHA RAHIM ATE HAI
Rahim- aap ne kaha tha aap humare saath chupan chupai khelenge . chaliye khelne
Jalal- has kar rahim abhi khelna hoga?
Rahim- apne wada kiya tha . sehensha ka wada bara hota hai .
Jalal- hum saab par hukumat karte hai aur aap hum par hukumat karte hai .rahim idhar udhar dekh raha tha .a achanak uski nazar us taswer parti hai .
Rahim- inki tasweer yaha kaise ayi sehensha?
Jalal- hayeran ho kar aap inhe jante hai rahim?
Rahim - ha hum inke bareme bahat kkuch jante hai . jalal ek satir hasi hasta hai .
Jalal- aap kya jante hai rahim? Aap hume batayiye hum aap ko bahat sare khiline la kar denge
Rahim - aap hum eek lakri ka ghora la kar denge?
Jalal- ha hum aap ko aur bahat kuch la kar denge . aab aap hume batayiye ke aap kya jante hai . rahim jalal ko saab kuch bata ta hai . hira kaisi dikhti hai . usne rahim ka kitna dhyan rakha . wo kitna cha khana banati hai , kitni achi kahaniya sunati hai .
Jalal- lagta hai inse milna hi parega . zara hum bhi to dekhe jo tasweer me itni khubsurat lagti hai wo asliyat me kaisis lagti hai .
Rahim- aap unse mile to kahiye ga ke hum unse milna cahate hai aur unke saath khelna bhi cahate hai wo jaldi humse kile me a kar mile .
Jalal- bilkul rahim aab raat ho gayi hai aap so jayiye ja kar sabba kheyer .
Rahim- sabba kheyer. Tabhi rukayiya waha ati hai
Rukayiya- kya hua jalal rahim aur aap ka khe;l aaj jaldi khatam ho gaya?
Jalal- ha rukayiya . aaj rahim se hume kiis aur khel ka lutf uthane ka mauka mila .
Rukayiya- hum samaajh gaye. Haram me ek aur ladki ane wali hai . aap fikr maat kijiye hum samhal lenge
Jalal- rukayiya ka haat pakar kar apni baho me lete hai. Aap hume bahat ache se janti hai hai .
Rukayiya - apni bahe jalal ke gale me daal kar keheti hai - aur hum ye bhi jante hai ki kuch din uski talab hogi, aur phir wo bhi iss haram aap ki nazro se utar jayegi , aur use aap dusri begamo ki tarha bhul jayeneg
Jalal - aap to janti hai . ke jo hum cahate hai wo hasil karke rehete hai .
Rukayiya- jante hai . acha hai haram me ek aur bandi a jayegi . hum mukamal tayiyariya kar lete hai
END OF CHAPTER 8**********************************************************************************
369