CHAPTER 5
JALAL PINAZ BEGAM KE KHEME SE RAHIM KO BAHAT SARE KHILONE DILATE HAI TABHI SALIMA BEGAM KE KHEME ME SEHESHA KI PASAND KE ITRA DEKH KAR WO WAHA JATE HAI.
Jalal- rahimm aap bhi humare saath chaliye hum aap ko yaha nahi chorenge .
Rahim - hume rehene dijiye na sehensha hum yaha khilone kharidenge .
jalala- aap aur kya kharidenge rahim humne aap ko pura khema kharid kar de diya hai.
Rahim- - nahi hume yahi rehena hai. Tabhi salima begam apne kheme se keheti hai
Salima begam- buri baat rahim kya humne aap ko yahi sikhaya hai? Sehensha kin a farmani?
Jalal- rehene dijiye rahim abhi bache hai
Salima begam- nahi sehensha. Aap kin a farmani karne haak iss saltanat me kisisko nahi hai. Rahim mafi mangiye
Rahim- hume maaf kar dijiye sehensha . hum aap ke saath ammi jaan ke kheme me challenge
Jala- rahim ko good me utha kar- chaliye.
JALALA SALIMA BEGAM KE KHEME AYE HAI YAAH TAR HA TARHA KE RANGEEN LIBAS HAI.
Jalal- aap ne ye khema kyu lagaya hai salima begam?
Salima begam- sehensha hum jante hai aap ko kimti libas bahat pasand ate hai isi liye humne aap ke liye khas ye sone ka kaam kya hua aur motio se jara hua libas rakha hai.
Jalal- bahat khoob hume ye bahat pasand aya khas kar iss libas ka rang.
Salima begam- hum jante hai ke laal rang ko aap ko bahat pasand hai aur nila rang bhi. Begam hai hum aap ki . aap ki pasand napasand ko janna farz hai humara .
Jalal- sukriya. Waise yaha se hum apni do khas begam aur ammi jaan ke liye kuch kharid na chahate hai
Salima begam- ye to humari khoos nasibi hogi. Ke aap humare kheme ko chune. Jalal chize chunne lag jate hai . ye dekh kar baki begame bhi jalal ko rijhane ki koshis karti hai taki jala unke kheme se bhi kuch kharide.
ISIS BICH RAHIM JALA SE DOOR HO JATE HAI AUR WO BAZZAR KE DUSRI TARAF NIKAL JATE HAI DEKHNE KE LIYE .
Rahim- acha hua aab hume sehensha nahi dhund payenge chupan chupai khelne me maza ayega. Rahim ek mitti ke bartan ke kheme me choop jate hai.
ISIS BICH JALAL KI KAHRIDARI KHATAM HO JATI HAI AUR UNHE LAGTA HAI . JALA RAHIM KA DHYAN RAKHNEKE LIYE EK HARAM KI BANDI KO LAYE THE RAHIM MIL NAHI RAHA YE BAAT WO BANDI JALA SE CHUPA LETI HAI. JALA BINA RAHIM KO LIYE HI MINA BAZAR SE CHALE JATE HAI. HIRA AUR SARASWATI WAHA ATE HAI KUCH BARTANO KO KHARIDNE TO UNHE WAHA RAHIM MILTA HAI ROTA HUA AUR DARA HUA
Hira- kya hua . tum itna ro kyu rahe ho balak?
Rahim- hum yaha chupan chupai khel rahe the. Par hume koi lene nahi aya lagta hai saab hume chor kar chale gaye hai.
Saraswati- kaise ghar wale hai iske jo ise chor kar chale gaye?
Hira- bina kisis gyan ke hume baat nahi karni chahiye saraswati aisa bhi to sambhab hai ke iske parijan iski chinta kar rahe honge? Tabhi us kheme ko lagane wali ek bandi waha ati hai. Are khane khana aap yaha? Sehensha ke saath aap mehelme nahi gaye?
Hira- aap iss balak ko janti hai to aap ise ghar nahi pahacha sakti
Khemewali- hum baad me le jayenge humara kaam khatam ho uske baad . zara sehensha ko bechaen hone dijiye acha inam milega humne
Hira- kaisis stri hai aap/ aap ke paas hriday nahi? Dekh nahi rahi hai? Ye sisu kaise ro raha hai? Saisa maat kijiye.
Khemewali- tumhe itna dard ho raha hai to tum de ao na? jaab sehensha ka gussa tum par tute ga tabhi pata chalega tumhe.
Hira- thik hai hum hi pahacha denge iss balak ko
Saraaswati- kintu hira agar hume lautneme smay laga to bapu sa aur tau s chintit honge
Hira- adhik smay nahi lagega suriast me abhi vilamb hai . tum mehel ka rasta janti hi?
Saraswati- hum to nahi humara kochwan janta hai
Hira- to chalo ise iske parivar ke paas pahacha dete hai. Warna iska parivar bahat hi chintit ho jayega.
UDHAR MEHEL ME ANE KE BAAD JALA KO PATA CHALA HAI KE RAHIM YAHA NAHI HAI AUR JALA BAHAT GUSSE ME HAI.
Jalal- hum janna chahte hai kiski galti ki waja se rahim, khoye hai? Kisko humne rahim ki zimedari di thi? Use faran humare samne pes kiya jaye. Haram ke pehere dar us dasi ko jala ke samne late hai
Jalal- rahim tumhari zimedari me the na to phir kaise chut gaye wo mina bazaar ,e jawab do hume?
Bandi- hume pata nahi chala sehensha rahim kaab idhar udhar ho gaye hum samajh nahi paye hume maaf kar dijiye.
TABHI WAHA MAHAM ANGA ATI HAI. MAHAM ANGA YU TO KEHENE KO JALA KI DAI MAA PAR JALA UNHE BAHAT MANTA HAI ITNA KI AMMI JAAN SE UPAR KA DARJA UNHONE UNHE DE RAKH HAI .TABHI TO JALA UNHE BARI AMMI KEHETA HAI , AUR DIWANE KHAS ME UNHE WAZIRE ALIYA BANA RAKHA HAI
Maham- us bandi ko ek thappar maar kar. Iss bandi ko pachas kore mare jaye aur jaab taak hum na kahe tab taa ise koi marham nahi lagayega . le jayeiye ise yaha se.
Bandi- rehem kijiye sehensha
Jalal- sipahio hukm kitamil ho
Bandi- nahi rehem kijiye. Use waha se sipahi le jate hai
Jala- hume farn ek tookri bhejni hogi sayenik ki. Rahim ko kuch ho gaya to hum apne aap ko maaf nahi kar payenge. Khan baba humare atalik the aur unki maut ke baad salima begam aur rahim humari zimedari hai.
Maham- hum smajhte hai jala. Huma abhi adham khan ko fauj ki tookri ke saath bhej dete hai rahim mil jayenge. Hum puri kosis karenge ke salima begam ke lautnese pehele rahim ml jaye
Jala- thik hai bari ammi
Maham- khhoda hafis.
Jalal- khooda hafis .
40