The Challenge
Disclaimer: We often see this statement (All characters, events, places...) before any TV episode or movie. So apply that here and start reading.
KD's office, 6PM
KD examined the note carefully. He turned it over and read it again:
Tumhe kya lagta hai? Tum mujhe pakde loge? Tum uss Aniket ko nahi bacha paoge. Koshish karte raho.
Varun said, "Sir yeh note aapko mila kab?"
KD replied, "Abhi jab main adaalat se wapas aaya tab. Varun tu aisa kar neeche se yeh pata laga ke yahan kaun kaun aaya tha subah se. Unhe main se koi ek ne yeh chora hai."
"Ji sir."
Varun left the office and KD leaned back to think. The case was twisted. His client was a kid inside a man's body. 3 years ago Aniket had been a normal person until he went into his past due to an incident. And today, 3 years later, Aniket had been blamed for the murder of his elder brother, Adit. And the proof was against Aniket as well. Still KD knew that he was innocent. Now he just had to prove it by bringing this note writer to court.
*****
Adit and Aniket's house, 5 days ago, 10PM
Adit leaned back and closed his eyes. Tomorrow was a big day. He was going to court to give a statement against Anna, the dreaded don of the underworld. The police had tried to set him and Aniket up in a safe house, but Adit had refused. He wasn't giving Anna the satisfaction of knowing that he had gotten scared. So, instead, his house had been set up as a safe house.
Aniket came running out, "Bhaiyya...bhaiyya...wahan...wahan koi hai."
Adit got up and said, "Kahan Aniket? Dekhiyo mujhe."
Aniket hugged his teddy bear tightly and said in a scared voice, "Nahi. Mujhe darr lagta hai."
"Main hoon na. Chalo dikhayo."
But before they could go anywhere the lights went out. Aniket screamed, "Bhai!"
"Main yahani hoon Aniket. Daaro nahi."
Somewhere a glass broke. Adit pulled out his cell phone. He needed to find out where those officers were who were supposed to be outside his home protecting him. Aniket grabbed his arm as he pulled the phone out. Aniket was still scared. Adit said, "Ek minute Aniket. Mujhe ek phone karne do."
Adit pulled his hand out of Aniket's grip and picked up the gun that had been lying on the coffee table in the other hand. But before he could call the officer standing outside his house, 3 shots rang out.
*****
KD's office, Present day, 6:30PM
Varun came back in. KD asked, "Haan kya pata chala hai?"
"Sir yahan toh pure din koi nahi aaya lekin aaj subah se yahan pe, yani building main, 130 log aaye the. Main sab offices jaa kar ek baar pata karta hoon ke inhe main se kitne unhe se sach main milne aaye the."
"Rehne do Varun. Ek sau tees logon main se sab ko har insaan yaad nahi hoga. Aur waise bhi jisne yeh chora hai woh ho sakta hai sach main kisi aur se milne gaya yah gayi thi."
"Sir isse yeh toh sabat hota hai ke Aniket khooni nahi hai."
"Haan hota hai. Lekin yeh adaalat main saboot ke tor pe pesh nahi kar sakte hain kyun ki hume yeh nahi pata hai ke yeh kisne likha hai. Jaiswal saab bari asaani se keh sakte hain ke yeh humne yeh Aniket ne kisi se likhwaya tha."
"Sir toh phir aap kal kya karoge?"
"Varun ek kam kar..."
KD explained a plan to him and then sat back again. Somewhere he was missing something and he had to find it.
*****
Crime scene, 5 days ago, 11:40PM
Inspector Dave bent and examined the body carefully. 3 close range shots had been fired but only Aniket had been found at the spot. Obviously either he was the murderer or someone came from outside. The broken window in the guest bedroom pointed to the second option, but it could be the first option as well since the gun had been found in Aniket's hands.
Dave got up and looked angrily at his 2 officers. Both idiots had been stationed outside the house and both had stepped away from their post for over 20 minutes because some girl had come running to them asking for their help to save her brother. When they had finally come back they had seen the open gate and felt that there was something wrong. When they had seen the body, they had immediately called for him. Now he would have to answer in court when Anna's case came up. But right now it was important to find the murderer. He handed the gun in an evidence bag to one of the officers, "Isse aur laash ko lab bhejo. Aniket kahan hai?"
The officer pointed to the kitchen. Dave pulled out his gun, unloaded it, and went into the kitchen. Aniket was cowering in the corner, while Sunaina was trying to calm him. Sunaina was his psychiatrist who had been called here by Dave. Dave said, "Aniket yeh dekho. Yeh kya hai?"
Dave waved the gun. Aniket's face lit up and he stood up, "Gun."
Then he tried to take it from Dave, saying, "Chor police. Chor police. Main chor. Main jeetonga. Main chor."
After a fake struggle, Dave gave the gun to Aniket. Aniket pointed it at Dave and said, "Hands up. Hands up."
Dave put his hands up. He wanted to see if Aniket could fire a gun or not. As expected, Aniket did fire. At this, Sunaina, who had been watching quietly, stood up, took the gun from Aniket, and said to Dave, "Aap kar kya rahe hain?"
"Khooni ko pakdene ki tyari," Dave replied, looking at Aniket.
"Aniket khooni nahi hai!" Sunaina exclaimed.
"Acha? Adit ki bandook se hi use maara gaya. Uski bandook Aniket ke haathon main aur Aniket ko goli chalni bhi aati hai. Mere liye itna kafi hai Aniket pe shaq karne ke liye."
Sunaina tried to object, but Dave continued, "Main manta hoon ke yeh dimak se ek bacha hai lekin ho sakta hai chor police khelte huye isne aapne bhai ko maar diya."
"Aur Anna aur uske aadmi?"
"Humne Aniket ko agar abhi tak arrest nahi kiya hai woh Anna ki wajah se hai. Anna ke paas wajah thi aur yeh ek professional hit bhi ho sakta hai. Ek baar woh ladki aur uska woh bhai mil jaaye phir sab kuch saaf ho jayega."
Dave had come to the conclusion that those 2 were involved in this and they were going to search for them to solve the case.
*****
KD's office, Present day, 7PM
"Varun ek baar case ko phir se shuru se dekhte hain."
"Ji sir. Paanch din pehle Adit Kumar ka khoon uske hi ghar main hota hai."
"Adit Anna ke khilaaf gavahi dene jaane wala tha. Ek aisi gavahi jo Anna ko sidha phansi pe chara deti. Aur Adit ke gavahi se ek din pehle hi use maara jata hai. Yeh koi ittefaq nahi hai."
"Lekin sir Dave ke hisaab se jo bhi bhai pakda gaya usne yeh kaha hai ke usse paise Aniket ne diye the unhe do officers ko ghar se haatane ke liye."
"Lekin Aniket dimak se ek paanch saal ka bacha hai. Toh woh yeh sab kaise kar sakta hai?"
"Sir aise bhi toh ho sakta hai ke woh Uday abhi bhi jhoot hi bol raha hai."
"Ho sakta hai Varun. Pehle tu woh kam kar jo maine kaha tha aur phir iss Uday se bhi milte hain."
*****
Police station, 4 days ago, 9AM
Dave put the phone down. He said, "Woh bhai mil gaya hai! Chalo!"
But before he could go anywhere Anna was brought in. Dave sent an inspector and two constables to catch Uday, the brother who supposedly had an accident pulling his 2 officers away from their positions at Adit's house.
Dave went into the holding cell and sat down across Anna. "Dekho Anna. Mujhe bas itna jaana hai ke kya tumne Adit ko maarwaya hai ya nahi."
Anna laughed. "Woh saala maar gaya? Acha hai! Ab mere khilaaf zada saboot nahi hai tum logon ke paas."
Dave looked angrily at Anna. "Maine poocha kya tumne use maarwaya."
"Maine chahe kitna bhi mana karoon kya tum yakeen karoge? Maine use nahi maarwaya!"
"Jhoot mat bolo!" Dave got up. "Yeh sab tumhara kiya dhara hai!"
"Dekho Inspector. Agar yeh maine karwaya hota toh main seena thok ke kehta ke maine kiya hai lekin sach yehi hai ke maine kuch nahi kiya hai."
"Acha? Aur hum tumhari baat mann len?!! Bewakoof samjha hai? Jis aadmi ke zariye se yeh sab karwaya hai woh pakda gaya hai," Daya bluffed.
"Ho hi nahi sakta hai kyun ki aisa koi aadmi tha hi nahi. Dekho Inspector main manta hoon ke mujhe faida hoga agar Adit maar jaaye lekin agar mujhe use maarna hota toh main aaj court main usse maarwata kyun ki maine usse yehi dhamki di thi ke main usse court main maar doonga. Agar tumhe sach main koi mila hai toh woh jhoot bol raha hai kyun ki maine aisa kuch nahi kiya hai."
This meant that his informers had been right. They had all said that there was nothing being said about the shooting out on the street. They felt that this meant that the murder was not something done by Anna. In fact the general opinion had been that someone had done this due to a personal enmity and timed it such that Annawould be the first suspect.
Dave signalled for the officers to come and take Anna to court for his 12 o'clock hearing. Now to question Uday and find out what he knew.
*****
Adit and Aniket's house, Present day, 8:15PM
Varun pulled up his bike and stopped outside the house. The constable who was supposed to be at the gate was nowhere to be seen. Varun opened the gate, took his bike in, and then turning off the ignition left it hidden in the grove of trees. He peeked out of the trees and seeing the coast clear he stepped out and ran over to the house.
He slowly made his way around the side of the house looking for an open window or door through which he could enter when he saw another guy peeking through a window. He went up to the guy and tapped him on the shoulder. The guy said, "Ek minute."
Varun tapped him again. The guy shrugged his hand off, "Ek minute kaha naa."
Then the guy froze and turned around. He said, surprised, "Aap...aap...aap kaun?"
"Varun Zaveri. KD Pathak ka assistant. Tum kaun ho?"
"Apun bole toh Srman."
"Yahan kya kar rahe ho?"
"Ji...woh apun...apun...apun..."
Varun interrupted, "Chori karne aaye ho. Haina?"
"Hain? Nahi! Arre apun toh""
"Jo bhi hai ab tum mere saath chaloge. Chalo undar," Varun interrupted.
Varun pushed Srman into the house and then went in after him as well. Varun pushed Srman into a chair and said, "Ab tum yahan pe chup chap bhetho. Mujhe kuch cheezein dekhni hai aur phir tumhe main KD sir ke paas le kar jaonga."
Srman sat down and waited as Varun started looking around the house and taking photos of various areas especially of the crime scene. When he was done he turned to Srman and said, "Chal ab mere saath."
*****
KD's office, 10PM
Varun pulled an objecting Srman into the office. KD asked, "Yeh kaun hai Varun?"
"Sir yeh mujhe Adit ke ghar ke bahar mila. Mujhe lagta hai ke yeh wahan chori karne gaya tha," Varun replied.
"Arre bhai chor do. Apun ne aisa kuch nahi kiya hai. Arre apun udharich isli gayla tha kyun ki apun ko dekhne ka tha ke jab kisi ko goli lagti toh khoon kaise pehleta hai," Srman said.
"Tera naam kya hai?" KD asked.
"Srman boss."
"Srman boss? Yeh kaisa naam hai?" KD asked with a raised eyebrow.
"Arre boss apun ka naam Srman hai. Apun toh khali aap ko boss bula raha tha. Aur boss aap kya boss ho. Arre aap apun ko aapna woh...kya kehe hain...haan assistant bana lo! Apun yeh galat shalat dhande sab band kar dege. Bole toh god promise," Srman rattled on.
"Ek minute ek minute. Main KD sir ka assistant hoon," Varun objected.
"Toh aap baare bhai aur baare assistant aur apun ek dum chota bhai aur chota assistant ke mafik kam karega," Srman said, hugging Varun from a side.
KD looked at Srman probingly and said, "Varun aisa karo isse ek baar iss case pe laga do. Agar yeh acha kam karta hai toh yeh hamara khabri ban sakta hai."
"Arre thank you boss. Apun ek dum maan laga kar kam karega. Dekh lena."
KD added, "Aur iski bhasha bhi sudarne ka prapandh karo," then changing topics, "Ghar se kya mila?"
"Kuch bhi nahi. Naa Aniket ko bachane ke liye kuch mila aur naa hi kuch bhi aisa mila jo usse bacha sakta hai sir," Varun replied.
"Matlab jisne bhi yeh khoon kiya hai usne bahut planning ke saath sab kuch kiya hai. Thik hai. Chalo Uday se milte hain."
KD got up and the 3 left the office.
*****
Police station, 4 days ago, 12PM
After booking Uday, he was set up in an interrogation room. Dave walked into the interrogation room and sat down across Uday comfortably. Then he said, "Haan toh Uday Singh tumhe pata hai ke tumhe yahan kyun laaya gaya hai?"
Uday was comfortably dressed in loose sweatpants and t-shirt. There was no sign that he had been in an accident ever. He simply shrugged his shoulders, "Aap batao. Mujhe kya pata."
"Waise tumhara doctor kaun hai?"
Uday looked confused. "Doctor? Kaunsa doctor? Kaisa doctor?"
"Arre kal raat tumhara accident huya tha naa? Aur subah itne ache khaise dikh rahe ho. Toh doctor koi jadugar hi hoga. Uska naam do zara. Agli baar hum main se kisi ko chot lagegi toh hum uske paas hi jayenge."
Uday wiped the sweat beads that had formed on his forehead as Dave had spoken. He said, "Mera accident? Lekin main toh yahan thik thak bheta hoon. Aur kal raat main toh ghar se bahar bhi nahi nkla."
"Acha. Yani kal raat tum ghar main hi bhete huye the? Yani jinhe police officers ne tumhe dekha woh jhoot bol rahe the? Haina!" Dave slammed the table angrily at the last word.
"Mujhe dekha tha? Lekin main jab ghar main tha mujhe koi kaise dekh sakta hai?" Uday asked.
He was looking frightened but he answered the questions with confidence. Dave got up and went around behind Uday. Leaning down he said, "Dekho Uday. Mujhe majboor maat karo. Abhi toh main araam se pooch raha hoon. Agar main aapni pe utar aaya toh tumhari kaunsi kaunsi hadi tootegi woh mujhe bhi nahi pata."
Uday wiped the sweat on his forehead again and said, "Agar main sab kuch bata doonga toh aap mujhe kuch nahi karenge naa?"
"Kuch nahi karenge. Tumhe sirf yahan pe aur phir court main aapni gavahi deni paregi."
"Sir mujhe paise diye gaye the."
Dave came around again and sat down facing Uday once again. He asked, "Kisne diye the paise?"
"Ek aadmi ne diye the. Usne kaha ke woh ek ladki ko bhejega mere paas aur mujhe accident hone ka drama karna hai aur woh ladki meri behen hone ka drama karegi. Woh ladki sab kuch sambhal legi mujhe sirf kuch deer tak aise natak karna hai jaise mere saar pe bahut chot lagi hai aur jab woh ladki mere kaan main bole utho' toh mujhe aise natak karna hai jaise mujhe hosh aa gaya hai aur main ab aapni behen ke saath chala jaonga."
"Uss aadmi ka chehra dekha hai? Usse pehchan sakte ho?"
"Haan sir. Maine usse pehchan sakta hoon."
"Aur woh ladki?"
"Nahi sir. Maine usse ladki ka chehra nahi dekha. Jab maine behosh hone ka natak kiya toh woh police officers ko lene chali gayi thi aur jab maine hosh main aane ka natak kiya toh woh meri taraf peet karke khadi huyi thi. Jab police officers chale gaye tab woh bhi chali gayi."
"Acha woh aadmi kaun tha?"
"Mujhe uska naam nahi pata hai. Lekin agar main usse dekhonga toh shayad main usse pehchan jaonga."
"Ab yeh shayad kahan se aa gaya? Abhi toh tumne kaha ke tum usse pehchan sakte ho."
"Kaha toh tha lekin kya hai naa ke main uss aadmi se andhere main mila tha. Thodi si roshani aayi thi window se usme uska chehra thoda bahut dekha tha."
"Acha yeh dekho. Inhe main se koi hai woh?"
Dave put Aniket, Anna, and Anna's right hand man's photo on the table. Uday looked through them carefully and then pointed at Aniket's photo. "Yeh."
*****
KD's office, Present day (next day), 8AM
Last night after meeting Uday KD was sure that he could save Aniket. Uday had told him a lot of things that would prove Aniket innocent. And today KD would prove that.
Sunaina came into the office as KD thought about this. KD looked up and said, "Sunaina? Bheto."
Sunaina sat down and asked, "Sir main toh sirf itna poochne aayi thi ke kya aap ko kuch pata chala hai. Kya Aniket bach jayega?"
"Aniket bach jayega. Uske bachne ke liye kafi saboot mil chuke hain mujhe. Adaalat main sab pesh karonga."
"Sir asli khooni ka pata chala?"
"Abhi talash jaari hai. Dekhte hain kya pata chalta hai."
KD didn't want to reveal too much because he suspected even Sunaina. Varun and Srman were out and about following up on the suspects that KD had named. Since Srman was from the informers' side, he could easily get information that was available out on the street, while Varun followed up on the legal side.
*****
KD's office, 4 days ago, 10AM
Sunaina came rushing into the office. "KD Pathak?"
KD looked up from his law book and said, "Ji. Aap kaun hain?"
"Mera naam Sunaina hai. Main ek psychiatrist hoon. Ek case le kar aayi hoon."
"Bheto. Mrs. Billomoria, zara ek glass pani dena inhe."
Mrs. Billomoria brought over a glass of water, which Sunaina quickly gulped down. Once her breath came into control, KD asked, "Acha batao. Kya huya hai?"
"Sir aapne Adit murder case ke baare main suna hai?"
"Yeh wohi case hai naa jahan pe Adit Kumar ko unke hi ghar main raat ke samay, do police officers ke nak ke neeche, goli maar di gayi?" Varun asked.
"Haan wohi hai. Sir aaj uss khoon ke ilzaam main Adit ke chote bhai Aniket ko giraftaar kar liya gaya hai. Main abhi police station se hi aa rahi hoon. Sir Aniket bekasur hai. Woh yeh khoon kar hi nahi sakta hai!"
"Shanti Sunaina. Saaf saaf batao ke woh yeh khoon kyun nahi kar sakta hai?" KD asked.
"Sir Aniket 3 saal pehle tak ek aam insaan ki zindagi jee raha tha. Phir 3 saal pehle uski girlfriend ki maut ek car accident main ho gayi. Uss accident main Aniket ko bhi kafi chot lagi thi. Usse uski girlfriend ki maut ka itna sadma pauncha ke woh aadha pagal ho gaya aur ek aadmi ke sharer main woh ek paanch saal ka bacha ban chuka hai. Main pichle 3 saalon se uska ilaaj kar rahi hoon. Main jaanti hoon uski dimaki halat. Uske liye uska bhai uske baap ki taran tha. Woh aapne bhai ka khoon kar hi nahi sakta hai. Lekin pata nahi kyun police ko yeh lagta hai ke Aniket ne Adit ka khoon kiya hai aur abhi thodi deer pehle usse giraftaar kar liya."
"Dekho Sunaina. Agar jo tum keh rahi ho woh sahi hai toh main yeh case avashya loonga. Lekin pehle mujhe Aniket se ek baar milna hai."
"Zaroor sir. Aap ek baar mere saath chaliye. Main aapko Aniket se milwa doongi. Phir aap hi faisla ki jiyaga ke Aniket bekasur hai yah nahi."
*****
Courtroom, Present day, 9:20AM
KD said, "Your Honor agar aap ki ijazad ho toh main Uday se phir se kuch poochne chahta hoon."
Jaiswal got up and objected, "Your Honor aisa nahi ho sakta hai kyun ki kal hi maine sabat kar diya tha ke Aniket hi qatil hai aur aaj aap faisla sunane wale the. Pathak saab aap waqt barbaad maat ki jiye. Aapko yeh movkil hi qatil hai aur yeh maine sabat kar diya hai toh aap judge saab ko saza sunane di jiye aur case ko khenche maat."
KD turned to Jaiswal and said, "Jaiswal saab shayad aapne woh khavat nahi suni hai."
"Kaunsi khavat?"
"Ke chahiye sau mujhrim chut jaayen lekin bekasur ko kabhi saza nahi honi chahiye," KD turned back to the judge and continued, "Your Honor iss case main bhi kuch aisa hi hai. Aniket bekasur hai aur iska mere paas paka saboot hai."
"Thik hai Uday ko bula lo," the judge said.
Uday was brought in and like last night he gave his true statement again. "Your Honor maine kal court main jo bhi bola tha woh bolne ke liye mujhe paise diye gaye the. Mujhe ek aadmi ne kaha tha ke main aapne aap ko giraftaar karvaon aur phir Aniket ka naam loon. Maine andhere main Aniket ko nahi dekha tha. Maine toh andhere main kisi ko nahi dekha tha. Yeh sach hai ke wahan pe roshani thi thodi si lekin jis taran se woh aadmi khada tha maine usse nahi pehchana tha."
"Aur woh aurat?"
"Woh maine sach kaha tha. Pure waqt yah toh meri aankhen band thi yah uski peet mere taraf thi. Maine uska chehra kabhi nahi dekha."
Uday left and Jaiswal got up and said, "Pathak saab isse yeh toh sabat nahi hota hai ke Aniket qatil nahi hai. Aakhir yeh forensic evidence toh jhoot nahi bol sakti hai. Bandook pe Aniket ke ungli ke nishaan the. Uska kya?"
"Jaiswal saab maine abhi abhi aapke ek saboot ko galat sabat kar diya hai. Aur jahan tak iss bandook ka sawal hai toh agar kisi cheez pe kisi ke ungli ke nishaan paaye jaate hain iska yeh matlab nahi hai ke uss insaan ne woh cheez churayi hai. Bhool gaye? Agar main aapni yeh ghadi yahan giraon aur agar aap uthalo mujhe wapas karne ke liye toh kya iska yeh matlab huya ke aap khooni hai? Sirf isle kyun ki aapke ungli ke nishaan inhe par hain?"
Jaiswal started thinking about that. KD turned to the judge and said, "Sir mere movkil ke khilaaf saboot yehi the ke bandook pe uske nishaan hain aur ek eye-witness ne usse paise liye the ek natak karne ke liye taki uska koi saathi bhi undar aa sakhe. Lekin Your Honor sab yeh bhool gaye ke Aniket ek paanch saal ke bache ki taran hain. Woh khel khel main bandook chala sakta hai lekin itni planning ke saath kisi ka khoon nahi kar sakta hai. Aur yeh baat ko sparsh karne ke liye main Sunaina ko bulane ki ijazat chahta hoon."
The judge gave his permission and Sunaina came up to the dock. KD asked, "Sunaina yeh batao ke tum Aniket ko kaise jaanti ho?"
"Your Honor Aniket mera patient hai. Main pichle teen saalon se iska ilaaj kar rahi hoon."
"Usse huya kya hai?"
"Woh aapni yadash kho kar aapne bachpan main chala gaya hai. Pichle teen saalon se main isse iske aaj main laane ki koshish main lagi huyi hoon."
"Aur kya yeh safal huya hai?"
Sunaina hesitated. KD probed, "Dekhiye jhoot maat bolna aur naa kuch chupana. Yeh adaalat hai aur yahan pe jhoot bolna aur chupana uchat nahi hai. Sab kuch saaf saaf bataye. Kya yeh safal huya hai?"
"Your Honor pichle kuch mahino main mera ilaaj safal ho raha hai. Ab Aniket ko beech beech main dore parte hain aur usse sab kuch yaad aa jata hai aur woh aapne aaj main wapas aa jata hai. Yeh dore zada tar 5 yah 10 minute tak hi hote hain lekin aur phir yeh wapas bacha ban jaata hai."
Jaiswal got up. "Yani 5 ya 10 minute ke liye hi sahi Aniket aapne asli roop main aa jata hai. Toh kafi simple hai. Isne ussi waqt main yeh saari planning ki hogi aur phir jab woh aapne iss roop main aaya toh Uday aur uss ladki ke zariye isne police officers ko unki jagah se hataya aur Adit ka khoon karke wapas bacha ban gaya."
KD chuckled ever so slightly and turned to Jaiswal. "Jaiswal saab aap ko lagta hai ke aisa kuch ho sakta hai? Chalo mann liya ke yeh sab uss 5 se 10 minute ke waqt main kiya Aniket ne. Lekin kya Uday ke saamne Aniket bacha nahi ban jaata aur pakda nahi jaata?" To Uday, "Kyun Uday? Kya woh aadmi kabhi tumhare saamne bache ki taran pesh aaya hai?"
"Nahi sir. Woh toh aapke aur mere taran aam taran pesh aata tha," Uday replied.
"Dekha Jaiswal saab." Then turning back to Sunaina he asked, "Waise aap khoon ki raat uss ghar pe kya karne gayi thi?"
Sunaina looked confused. "Main...main wahan..."
KD interrupted, "Dekhiye jhoot maat boliyega. Woh saamne wale ghar ke watchman ne aapko wahan dekha hai."
Varun had had a chat with the watchmen of the houses in the neighbourhood and indeed the watchman of the house in front of Adit's house had seen a lady, but he hadn't seen Sunaina. KD was bluffing to see if Sunaina would reveal something and get caught. But Sunaina simply said, "Ho hi nahi sakta hai sir. Main wahan gayi hi nahi thi uss raat. Toh phir koi mujhe kaise dekh sakta hai?"
"Acha aap gayi hi nahi thi wahan. Chalo thik hai. Aap bhetiye."
Sunaina went to sit down and KD said, "Your Honor Aniket yeh khoon kar hi nahi sakta hai chahiye kuch bhi ho. Ab toh maine yeh sabat bhi kar diya hai ke jo chashmaded gavah tha woh jhoot bol raha tha. Aur jo yeh bandook pe ungli ke nishaan paaye gaye hain yeh kabhi bhi lag sakte the. Saath hi saath Sunaina ki gavahi ne yeh sabat kar diya hai ke chahiye Aniket kuch deer ke liye aapne aaj main aa jata hai lekin phir bhi woh yeh khoon nahi kar sakta hai. Your Honor yeh khoon kisi aur ne kiya hai aur usne pehle Anna ko phasne ki koshish ki aur phir Aniket ko."
The judge sat silent for afew moments and then said, "KD jo tum keh rahe ho woh sahi hai lekin phir khooni kaun hain?"
"Your Honor khooni wohi hai jisne mujhe yeh chunauti patre likha hai. Usse lagta hai woh bach jayegi lekin woh nahi bachegi. Agar thoda waqt diya jaaye toh mujhe pura yakeen hai ke Inspector Dave uss tak paunch sakte hain."
"Woh ek ladki hai?"
"Ji haan Your Honor. Kyun ki iss patre main saaf saaf mahila itre ki khusboo aa rahi hai aur saath hi saath yahan pe upar nail polish ke kuch ansh paaye gaye hain."
"Thik hai KD. Tamam sabooton aur gavahon ke bayan ke taheyet yeh adaalat iss nataje pe paunchi hai ke Aniket Kumar ne aapne bhai Adit Kumar ka khoon nahi kiya hai. Lihasya yeh adaalat Aniket ko baa izaat baari karti hai aur police ko yeh hukum deti hai ke woh do din main asli khooni ko dhoond kar adaalat main pesh karen."
Pounding the gavel once, the judge dismissed the case. In the public area, she smiled as she thought of the judgment. Ha! Two days. She would never be caught. She shared a glance with her partner who smiled slyly back at her. They were free.