Koi itna bhrast buddhi kaise ho sakta hai?

Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#1
Kaun? Aur kaun, apne bhratashri of course.Everyone heard the prastav he put in front of Madhu in the precap.Dharavahik ke pratek kadi mein hum sochte hain ki bhratashri isse neech karya nahi kar sakte par turant agli hi kadi mein we humein galat saabit kar dete hain.'Meri Madhu' koi bhratashri ki uddandta to dekho! Man ko kar raha tha ki sambhav hota to unhe 8-10 thappad laga dein! Humein laga tha ki Madhu ki pratikriya k baad bhratashri ko apni galti ka bodh ho ...par nahi!weh toh aur ghor ghatiya yojna k saath samne aaye.Parantu ghatiyaji iss satya se anbhigya hain ki hamare rishbala ko alag karna asambhav hai.Humein viswaas hain ki Madhu itni kamjor nahi ki use uss ghatiya prastav ko sweekarna pade. Bhratashri ka sannidhya humse aur bardash nahi hota ab toh keval unke payaan ki pratiksha hai. Note:Kya aap ko nahi laga ki Rishabh ka Radha ka kriya karam scene kuch anawashyak tha. Yeh nahi bhi dikhate to theek rehta. Kisi to hamari tippani se thes pahunchi to hum chamaprarthi hain. Dhanyawaad.

Created

Last reply

Replies

26

Views

2.9k

Users

13

Likes

37

Frequent Posters

piaabhay thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#2
its too difficult to read your hindi sorry
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#3

Originally posted by: piaabhay

its too difficult to read your hindi sorry

Me too sorry. Woh kya hai ki humein angrezi mein apne feelings ko zyada acche dhang se vyakt nahi kar paate.
masan1 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 12 years ago
#4
Pranam pyaare ji, hum to apke darhan abhilashi rehte hain. Aap ne uttam tippani di hai bhratashri to bhrataon ke naam par kalank hai. Aapne jo bhi spasht kiya hum uska samarthan karte hai. Radha ji ka antim sanskar isliye kia gaya kyunki cvs dikhana chahte the apne chamakte abhineta is samay ek bure kaal se gujar rahe hai aur unhe srf hamari bhraya hi sambhal sakti hai.
meenji22 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#5

Originally posted by: pyaare_laal

Kaun? Aur kaun, apne bhratashri of course.Everyone heard the prastav he put in front of Madhu in the precap.Dharavahik ke pratek kadi mein hum sochte hain ki bhratashri isse neech karya nahi kar sakte par turant agli hi kadi mein we humein galat saabit kar dete hain.'Meri Madhu' koi bhratashri ki uddandta to dekho! Man ko kar raha tha ki sambhav hota to unhe 8-10 thappad laga dein! Humein laga tha ki Madhu ki pratikriya k baad bhratashri ko apni galti ka bodh ho ...par nahi!weh toh aur ghor ghatiya yojna k saath samne aaye.Parantu ghatiyaji iss satya se anbhigya hain ki hamare rishbala ko alag karna asambhav hai.Humein viswaas hain ki Madhu itni kamjor nahi ki use uss ghatiya prastav ko sweekarna pade. Bhratashri ka sannidhya humse aur bardash nahi hota ab toh keval unke payaan ki pratiksha hai. Note:Kya aap ko nahi laga ki Rishabh ka Radha ka kriya karam scene kuch anawashyak tha. Yeh nahi bhi dikhate to theek rehta. Kisi to hamari tippani se thes pahunchi to hum chamaprarthi hain. Dhanyawaad.

tumne itni shudh hindi likhi hai ki adhe se jyada logo ke sir ke upar se nikal gai hogi.kyoki yaha sab hungrage n angrage baste hai.
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#6

Originally posted by: masan1


Pranam pyaare ji, hum to apke darhan abhilashi rehte hain. Aap ne uttam tippani di hai bhratashri to bhrataon ke naam par kalank hai. Aapne jo bhi spasht kiya hum uska samarthan karte hai. Radha ji ka antim sanskar isliye kia gaya kyunki cvs dikhana chahte the apne chamakte abhineta is samay ek bure kaal se gujar rahe hai aur unhe srf hamari bhraya hi sambhal sakti hai.

Apne humari tippani ko padha aur samarthan kiya iske liyeh hum aapke aabhari hain. Agree on kriya karam part too but agar yeh nahi dikhate toh kuch bhratashri premiyon k paas hamare priya Rishabh k khilaaf bolne k liyeh kuch nahi bachta.
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#7

Originally posted by: rashmivaish

Ati Uttam Pyaare lal ji🤣

Dhanyawaad .
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#8

Originally posted by: meenji22


<div></div>tumne itni shudh hindi likhi hai ki adhe se jyada logo ke sir ke upar se nikal gai hogi.kyoki yaha sab hungrage n angrage baste hai.

Jin forum wasiyon ko humari tippani samajh nahi aayi unse hum chama chahenge, parantu kya karein humein aisi hi bhasa aati hai.
JAHHNAVI thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 12 years ago
#9

Originally posted by: pyaare_laal

Kaun? Aur kaun, apne bhratashri of course.Everyone heard the prastav he put in front of Madhu in the precap.Dharavahik ke pratek kadi mein hum sochte hain ki bhratashri isse neech karya nahi kar sakte par turant agli hi kadi mein we humein galat saabit kar dete hain.'Meri Madhu' koi bhratashri ki uddandta to dekho! Man ko kar raha tha ki sambhav hota to unhe 8-10 thappad laga dein! Humein laga tha ki Madhu ki pratikriya k baad bhratashri ko apni galti ka bodh ho ...par nahi!weh toh aur ghor ghatiya yojna k saath samne aaye.Parantu ghatiyaji iss satya se anbhigya hain ki hamare rishbala ko alag karna asambhav hai.Humein viswaas hain ki Madhu itni kamjor nahi ki use uss ghatiya prastav ko sweekarna pade. Bhratashri ka sannidhya humse aur bardash nahi hota ab toh keval unke payaan ki pratiksha hai. Note:Kya aap ko nahi laga ki Rishabh ka Radha ka kriya karam scene kuch anawashyak tha. Yeh nahi bhi dikhate to theek rehta. Kisi to hamari tippani se thes pahunchi to hum chamaprarthi hain. Dhanyawaad.

Bahut badiyaa post banaate hain, Pyaare ji!! 😛
Sach mein.. ek ek akshar kya chun chun kar likhte hain aap!! Waah waah! Mera sabse priyay hai aapka Sultan ko bhrata shri kehhna! 😆 Bas hridya prasann ho jaata hai aapki tippaniyan parr ke!! 👏
Edited by chiknichameli07 - 12 years ago
LSPD thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#10
Your Hindi is fab
Mine is also good so I can understand it well
But I will reply in English
I agree what rk did with his mom is unnecessary
But then he is like that
He does every thing in extreme
He dos everything openly
He cannot help drama
U have to accept him like he is

Related Topics

Madhubala - Ek Ishq Ek Junoon thumbnail

Posted by: ThePoleSTAR · 2 months ago

Koi toh kuchh post kro

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".