I want Madhu to tell Sultan that
'maine Aryan ki jan bachaai, tumhari jaan bachai..ek nahi do baar Sultan do baar. Tumhe chawl me rakkha, gundo se bachaya. Tumhare dard ko mehsus kiya.
Sultan main tumhe apna dost samjhati thi. Maa, Didu aur RK sab mujhe samjhane ki koshish kar rahe the ki main galat kar rahi hoon leking fir bhi maine unsuna kar diya. Sultan aaj main apne aap ko kosti hoon..kyo ki maine tumhari madad? kyo bachayi tumhari jaan? kyo tumse dosti ki?
Dost kehte ho na mujhe? Dosti ka matlab samjhate ho Sultan? main galat thi Sultan...main galat thi. ...aur ye sab kuch jo tume RK ke saath jo kiya hain na...uske baad mujhe yakin ho gaya hain...Tum ek gunde the, gunde ho..aur gunde hi raho ge.
Tumhari vajah se RK ko jo taklif ho rahi hain main uske liye tumhe kabhi maaf nahi karungi. Aur ek baat yaad rakhna, agar aaj ke baad tumhe RK ki jadagi me koi bhi tufan laane ki koshish ki naa..to main tumhe nahi bakshungi. Aur yaad rakhna, RK ki sabra ka imtihaan mat lo..jis din RK ne tumhe barbad kar ne ki thaan li..fir uske baad tumhe RK se koi nahi bacha sakega...khud tum bhi nahi."
Edited by i-me-myself - 12 years ago