
Mohabbat ek khubsurat ehsaas, ek alag si khushi, dil ki bechani, anjan dilon ki ahatein, kahin sapne, najane kitni kahi ankhahi batein chupi hoti hein. Mohabbat ke bohat roop hote hai magar sabse alag wo hai jo do dilon ko joorta hai. Shayed hazaron log honge jo iss khubsurat ehsaas ko mehoos karte hai, kai baar hum ise kehte hai pehli nazar ki Mohabbat , kabhi kehte hai they are soul mates, aur kabhi Raab Ne Bana Di Jodi. Kehne ko kahaniya to bahut hote hai magar Mohabbat wahi, inn mein kuch kismet wale hai jinhe Mohabbat milti hai, kuch Mohabbat ke liye tarapte hai, kuch bina kahe chupke se dil hi dil mein Mohabbat mein sama jate hai, aur kuch aise hai njo apne dil ki baat ko hi nahi samajh pate. Mohabbat to rehti hai lekin jab tak uss bekarar dil ko khabar ho tab tak shayed bahut der ho jaye, kya pata phir wo Mohabbat hume mile ya na mile...
Wo ek pal hi kaafi hai Mohabbat ke ehsaas ke liye, uski gehrayi janne ke liye.
Sach kehte hai kismat hi to hai jisse humein Mohabbat milti hai.. Par kabhi kabhi humari majbooriyan ya nadani ke kaaran hum kismat ko hi badalney chalte hai. Aur jab khud ko badlana chahe tab kismat saath nehi deti. Kya ya Zaroori hai humein doosra moka na mile? Sachhi Mohabbat iss ki mohtaj nehi hoti, sirf janti hai Mohabbat mein haad se guzar jana. Jab aap iss sawal aur jawab ka fasla tay kardo aur dil se us khoye huyi Mohabbat ko pana chaho, Jiski zibdagi mein hamesha se kami thi..apki Mohabbat apka junoon ban jati hai, sirf uss ek dhadkan ki chahat ho toh upar wala bhi saath deta hai ye Mohabbat nehi Deewangi ban jati hai
~~ Agar Tumse Mohabbat na hoti..~~
Ye kahani hai Saras aur Kumud ki, naa hi wo hai ek anjana aur naa hi ek anjani. Haan Shayed wo do anjane dil hain jo kuch iss tarha uljhe hai naye rishte mein, kasmo mein, rasmo mein, anjan dil ki dhadkano mein, kisiki pehchan mein. Jab wo mile background mein koi music nahi tha ya violin nehi bajey thi, hhhmm "nafrat se pyaar" poorana ho choka hai, "ek nazar ka pyaar" bahut dekha hai, "sparks fly" ho sakta hai, ek dusre ke liye bane hai sunni huyi line hai, badle ki aag oh God har serial ka plot hai. Inki kahani kuch alag hai "ye Mohabbat ke falsafe Hein..Aag ka dariya hai or dub ke jana hai..
kya rang layega waqt jab wo kahe "Agar tumse Mohabbat na hoti..". Saraswati chandra Vyas, the Young,Handsome Buisness tycon...Rule Vyas Empire, an arrogant, egocentric, Self obssesd man!! ~~ Kumud Desai
...Educated but simple girl, love her Dad who is her only family, caring, dream for a perfect romantic life!! What brought them together and what had happened when their world collided?? Ye Mohabbat ki baatein hai.. Mohabbat karne wale hi jane, hum bhi bekaraar hain chalo sunte hai inki Mohabbat ke afsane ~~
Hey everyone I'm Sehar..as u all knw me...Its My first ever FF on Samud ...Hope u all will like the concept..Plz Do tell me should i continue or not?..
Please leave ur precious comments as they meant alot for me..I promise to fulfil all ur demands about passionate love story nd scenes of samud which cruel cvz are not showing..Dont forget to hit the like button if u like it..
Do u wanna knw more ..How their world collide?..Please keep reading
"Agar Tumse Mohabbat Na Hoti..!"
Love u all alot Sehar!</font>