amreen1409 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago
#1
Hello friends!

Here is another story by me after Bahaar ke Din & Savera... Ek Lamha Ruka Sa. I hope you'll enjoy reading it 😊

Here is lil preview:
Ek Lamha Ruka Sa...
Inspired by "The Walk To Remember" By Nicholas Sparks

Story of Daniyal, the most popular, handsome and desired guy in his school, who happens to fall in love with Zoha, an austere and complete opposite of Adnan's dream girl.

Story is a blend of character's present and his thoughts/memory, i changed the color to make it clear.. lemme know if its confusing to follow😊

************* Ek Lamha Ruka Sa **************

Mousam bara karab ho raha tha aur aaj class mei students bhi kam thay, abhi class shuru hone mei time tha. Barish ki raftar abhi bar gayi thi jiska apna shor tha aur behte paani ko dekhte huye Professor kisi sonch mei chale gaye.

"Humein nahi parhna" ka class mei ek shor tha, har koi bol raha tha

"aakhir kyun nahi parhna?" ms. sana pooch rahi thi, wo sab shuru hogaye aur har koi apni apni bolne lage

Kya mei ander aasakti hoon? ki awaaz sun kar sab ki nazar door pe uthi aur saath mei sab ke mou band hogaye.

Zoha ke giley chehre pe pareshaani nazar aarahi thi, ms. sana ne muskora ke andar aane ki ijazat di. Unke muskuraane se uski pareshani kam huyi.

"sorry ms. thori si dair hogayi." wo Ms. se maafi mang rahi thi

"koi baat nahi aaj waise bhi kisi ka parhayi mei mood nahi." Ms. sab pe nazar dalte huye kehne lagi.

"Han aaj ke mousam ko dekhkar kisi ka bhi dil chahega nahi parhne ke liye." wo muskora kar kehne lagi.

Ms ko Zoha se ek lagao sa tha, uski har baat pe unko pyaar aata, unhi ko kya school ki har teacher ko wo azeez thi, jisse dekh kar saare students ko gussa aata tha.

"Kyun mousam se parihayi ka kya taluq?"

Zoha apni dhun mei shuru hogayi, "aapko pata hai miss, jab barish hoti hai to uska apna ek maza hai, waise har mousam ka apna ek andaaz hota hai jise insaan mehsoos kar sakta hai, ab dekhiye na jab barish hoti hai to khushi se phool jhoom uthte hain…" Zoha ko jaise mouqa mila apni dil ki baat batane ka. Wo apni hi dhun mei aas paas se bekhabar bole jaarahi thi.

"Ye ab poore saal ke mousam ka haal batayeingi" Daniyal ke kehne par sab hasne lage.

"Iise to aacha tha ke mis hum aapka lecture hi sun lete," Aamir ko bhi chain nahi aata jab tak kuch kaha na ho.

Phir baari baari har kisi ne comments dena shuru kar dia, jaise sab ko mouqa mil gaya uska mazak urane ke liye… Lekin Zoha ko ayesa lag raha tha jaise ye baatein kisi aur ke liye ho. Wo bohat sukoon se mukurati huyi miss se baatein kar rahi theen.

Sab ki apni baatein thi jo khatam nahi ho rahi thi.

"Sir" Maha ki awaz pe Prof. apne khayloon se chonk gaye,

"Kya baat hai,?"

"Sir, sab ka khayal hai ke aaj kisi se parhayi nahi hogi"

"Kyun?"

"Mousam keh raha hai ke aaj sirf baatein honi chahiye," Maha ki is baat se Prof. Samad ki ankhoon mei ek chamak si aagayi aur hoonton pe muskurahat. Mr. Samad ka dil chah raha tha ke wo Maha se aur baatein kare, Prof. ko Maha ki baatein bohat acchi lagti thi.

"Mousam se kya hota hai? Mousam apni jage hote hain aur parhayi apni jagah," wo halki si muskorahat liye kehne lage,

"Lekin Sir, mere khayal se mousam se hi zindagi hai, agar ye mousam hi na hote to zindagai to berang hoti," Maha bare josh se keh rahi thi, paas beithi Annie Maha ke pair pe pair marte huye khamoosh hone ko keh rahi thi. Annie Maha ki dost kam aur guard ziyada thi, har waqt gussa uski naak par hota. Annie ke marne par Maha ka josh kuch kam hua warna lag raha tha ke aaj sab ko bhool kar mousam ka falsafa le kar bethegi.

"Theek hai.. Aap loog apni baatein karein mei apna kaam karta hoon," Prof. ko bhi khayal hua ke wo aaj bohat baatein kar rahe hain aur wo khamoshi se apna kaam shuru kardiye.

"Kya baat hai? Sir ka mood ek dam se change hogaya, bohat muskurake tumse baatein kar rahe thay," Annie ne poocha.

"Bheii, humari shakiest hi asi hay, jo humse baat kare apne aapko khush kismat samajhta hai," Maha ne itrate huye kaha.

"Bari khush fehmi hai apne baare mei, Annie ne jal kar kaha.

Dono ki isi nok jhok mei lunch time hogaya aur dono baatein karte huye cafeteria mei chale aaye. Prof. ko bhi coffee ki bari zaroorat mehsoos ho rahi thi, Prof. apni coffee lekar corner wale table pe beith gaye aur coffee ke boond lete huye charoon taraf nazar dalne lage.

Chehre badal gaye thay, lekin aaj bhi caferia mei hamesha ki tarah kaafi shor tha.

"Miss aapke kehne pe mei yahan chali aayi to aaj coffee meri taraf se hogi" Zoha bare laar se keh rahi thi.

"Tum itne pyaar se pilarahi ho to mei inkaar nahi karongi" Ms Sana bhi pyaar se kehne lagi.

"Uff… Ye yahan kyun chali aayi?" Amir ne bezaargi se kaha

"Miss ki chahiti jo hai," Reema ne kaha jo Aamir ki dost thi, ya dost se bhi barr kar.

"Jahan bhi jaati hai maza karab kar deti hai" Daniyal ne mou bana kar kaha.

"Kitna accha hota agar isey yahan admission hi na milta," unka bas chalta to Zoha ko school mei ek din bhi na rehne dete.

"Kaise na milta admission, jab uska baap hi is school ka principal hai."

Zoha ki jagah koi aur hota to un loggon ki baatoon se paresahn hojaata… bachpan se hi uske koi dost na thay aur na koi banna chahte thay, yehi wajah thi ke wo kabhi in ke saath na beithti. Uski ek favorite jagah thi, wo hamesha wahin beithay kuch likhti huyi nazar aati, aur aaj Miss ke kehne pe yahan chali aayi. Wo hamesha teachers ki chahiti rahi aur bare sukoon se unke lectures sunti aur ab bhi wo sab se bekhabar unse baatein karne mei masroof thi.

"Kya baat hai? Sir akele akele coffee pi rahe hain?" Maha saath wale table par Annie ke saath beithi thi, us ko Prof. se bari humdardi thi. Maha ka khayal tha ke Prof. ki zindagi mei koi khalipan hai aur Annie ko bara gussa aajata uski in baatoon se. Is baare mei kayi baar dono ki behas ho chuki thi.

"Kuch to wajeh hai jo Sir beithe bithe khayaloon mei chale jaate hain aur aksar akele rehna pasand karte hain." Maha ayese kehti jaise wo bohat bari psychiatrist hai, "bekar ki bakwas karti ho, Prof. hai aur unka kaam hi sonchna hota hai"

"Phir bhi koi to baat hai, chalo baat karke dekhte hain, kabhi na kabhi to wajeh maloom ho hi jayegi."

"Wajah maloom karne ki chakkar mei tumhe pyaar ho jayega," Annie hamesha ke tarah chirr kar kehne lagi.

"Bakwas nahi karo," Maha ne aankhien dekhate huye kaha, phir Annie ko tang karne lagi, "Waise khayal bura nahi hai, Sir hain to bohat handsome!" Maha ki baat pe Annie ka mou hairat se khul gaya. Maha ko pata tha Annie ka yehi reaction hoga aur wo khilkhila kar hanse lagi.

Hansi ki awaz se Mr. Samad khayloon se wapis aagaye aur unki nazar Maha pe parhi.. Kabhi usey dekh kar unhein bohat apnayat si lagti aur kabhi bohat udaas ho jaate.. Aur is dafa Maha ki hansi sun kar Prof. ke chehre par udaasi chah gayi aur wo uth kar taiz kadmoon se bahar chale gaye.

********************* To Be Continued *********************



Edited by amreen1409 - 18 years ago

Created

Last reply

Replies

7

Views

1.2k

Users

7

Frequent Posters

OnlyHope thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago
#2

Appiiii, main to aapki fan ho gayi !!! This is my inspiration to start a fresh new story, with the hope of finishing it, unlike my previous one 😳

kalli thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#3
Wowwwwwwww, it is really very nice story 😉
Good work. Keep it up. 👍🏼
Please agge se bhi jaldi post kar dain. Mujhe parhni hai 😃 😃


Zhasan thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#4
wow 😛 i think u have an amazing writing skills i just wana wish u luck 4 future. 😊
terename thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 18 years ago
#5
awesome n ya next part jaldi likh dein coz we all r waitin n good work so plzzzzzzz cont soon.
notfadedaway thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago
#6
w0wwwwwwwwwwwwwww amreen di..awesomeeee....keep it upp..i m ur fann like fariha di iss 😃 😛
amreen1409 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago
#7
Thanks everyone for liking it and for encouragement 😊😊 I will try my best to post the 2nd part by tom. 😃

Fari, whenz ur story coming up?? i ll be waiting!
IMAN thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
#8
wow!!
such a guud story!

plzzz continue soon!
we r waiting!! 😃 😛

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".