Hey guys! I had written an OS of sorts đ But unfortunately couldn't get to Dev in time because of finals. Dev posted has posted it up in the 1st year thread now (thank you đł), but because it was added recently, a lot of you may not have seen it. I'm posting it below so I could get some feed back on it, it's the first time writing something of this sort, so please do give feedback and let me know if I should continue on!
"Yaar mera wallet kidhar hai, mujhe office ke liye der ho rahi hai"
"Aa rahi hoon! Aap cheezon ko kabhi sahi jaga pe kyun nahin rakh sakhtain hain Adi!" Pankhuri said as she handed Aditya the wallet.
Aditya walked towards her and grinned, "Tu jo hai mera khayal rakhne ke liye".
"Chaliye, ab aap ko office ke liye der nahin ho rahi hai?" she smirked.
"Haan, ho toh rahi hai, magar main kya karoon, tum mujhe har waqt distract karti ho toh-"
"Toh, toh kya adi, khud mujhe roktay hain aur kehtain hai ke main distract kar rahi hoon, main ja rahi hoon mujh aur bohat saare kaam hain"
Aditya grabbed her hand before she could leave in a huff. "Hey rukh na Pankhudi, ghussa kyun kar rahi hai, main toh bas mazaak kar raha tha"
"Acha toh tum mazaak kar rahe the, main jaa ke Mom-"
"Oh please Pankhuri yeh mat phir se kehna ke tum Mom ko jaa ke bataogi, main koi Mom wom se nahin darta hoon, Okay"
"Acha?" Avantika stood with her arms crossed in the doorway.
Aditya hurriedly let go of Pankhudi's hand.
"Nahin woh main bas'office ke liye der ho rahi hai toh' main jaata hoon! Bye Pankhudi"
"Bye" Pankhudi smiled shyly.
Aditya rushed out the door.
"Pankhudi, main tum se actually baat karne aayi thi"
"Kya hai Mom, sab kuch theek toh hai?"
"Haan woh bus main Kaira ko leke pareshaan hoon, pehle Manan aur ab yeh Dad ke saat jo kuch bhi ho raha hai, you know what I'm trying to say na Pankhuri?"
"Yea Mom, main aur Adi usko normal karne ki puri koshish kar rahein hain". Pankhudi smiled, " Jab hum log usko dinner pe le gaye the toh pehle thodi si khamoosh thi phir thodi dair ke baad, jab who comfortable hogayi, maine usko pehli daafa haste ve dekha, jaise uski bachpan ki khoyivi khushiyan kisi ne phir se lautadi ho." Pankhudi rest her hand on Avantika's shoulder. "Don't worry Mom bohat jaldi sab theek ho jayega"
"I hope you're right Pankhuri, main actually yeh suggest karne waali thi ke tum aur Adi Kaira ko kuch dino ke liye bahar leke chale jao, tum aur Adi kahin ghoomnay ke liye bhi nahin gaye, aur jaisa ghar ka mahaul hai, I don't think Kaira should stay, besides tum dono hogay uske saat"
"Mom, main pehle Adi se poochna chahti hoon, ke woh kya sochte hain"
"Fair enough, just let me know ke tum log kya decide karte ho, alright?". Avantika smiled and left.
Pankhuri was in internal conflict, could she leave Nana without finding out who was blackmailing him? Or was Kaira more important? With all these new letters and strange things happening every day, it was sure to have an effect on Kaira the most.