Asya ki shadi ho chuki hai par unki shadi ki baat zoya ke aapi aur jiju ko pata nahi hai...
In khan mension
dining table..
Dil:zoya kya hua itni tense kyu lag rahi ho?
Zoya:woh ammi aaj aapi ane wali hai...
Dil:yeh toh achi baat hain woh nikaah mein nahin aa payi na ab ham milke saath mein baat karenge aur tuhme bhi tuhmari aapi ke saath baat karne ko milega tuhme toh khush hona chahiye itna sad kyu ho...
Zoya:in mind apko kaise batao ammi unhe hamari shadi ki baat nahi pata hai...
Asad:ammi mein office jaa raha hoo shaym ko aa jaunga...
Dil:par asad meri baat toh suno woh aaj zoya ki aapi aane wali hai tum zara zaldi aana...
Asad:kya aapi ...
Dil:haan tuhme pata nahi tha kya zoya ne nahi bataya...
Asad:woh bataya hoga main hi bhool gaya...acha aami aa jaunga...zoya muje tumse kuch zaroori baat karni hain zara kamre mein aana...
Zoya:jee mr khan abhi aayi...
In beedroom...
Asad:kya aami ne joh kaha woh sach hai aaj tuhmari aapi aane wali hain...
Zoya:han mr khan main bohot tense hoon kya karu unhe pata nahi ki hamari shadi hui hain...
Asad:acha hain nahi bataya...
Zoya:whats wrong with u mr khan aap ko ye majak lag raha hai woh meri aapi hain woh mujhe yaha se le jayegi aur rahi baat iss nakli nikaah ki toh woh iss baat ka bada batangat banayegi aap jante nahi hai unhe...
Asad:haan janta hoon tum aisi ho toh tuhmari behen kaisi hogi...
Zoya:apne kuch kaha mr khan...
Asad:nahi toh...
Zoya:maine suna mr khan aap kuch keh rahe the...
Asad:haan mein yeh keh raha tha ki tum unhe mat kaho ki hamari shadi ho chuki hai ...
Zoya:yeah u r right mr khan ...main apke bare mein bilkul sach hi sochti thi aap sach mein emotionaly chalenged hain...agar maine aapi ko kuch nahi bataya toh phir woh mujhe yaha se le jakar mera nikaah kar degiii...
Asad:ismein problem kya hai...
Zoya:apko problem nahi dikhai deti hain kya...ane do mein bhi kis insaan se behas kar rahi hoon...
Asad:matlab...
Zoya:yahi ki aapki nazzar mein yeh nikaah drama hai...aur mujhe aapi ke saath jakar unke pasand ke ladke ke saath shadi karni chahiye right...
Asad:mera matlab woh nahi tha...
Zoya:apka kya matlab hota hai yeh mein abhi tak nahi samaj payi hoon mr khan...
Asad:iska kya malab nahi samajh payi actuly mein apko nahi samajh paya miss faroqui...
Zoya:mr khan mrs zoya khan...
Asad:yeah...
Zoya:aur ek baat mr khan jab tak aap mujhe aapki dil ki baat nahi kehte tab tak mein toh aapi ko kuch nahi bataungi uske baad woh meri kisise nakah bhi kare mein nahi batene wali aapko sab ke samne aake kehna padega ki hamari shadi ho chuki hai aur mein apki legally wife hoon...
Asad:sapne dekhna chod do zoya aisa kuch nahi hone wala...
Zoya:hoga mr khan zaroor hoga aur mein yeh karke dikhaungi aap bhi mujhe nahi jante mein zoya asad khan hoon...
Asad:ohh really toh dekh lete hain challenge excepted miss faruqui sorry mrs khan...
Precap: aapi:zoya toh chale ghar tuhmare jijju tuhmse milne ke liye bade betab hai...
Zoya:haan aapi chale..
N zoya aapi ke saath jati hain...
So guys hows it...
Part 2 pg 2
part 3 pg 4
part 4 pg 6
part 5 pg 7
46