It goes like this:
Prithviraj Chauhan aakhir tum aa hi gaye.
Darr kya hota hai?Pata bhi hai tumko.
Ek anjaan cheez se darr paida hota hai.
Is darr ko kaise kaboo kiya jaa sakta hai?
Himmat se.
Himmat kahan se aati hai?
Sach ka saamna karke.
Insaan sach kab bolta hai?
Jab uske dil mein aastha hoti hai.
Aastha kya hai?
Ek aisa vishwaas jo pahad ko bhi hila de.
Aur ye vishwaas kahan se paida hota hai?
Jab aatma samaan badta hai.
Aur is aatma samaan ko kaun si cheez maar daiti hai?
Ahankaar,ghamand.
Ahankaar ka janam kahan se hota hai?
Khud se.
Aur is ahankaar ko maarte kaise hain?
Bhagwaan ke saamne sar jhuka kar.
Is duniya mein sabse keemti cheez kya hai?
Zindagi.
Aur is zindagi ko itna keemti kaun banata hai?
Maut.
Zindagi mein sabse keemti khazana kya hai?
Gyan.
Is gyan ko sabse acchi tarah kaise istemaal karte hain?
Anubhav se.
Hawa se bhi tez kya hai?
Mann.
Mann ko kaise kaboo karte hain?
Apni manzil se nazar na hilakar.
Tumhari manzil kya hai?
Khazana paana.
Mila?
Ab tak to nahin.
Ujale ke hote hue bhi woh kaun si jagah hai jahan hamesha andhera hota hai?
Diye,Diye ke neeche.
Saare jawab hain tumhare paas lekin phir bhi tumhe unke matlab janne honge.
Sorry,if I'd done some mistakes.