Garmi Garmi Garmiii...
Dimaag mein bawal macha huaa hai mere..ubal aa raha hai sharir mein...Kash main abhi aasmaan mein udd pati..thandi thandi hawa mein tairti..😃
Kintu parantu sochiye agar aasmaan se giri to...
Meri kisse fikr hogi..😡choriye seedhi baat par aaiye...Agar Ashu aasmaan ki sair karte karte gira to...😲
Uske powers khatm ho gaye to obviously wo girega..par kidhar girega pata hai na...😭
Gir ke actually latak jayega..kyuki aasmaan se gire to khajoor pe atke..😛
Sawaal to bahut hai jaise..aasmaan se gir ke insaan khajoor par ki kyu atakta hai...bahut saare ped hai...par atakta hai khajoor ke ped par hi kyu??
Khajoor ke ped par kya shopping mall ya beauty spa hai ki ladkiyaan aasmaan se khajoor par latakna chahe..ya ladko ke liye koi Mastam mastam Restaurants hai jidhar wo log Nain sukh prapti karein..😈
Hai kya uss khajoor ke ped par...Ufff..😳
Ashu Uspe latak gaya...oops atak gaya...Aur pata hai usse kya mila Khajoor ke ped par..😲
MACHAN jispar AshNi ne honeymoon manaya tha...😆
Ab Ashu to obviously Khajoor ke ped par atkega..par main aasmaan se giri to khajoor ke ped par kyu atkungi??..😕
Ab bhi ye sawaal mujhe pareshan kiye hai..😭Chodiye meri kisse fikr hai...😭😃