Pehle toh hum baat karte hain Rashid Miyaa ki…..Waise toh first 100 episodes tak Aap Razia bhabhi ki ungliyon pe naachte rahe……he was badly trapped in her evil game …..pehle toh yahi galat bhaimi thi ki inhone daulat ke liye apni biwi aur do bachhon ko dusri aurat aur uske bhaijaan ki daulat ke laalach me aake choda tha….."maine aap se zyadah garib insaan aaj tak nahin dekha…..us baap se zyadah garib aur kaun ho sakta hain jinhein unke aulad abbu kehke bhi nahin bula sakte?"……
lekin baat kuch aur hi thi……lekin that doesnot give him a cleat slate either……for the first thing, why did he marry shireen hiding from her his first marriage and a child?? Lekin 17 saal tak isi guilt ke saath rehna, chahke bhi apne biwi-bachhon ko mil bhi na paana, Asad aur Najma ki nazar mein gunaahgaar ki tarah jeena……in sabke saaath gudiya factory ki saazish ka raaz bhi unhin ke sar pea a gira…..khud ke aulaad is tarah inke khilaaf phire ki unki jaan lene tak tule huye ……… but he had somehow escaped the ranjhish…..dekhte hain is new found freedom ka who kaise laaf udate hain?? Next comes Siddiqui saheb……Yeh baat raaz ki hain….waise toh sabko lagta hain ki He rules the family lekin he himself is a khilona in Razia' hands….shaadi se pehle kii gayi unki ek galti……aur nikaah hua bhi toh kisse Razia se…..jisne us aurat ko bedardi se maar diya..uske bachhe ko anathalay mein daal diya….aur bechara Siddique chupchap Razia ke kaam mein assist karte rahe..u know Rashid aur us factory ki aag lagaane waali tasveerein kheechna, Rashid ko phone karke bulana etc., etc, Rashid ko Razia ungilyon mein nachate rehna ka witness bhi yahin hain..a mute witness…. Siddiqui is okay with being and serving as his wife's gulam jab tak unka jhooti mooti shaan aur sharafat duniya ke saamne banaye rahein …Haan par jab janaab seena than ke ghar mein nikalte hain toh saari auratein gupshup band karke khamosh ho jaati hain, sarakti jaa rehi dupatte sar pe odi jaati hain, item song pe naach rahe Ayaan ki harkat ruk jaate hain……
Aur phir aaya Ayaan ….waise toh yeh kisi bhi prakaar ke commitments mein nahi phasna chahte….hazaaron se pyaar ka izhaar karke bhi ishq-vishq ke chakkar mein nahin padte…..has no responsibilities as such……lekin Razia ke hote huye bhale unke ghar mein koi mard aazaad rahein…aisa toh ho nahin sakta…..toh ek ke baad ek koshish haarne ke baad aakhir kaar phasa hi diya bechare Ayaan ko?? "maine nikaah karne ki baat kit hi ..aur who main karunga….warna main naa kisi ka gulaam tha, hun aur rahunga…!!" cheers to that!! Lekin nikaaah se hi saari musibatein shuru hoti hain..apne abbu ko hi dekh lo…..Bachke rahiyo
Imraan…..the real bechara…..inhein bechara kehne mein mr khan ko bhi koi aitraaz nahi hoga… well abhi tak toh he had not much role to play….ek seedha sadha chupchap shareef Indian ladka….par yeh kya?? He had a girlfriend jo ek din subah bulake kehti hain ki main tumhari bachhe ki maa bane waali hun…… wow!!!
Upar se Miya is going to be married to ek bholi bhaali Nikhat…….jisse who sach ke naam pe aadhi sach sunata hain…..bechara karein bhi toh kya….trapped between daayan ammi aur chudail 'hone waali bachhe ki maa'…..devil and the sea
…..well itna bhi koi bechara nahin hain……dekha nahin apni ex girlfriend ki insult kaise sunke kaise has raha tha??aur chupchap sunta rehta tha nikhat ki insult….
Asad urf Jahapanah Six Packs yaani Mr. Khan ya Mr. vampire Ahmed Khan ya phir Mr. akdoo ahmed Khan(uff!!
Zoya bas bhi karoo kitne sare naam rakhoge aap apne u know (blush!!) unko!!…..Well fortunately ya unfortunately Razia is not the villain here…..toh phir how is Mr. jahapanah six packs trapped….Aap log kahoge ki Tanveer…but Tanveer is not the real issue….He is trapped by himself…..In his own rigid belief system, black and white judgmental nature……He has attained great success as a shrewd and successful businessman…remember this is a rags to riches story…..Cheers to your will power and hard work Mr. khan... lekin aap business mein jitney hi aagey hain niji zindagi mein bahut pichhe hain…Gustakh Kaneezh se hi suniye"aap rehte toh Bhopal mein hi hain Mr.khan lekin aap ka man aaj bhi 17th century mein hain"…….lekin is khoobsurat kaneez se ladte ladte inka dil kab 17th century se seedha dimple waali smile pe jaa atke kisi ko pata bhi naa chalaa……
zyadah khush huyiyo mat….unki 17 saal se ban rehi ego itni jaldi hi kisi Ms. Newyork ke saamne thodi naa haarne waale hain….toh it comes with explanations, "u r a misfit……u are not fit for any family…..aap merit oh kyaa kisi ki bhi ideal biwi nahi ban sakti"….Ms farrukhi we know u can fix anything…"kaash main aapka bhi marammat kar paati Mr.khan"…..Aap kar sakti ho Zoya…in fact khud ki banaayi huyi illusion aur trap se baahar nikalne kisi aur ke trap se baahar nikalne se bhi zyadah mushkil hain…..agar yahaan bhi villain Razia hi hoti toh baat aasan hota… ek do gudiya dund nikaal ke sach ka pardafaash kar paati….lekin yahaan pet oh ek ke baad pata nahin kitne saare sach qubool karne honge Mr Khan ko…aur inki marammat ki tools bus aap hi ki tool box mein hain Ms Zoya Farrukhi(urf Ms. Newyork yaani Misss. farrukhhi ya phir Ms. Siddiqui ya phir future (as we all hope) Mrs. Akdoo ahmed Khan…… waise inka bhi naam kuch kam nahin hain)let's wait and watch...kya bolte ho yaaron?????