Krishna: yaar rahul...jab se meri shaadi hui hai tab se meri biwi mujhe apne se dur hi nahi rakhti..
Rahul: ye to achchi baat hui na..!!
Krishna: Ye kya achchi baat hai !! Meri zindagi to bas ab meri biwi ki bahon tak hi simat kar reh gayi hai..na main apne dosto ke saath ghoom sakta aur na hi me apne kaam ke liye bahar ja sakta...
Rahul: Aisa kyun??
Krishna: Are yar kyun kya !! Wahi indian ladies ka typical dialogue 'tum baahar ja rahe ho to me bhi tumhare saath jaungi'... Yaar had hai ghar me to mere se chipke hi rehti hai...bahar bhi use mere se chipakna hai...
Rahul: Krishna yaar tu dukhi mat ho...pati-patni ka rishta hota hi fevicol ki tarah...chahe koi kitna bhi chhutane ki koshish kare wo asaani se chhut ta nahi hai...
Krishna: Fevicol se yaad aaya...jabse dabangg 2 movie ka fevicol wala gana aaya hai us din se meri biwi ye gana mere liye roz gaati hai...
"Mere photo ko seene se yaar chipka le saiyyan fevicol se..."
Ab tu hi bata wo itni badi meri aankho ke saamne 24*7 rehti hai to photo ko seene se chipkane ka kya matlab??
Rahul: pratigya bhabhi tujhse bahut pyaar karti hai esiliye ye gaana ga diya...ab pyar me to samajh nahi aata na ki kis gaane ka kya matlab hai...kyunki pyaar to andha hota hai...
Krishna: Rahul , me pratigya se kuch dino ke liye azaadi chahta hun...koi acha rasta bata mujhe bas..!!
Rahul: jo insaan khud apni rasta se bhatka hua ho wo dusro ko kya rasta dikhayega..!!
Krishna: kya matlab..??
Rahul: tu es baat se dukhi he ki bhabhi tujhe apne se dur nahi karna chahti aur ek main badnaseeb...jo es baat se dukhi hai ki mujhe meri biwi apne pass nahi aane deti...aane deti hai to sirf ghar ke kaam karwane ke liye ...yahan tak ki ghar ka khana bhi main hi banata hu...
Krishna shocks...
To be Continued...