Poem on VirMan'.
Virat-
Pahaadon ki
Sinduri shaam
Dekhi hai'
Uss shaam
Ka aasmaan
Dekha hai..
Zindagi ke
Canvas par
Satrangi rang
Daala ho
jaise
Kisi ne'
Wo aur
Koi nahi..
Meri Maanvi
Hai'
Rangon se
Zindagi se bhari'
Ek behti surili
Nadi'
Jo Shararati
Natkhat
Hai'.
Mere har
Gaane ki
Taal lay
Sur'
Meetas'
Usse shuru..
Uspe khatam..
Aaj..
Hum dono
Ek hain..
Zindagi
Itni haseen
Hogi
Socha
Na tha'..❤️
Maanvi-
Registan mein
Tanha ped
Dekha hai..
Tehaniyo par
Aakhri pattiyaan
Dekhi hai'
Tez hawa ka
Jhonkha
Unhe ukhaad
Fenkta..
Main wahi thi..
Akhri pattiyaan
Apne haathon
Se sadev
Bachanewala
Mera virat hai..
Virat
Ek baandh hai
Jo mere andar
Udwelit(excited)
Jal dharaon ko
Rok leta hai..
Bhatakne nahi deta..
Aaj hum dono
Ek hai..
Zindagi itni
Haseen hogi
Socha na tha..❤️