Nidhi aur Ashutosh CM ke hoshme aaneke baad ghar aaye the,do din se woh dono jaag rahe the,aur ab CM theek the,aur isiliye Dr Rangnath ne unhe ghar bhej diya thoda aaram karneke liye. Woh subah kuchh khaas thi,suraj ki madham roshni sare kamreko ujagar kar rahi thi,Ashutosh khidkimese ugte hue suraj ki roshni ko dekh raha the,jaise suraj ko keh raha ho,ki tum aaj thodi der se aate,Mera saathi so raha hai."lekin usne nidhi ki taraf mud ke dekha toh Us suraj ki kirne nidhi ke chehere par chhayi hui hai aur usme uska chaan sa chehera khil raha hai,usne dekha nidhi ki julfe uske chehere pe aayi thi,lekin fir bhi woh shaant,nirmal zarne ki tarah so rahi thi,jaise ek bachaa apni ma ki god me so raha ho. Ashutosh soch rahe hai,"uss din agar Nidhi ne himmat nahi dikhayi hoti toh kya hota?main to puri tarah tut chuka tha,haar maan chuka tha,lekin yeh,suchmuch isme gajab ki himmat aur hausla hai.Yeh wohi hai jisko maine daatkar hospital se nikal diya tha,har baar immatured aur unproffessional hone ka iljaam lagaya karta tha,aaj dekho uski wajah se meri zindagi aur career ko daag lagte reh gaya,meri suchi humsafar hai yeh.Mera pyaar,Mera gurur aur mera abhiman.ek hi raat me isme kya kya parivartan hua hai.Ek shararati ladke se senior surgeon ban gai hai,aur main bahoot khoosh hoo,uske sapne sach hone se.uske iss hausleme muze meri chhavi dikhai deti hai,muze badhava dene wala koi nahi tha,lekin main uska har kadam par saath dunga,uska hausla badhaoonga.Meri zindagi ko usne haseen banaya hai,main uski zindagi me apne pyaar ke rang bhar doonga,aakhir woh mere ghausle ki titli hai,joh mere aangan ko chehkati hai,mehkati hai,jiski aahat se mere andar hulchul ho jaati hai,mera rom rom nach oothta hai,ab main kabhi use apnese alag nahi karoonga,kabhi nahi,aakhir hai woh. meri titli,sirf meri titli.