~*~ SHER O SHAYRI ~*~ - Page 17

Created

Last reply

Replies

169

Views

14.8k

Users

21

Likes

1

Frequent Posters

lucky_rose thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
umer kat ti hai un ki kanton per
phool rakhte hain jo kitabon main
Chief Saab thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
bohut khoob ammara .. acha he .. but yaar aaj mere paas time nahi he .. kal karte hen baat ,,

khuda hafiz

aaj mere paas sirf yahi he aap ko dene ke liye

UMAR GUZRI MERI SHEREENI E GUFTAAR KE SAATH
LAB MILAY THE ME NE KABHI LABE YAAR KE SAATH
lucky_rose thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago

Originally posted by: Jeddah_Boy

bohut khoob ammara .. acha he .. but yaar aaj mere paas time nahi he .. kal karte hen baat ,,

khuda hafiz

aaj mere paas sirf yahi he aap ko dene ke liye

UMAR GUZRI MERI SHEREENI E GUFTAAR KE SAATH
LAB MILAY THE ME NE KABHI LABE YAAR KE SAATH

shukeriya shukeriya

its ok koi baat nahi kal musharia start kerdeinge np😛

Chief Saab thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
NIGAHON ME MERI YE SOORAT HE TERI
ZINDAGI YE MERI AMANAT HE TERI
DHARAKTE SEENE ME MOHABBAT HE TERI
MOHABBAT YE TERI IBADAT HE MERI
sweetlata thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
Daag duniya ne diye, zakhm zamane se mile....
Humko ye tohfe, tumhe dost banane se mile....
Hum tarasate hi, tarasate hi, tarasate hi rahe....
Wo falane se, falane se, falane se mile...
Khud se milte to chaahat ka gam na rehata...
Kya mile aap jo logon ke milane se mile...
Chief Saab thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
Badla na apne aap ko jo the wahi rahe,
milte rahe sabise magar ajnabi rahe.

Duniya na jit pao to haro na khud ko tum,
thodi bahot to zahen mein narazgi rahe.

Apni tarah sabhi ko bhi kisi ki talash thi,
hum jiske bhi kareeb rahe dur hi rahe.

Guzro jo bagh se to dua mangte chalo,
jisme khile hain phool woh dali hari rahe.
Chief Saab thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
Tum jo itna jo muskara rahe ho,
kya gam hai jiske chhupa rahe ho.

Aankhon mein nami hansi laboN par,
kya haal hai kya dikha rahe ho.

Ban jayenga zehar pite pite,
ye ashq jo pite ja rahe ho.

Jin zakhmoN ko waqt bhar chala hai,
tum kyun unhe chhede ja rahe ho.

RekhaoN ka khel hai muqadar,
rekhaoN se maat kha rahe ho.

pro_bk91 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago

Originally posted by: Jeddah_Boy

Tum jo itna jo muskara rahe ho,
kya gam hai jiske chhupa rahe ho.

Aankhon mein nami hansi laboN par,
kya haal hai kya dikha rahe ho.

Ban jayenga zehar pite pite,
ye ashq jo pite ja rahe ho.

Jin zakhmoN ko waqt bhar chala hai,
tum kyun unhe chhede ja rahe ho.

RekhaoN ka khel hai muqadar,
rekhaoN se maat kha rahe ho.


ive herd dis 1 b4..bt neways nice 1 👏
Chief Saab thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
yeah bhavik .. its jagjeet singh's ghazal ..
simply paagal thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 18 years ago
gar hai khuda,to hai iltjaa
is baar jo aankhein band ho
aankhein na khulein fir kabhi
wohi aakhri saansein ho,dhadkanein chand ho
waise bhi jeena mushkil hai,saansein takleef hain
ab bhi chal rahi hain dhadkanein,ye unki tareef hai
jeene se ab jee bhar gaya
ho koi jeene ka tareeka naya
ho koi din jo gam na ho
ansoo chhupaane na pade,aankhein nam na ho
zindagi ruki na rahe,saansein mujhse kahein
kar do kuchh aisa,dhadkanein aur na sahein

anyways me Raghav,my first nd last post by this id 😛

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".